Masla fatiha khalf ul imam
Masla fatiha khalf ul imam .
Zaheer salafi.
Imam ke piche surah fatiha padna farz hain iske bagher namaz nahi hothi .
Baaz hajrat Qur'an ayat pesh karte hain .jo fatiha khalf ul imam ke Qayal nahi hain .
Allah rabbul allameen Qur'an me farmaya .
وَ اِذَا قُرِئَ الۡقُرۡاٰنُ فَاسۡتَمِعُوۡا لَہٗ وَ اَنۡصِتُوۡا لَعَلَّکُمۡ تُرۡحَمُوۡنَ
aur jab Quran parha jaye to uss ko kaan laga ker suno , aur khamosh raho takay tum per rehmat ho .
Surah araf ayat 204)
Note.is qirat se murad asal aam qirat hai surah fatiha nahi,
Or is aam daleel ke mukable me fatiha khalf ul imam.ki khas sahih hadees mojud hain.to aam ke mukable me khas daleel ko tarji di jayeghi .or is ayat ko sabse jayda Nabi ﷺ or apke sahaba samjate the uske baad bi vo fatiha khalf ul imam ke Qayal the
Baaz hajrat yha ye daleel dete hain ki abdullha ibne Abbas ne kha ki ye namaz ke bare me hain .
tahaqiq.
Imam bahayqi (w 458) farmathe
أخبرنا أبو الحسن علي بن أحمد بن عبدان أنا أحمد بن عبيدا لصَّفَّارُ ، نا عبيد بن شَرِيكٍ ، نا ابن أبي مريم ، نا ابن لَهِيعَةَ ، عن عبد الله بن هُبَيْرَةَ، عن عبد الله بن عباس ،’’أن رسول الله صلى الله عليه وسلم قرأ في الصلاة فقرأ أصحابه وراءه فخلطوا عليه فنزل (وَإِذَا قُرِئَ الْقُرْآنُ فَاسْتَمِعُوا لَهُ وَأَنْصِتُوا) فهذه في المكتوبة‘‘ ثم قال ابن عباس: ’’وإن كنا لا نستمع لمن يقرأ إنا إذًا لأجفىٰ من الحمير‘‘۔
Rasullha ﷺme Qirat kar rahe the apke sath ak Ansari sahabi bi pad rahe the is par ye ayat nazil huwi
وَإِذَا قُرِئَ الْقُرْآنُ فَاسْتَمِعُوا لَهُ وَأَنْصِتُو
Ibne abbas radiyallah anhu khate hain ki ye ayat farz namaz ke bare me nazil huwi hain
Kitab Ul Qira’at Lil Bayhaqi hadees 255)
Ye riwayat zaeef hai khud is ko nakal karne ke baad imam bayhaqi farmathe hain.
وَهَذَا إِسْنَادٌ فِيهِ ضِعْف
Ye sanad zaeef hain .
Kitabu Qirat lil bayhaqi hadees 255)
isme rawi abdullah bin hubair aaleh mutakallim fiya hai.
imam nasai aur ibn madini, saaleh bin mohammed aur imam ahmed ne is par JARAH ki hai.
Dekhe thageeb at thageeb jild 5 safa 257.258)
Or iska matan bhi mahal-e-nazar hai kyunki surah aaraf nabuwwat ke daswein saal nazil hui thi . halanki NAMAAZ nabuwwat ke barawhein saal meraaj ki raat farz hui thi.
Surah fatiha aam Qirat se alagh hain or hamse jayda is ko Nabi ﷺ or sahaba samajte the.ye ayat unke samne thi uske bawjud vo imam ke piche fatiha padte the .
1) daleel.
حَدَّثَنَا عَلِيُّ بْنُ عَبْدِ اللَّهِ ، قَالَ : حَدَّثَنَا سُفْيَانُ ، قَالَ : حَدَّثَنَا الزُّهْرِيُّ ، عَنْ مَحْمُودِ بْنِ الرَّبِيعِ ، عَنْ عُبَادَةَ بْنِ الصَّامِتِ ، أَنّ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ : لَا صَلَاةَ لِمَنْ لَمْ يَقْرَأْ بِفَاتِحَةِ الْكِتَابِ
Obada bin Samit radiyallahu anhu se riwayat hain
Nabi ﷺ ne farmaya us sakhs ki namaz nahi jo surah fatiha nahi padta.
