Kya imam Sufiyan bin sayeed as sorri mudalis nahi the?

 Kiya imam sufiyan sorri mudalis Nahi Hain


Post creat zaheer salafi


Shaikhul Islam imam Sufiyan Sorri wafat 161aap siqa faqi Hafiz hone ke sath sath mudalis bi Hain or jab aap an se bayan Kare to apki riwayat hujjat Nahi 



Kuch logh khate Hain ibne hajar rahimullha ne imam Sufiyan bin sayeed as sorri ko dusre tabqe me jikr Kiya Hain lihaja aap ki tadallis majoor Nahi or apka an ana Kabul Hain 


Tabqatul mudaliseen 2/51)



Note.hafiz ibne hajar ki ye tahaqiq Kai wajha galat Hain 


Is post me sabit karenge ki Imam sufiyan sorri tadallis karte the 


Use pahle hum tadallis par ullama ke Kuch akwal Dekh Lethe Hain 


 1) Imam Shafi’i Ra (wafat 204 hijri) farmate hai 

لا نقبل من مدلس حديثا حتى يقول فيه حدثنى او سمعت

 Hum Mudallis se Us Waqt Tak Hadees Qubool Nahi Karte Jabtak Wo Sama Ki tashree Na Karde (Matlab Jabtak Haddasana Ya Samiy Attu na khe 


Al Risala lil Imam Shafi safa no 380 fiqr 1035)




2) Hafiz Ibne Alsalah Ra (wafaat 643 hijri) farmate hai 


“والحكم بأنه لا يقبل من المدلس حتى يبين, قد أجراه الشافعي فمن عرفناه دلس مرة,


 Hukm ye hai ke Mudallis ki sirf wahi riwayat Qubool ki jayegi jisme wo Sama ki tashree kare – ye baat (imam) Shafi (wafaat 204 hijri) Ra ne har us shaks per zari farmayi hai jo ek dafa hi tadlees kare


Uloom ul Hadees, moqadma ibne AlSalah Jild 2 safa no or 88 or 97 )


Scan




Imam safai ke kol Se sabeet huwa ke asa mudalis jisne ak martaba  bi aghar tadallis ki to uski riwayat Jo Sama par mahmool na ho vo zaeef Mani jayeghi 



Or imam Sufiyan Sorri rahimullha zaofa se bi tadallis karte Hain is liye inka an ana Kabile Kabul Nahi Hain 



Sufiyan sorri ke Mudallis hone ke daleel pesh a khidmat Hain 


1) sufiyan sorri ne Apne ustad Qais ibn Muslim al-Jadli koofi se Ak Hadees bayan ki jiske bare me imam jarha o tadeel ibne abi hateem(wafat 277)  farmathe Hain 


ولا اظن الثوری سمعه من قیس، اراہ مدلسا


Me Nahi samajta ke (sufiyan) sorri ne ise qais se Nahi  suna me ise mudalis (Yani tadallis shuda ) samjta Hu


Ilal Hadees ibne Abi hateem Jild 2 safa 254 raqam 2255)


Scan




Note.imam Abu hateem ar razzi muttakadimeen me se Hain or Apne Sufiyaan rahimullha ko mudalis mana 


2) mashoor mudalis husaeim bin baseer Al wasati (wafat 183)  se imam abdullha bin Mubarak ne Kaha

مالك تدلس وقد سمعت ؟ قال : كان كبيران يدلسان وذكر الأعمش و الثوري


 aap tadallis kyu karte Hain halaki Apne (bhut Kuch) suna bi Hain  unhone Kaha do bade bi tadallis karte Hain amas or ( sufiyan) sorri 


Al ilal kabeer li Tirmizi Jild 2 safa 966 sanad sahih .)

Scan 




Note.yaha par bi Abdullah bin mubarak ne huseaim par koi radd ya tankis Nahi ki ke ye dono to tabqate sania ke Mudallis hain aur aap tabqat Salsa ke Mudallis hain balkay un ka khamosh rehna is baat ki taraf ishara hai ke unhon ne Huseaim ki terha Sufiyan Sorri or anmas ka mudalis hona  tasleem kar liya tha. dosre alfaaz mein vo Sufiyan Sorri or amas  ko bhi tabqate Salsa mein se samajte the warna Husaim ka radd zaroor karte .



Dusri baat ye ke huseim bin baseer Al wasati siqa or Hain or Apne bi sufiyan sorri rahimullha ko mudalis Kaha 


3) imam yahya ibne mayeen (wafat 233) ne bi sufiyan sorri ko mudalis karar Diya 

الثوري وكان يدلس

Jarha tadeel Jild 4 safa 225)




4 )imam yahya bin sayeed Al Qatan ne farmaya

 مَا كتبت عَن سُفْيَان  شَيْئا إِلَّا قَالَ حَدثنِي أَو حَدثنَا إِلَّا حديثين 


 mene sufiyan se SIRF wahi Kuch Likha Hain jisme unhone Haddasni or haddasna Kaha Hain siwaye do hadeeso ke 


Kitab Al ilal wal marifat ar rizzal imam ahemad JILD 1 safa 207tahat 103 sanad sahih)

Scan



5) hafiz ibne hibban wafat 354) ne farmaya


وأما المدلسون الذين هم ثقات وعدول فإنا لا نحتج بأخبارهم إلا ما بينوا السماع فيما رووا ـ مثل الثوري والأعمش وأبي إسحاق


Vo mudalis Ravi Jo siqa Adil Hain  hum unki un mariwayat se hujjat pakdate Hain jisme vo Sama ki tasreeh kare maslan sufiyan sorri amas Abu ishaq wagera Jo jabrdast siqa imam the 


Al Ahsan bitartib sahih ibne hibban Jild 1 safa 161)


Scan





Note.ise sabit huwa ke hafiz ibne hibban rahimullha sufiyan sorri ki us riwayat ko hujjat Nahi mante jisme vo Sama ki tasreeh na kare 



6) imam zahabi wafat 748) Sufiyan Sorri rahimullha ke bare me  farmate hain 


كان يدلس عن الضعفاء


Sufiyan Sorri zaeef raviyo se bi tadallis karte Hain


Mizan ul ateedal Jild 2 safa 244 ۔245 tahat 3325)

Scan




7) imam nawawi rahimullha sufiyan sorri ke bare me khate Hain 


منها ان سفیان رحمه الله تعالیٰ من المدلسین وقال فی الروایة الاولی عن علقمة والمدلس لا یحتج بعنعنته بالاتفاق الا ان ثبت سماعه من طریق آخر 

Or inme se ye faiyda bi Hain ki sufiyan sorri rahimullha mudaliseen me se the or unhone pahli riwayat ne an.al Qama Kaha  or mudalis ki an wali riwayat bil ittefak hujjat Nahi illah ye ke dusri sanad me Sama ki tasreeh sabit ho Jaye 


Sarha sahih Muslim JILD 3 safa 178 tahat Hadees 277)

Scan






8) allama ayani hanafi ne Kaha ki sufiyan mudalis me se to aap ki an wali riwayat hujjat Nahi 


وسفيان من المدلسين والمدلس لا يحتج بعنعنته إلا أن يثبت سماعه من طريق آخر ‘


Umdatul qari Jild 3 safa 112) 

Scan



Note.or bi bhut sare daleel Hain jise sufiyan sorri rahimullha ka Mudallis hona sabit hota hai

 

Comments

Popular posts from this blog

Masla fatiha khalf ul imam

Hazrat Abdullah ibne masood Rd ki tark rafulyadain ki riwayat ki haqiqat