Sahih Bukhari hadees no.756)
Note.baaz logh khate hain ki ye riwayat imam ya munfarid ke liye hain.
kisi ak muhaddis ne bi isko khas nahi kiya balki muhaddisin ki ak badi jamat ise fatiha khalf ul imam par daleel banayi hain .maslan
1) Imam Bukhari (w256) ne is hadees par bab Banda
بَابُ وُجُوبِ القِرَاءَةِ لِلْإِمَامِ وَالمَأْمُومِ فِي الصَّلَوَاتِ كُلِّهَا، فِي الحَضَرِ وَالسَّفَرِ، وَمَا يُجْهَرُ فِيهَا وَمَا يُخَافَتُ
Safar Wa Hazar Ki Tamam Sarri Wa Jahri Namazo Me Imam Aur Muqtadi Ke Liye Qira’at Ka Wajib Hona
Dekhe Bukhari 756)
2) Imam Khatabi(w388) rahimullha Apni Kitab Me Farmate Hai
قلت عموم هذا القول يأتي على كل صلاة يصليها المرء وحده أو من وراء الإمام أسر إمامه القراءة أو جهر بها
Maine Kaha Is Hadees Ka Umoom Har Us Namaz Ko Shamil Hain Jo Koi Ek Shaks Akele Parhta Hain Ya Imam Ke Pichhe Hota Hain Uska Imam Qira’at Bil Sar Kar Raha Ho Ya Qira’at Bil Jahar Kare
aelam Ul Hadees Jild 1 Safa No 500)
Fatiha khalf ul imam .Daleel 2)
Imam bahyaqi (w458) farmthe.
أَخْبَرَنَا أَبُو عَبْدِ اللَّهِ الْحَافِظُ , أَنْبَأَ أَبُو عَلِيٍّ الْحُسَيْنُ بْنُ عَلِيٍّ الْحَافِظُ نا أَحْمَدُ بْنُ عُمَيْرٍ الدِّمَشْقِيُّ , نا مُوسَى بْنُ سَهْلٍ الرَّمْلِيُّ , نا مُحَمَّدُ بْنُ أَبِي السَّرِيِّ , نا يَحْيَى بْنُ حَسَّانٍ , نا يَحْيَى بْنُ حَمْزَةَ , عَنِ الْعَلَاءِ بْن الْحَارِثِ , عَنْ مَكْحُولٍ , عَنْ مَحْمُودِ بْنِ الرَّبِيعِ , عَنْ عُبَادَةَ بْنِ الصَّامِتِ , قَالَ: سَمِعْتُ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يَقُولُ:
لَا صَلَاةَ لِمَنْ لَمْ يَقْرَأْ بِفَاتِحَةِ الْكِتَابِ إِمَامٍ وَغَيْرِ إِمَامٍ
Saiyadana Hazrat Obada Bin As Shamit RadhiAllahu Anhu Se Riwayat Hain Ke Maine RasoolAllah ﷺ Ko Ye Farmate Huye Suna Ke Us Shaks Ki Namaz Nahi Hoti Jo Surah Fateha Na Parhe Imam Ho Ya Gair e Imam
Kitabul Qiraat Imam Bayhaqi Hadees 115 )
Is hadees sarhat a gyi hai. Ki imam ho ya ghaer imam fatiha har sakhs ko padna hain
Is hadees ke tamam Ravi siqa hain .
Iske Ravi ahemad bin omeir par imam darQutni ke hawale se jarha ki jathi hain jo ke sabit nahi .is jarha ka Ravi abdurrahman as sullami hain jo zaeef hain kavi nahi hain dekhe .
Siyar allami nabula jild 15 safa 17
Ak iljam .
Ak atearaz ye bi kiya jatha hain ki imam makhul mudallis hain .
Note .in par tadallis ka iljam hain ye mudallis nahi hain.
Makahul ko mutakhireen Muhaddis imam Ibn hibban rh mudallis kaha hai aur isi terhan 8 sadi ke imam zahabi rh ne mudallis kaha hai.mutakdimin mein se kisi bhi mooatbar Muhaddis ne makahul ko mudallis nahi kaha.
Dusri baat
imam zahabi ne irsaal ke maienay mein un ko mudallis kaha hai, yani ye kayi sahaba se irsaal karte hain, is liye is irsaal ko imam zahabi ne tadallis ka naam diya hain
Yani imam zahabi irsal or tadallis ko ak mante hain .is liye imam makhul ko unhone mudallis kha .
Imam zahabi irsal or tadallis ko ak mante the dekhe .
Mizzan ul ateedal jild 4safa 177)
Ise pta chala in par sirf iljam hain .ye mudallis nahi hain .
Daleel 3)
سَمِعَ أَبَا هُرَيْرَةَ، يَقُولُ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ ـ صلى الله عليه وسلم ـ
مَنْ صَلَّى صَلاَةً لَمْ يَقْرَأْ فِيهَا بِأُمِّ الْقُرْآنِ فَهِيَ خِدَاجٌ غَيْرُ تَمَامٍ "
فَقُلْتُ يَا أَبَا هُرَيْرَةَ فَإِنِّي أَكُونُ أَحْيَانًا وَرَاءَ الإِمَامِ فَغَمَزَ ذِرَاعِي وَقَالَ يَا فَارِسِيُّ اقْرَأْ بِهَا فِي نَفْسِكَ
" Allah ke rasool (ﷺ) ne farmaya : " jis kisi ne Namaz adaa ki Aur Ummul Qur'an (Al - Fatiha ) Nahi pardhi tho uski namaz naaqis hai ; poori nahi hui " maine kaha :
"O Abu Hurairah, Kabhi hum imaam ke peeche hotey hai , Abu Hurairah raziallahu anhu ne mere baazu ko dabaya aur farmaya :
" Aye Farsi ! Apne dil me pardh".
( Sunan ibn Majah: Hadith 838
( Sahih Muslim Hadees 878
Sunan Nasai : 910, Sanadahu Saheeh )
Hanafi Apne zaeef majhab ka difa karte huwe is sahih hadees par kuch aterz karte jo be buniyad hain uska jawab is link par mulahija ho .
https://kitabullha.blogspot.com/2020/12/abu-hureara-rdki-hadees-imam-ke-piche.html?m=1
Daleel 4)
Imam nasai (w303 ) farmate hain
أَخْبَرَنَا هِشَامُ بْنُ عَمَّارٍ عَنْ صَدَقَةَ عَنْ زَيْدِ بْنِ وَاقِدٍ عَنْ حَرَامِ بْنِ حَكِيمٍ عَنْ نَافِعِ بْنِ مَحْمُودِ بْنِ رَبِيعَةَ عَنْ عُبَادَةَ بْنِ الصَّامِتِ قَالَ صَلَّى بِنَا رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ بَعْضَ الصَّلَوَاتِ الَّتِي يُجْهَرُ فِيهَا بِالْقِرَاءَةِ فَقَالَ لَا يَقْرَأَنَّ أَحَدٌ مِنْكُمْ إِذَا جَهَرْتُ بِالْقِرَاءَةِ إِلَّا بِأُمِّ الْقُرْآنِ
Obada bin Samit radiyallahu anhu se riwayat hain ki rasullaha ﷺ ne hame ak asi namaz padayi jisme buland awaaz se Qirat ki jathi hain to aap ne farmaya jab me buland awwaz se Qirat karu to tum me se koi adami kuch na pade siway surah fatiha ke
Sunan nisai hadees 921)
Is hadees ko nakal karne ke baad .imam bahayqi or imam darQutni ne sahih kha
1) imam bahyaqi ne
Kitabul Qirat lil bayhaqi hadees 121
2) imam darQutni ne
Sunan darQutni 1207)
Scan link
Baaz logho ne kha ki nafe bin Mahmood majhul hain.
Yadd rahe nafe bin Mahmood ko majhul khana mardud hain kyuki inki tosiq sabit hain.
1)Imam ibne hajm ne inko siqa kha hain
Dekhe.al muhla ibne hajm masla 360)
2)Imam bahayqi ne inki hadees ko nakal karne ke baad kha
وَهَذَا إِسْنَادٌ صَحِيحٌ وَرُوَاتُهُ ثِقَاتٌ
Ye sanad sahih hain or iske sare ravi siqa hain
Kitabul Qirat lil bayhaqi hadees 121
Scan link
3) imam darQutni ne isko nakal karne ke baad kha
إِسْنَادٌ حَسَنٌ وَرِجَالُهُ ثِقَاتٌ
Iski sanad Hasan hain or iska rizzal siqa hain
Sunan darQutni 1207)
Jab imam darQutni ne ye kha diya ki iski sanad Hasan hain to ye kafi tha majhul Ravi ki tosiq ke liye. lekin aghe ye bi kha
وَرِجَالُهُ ثِقَاتٌ
Iska rizzal siqa hain
Comments