Fatiha khalf ul Imam par zabir raziyallahu anhu ke Ak kol ki wajhat

 Zabir bin Abdullah raziyallahu anhu ke Ak kol ki wajhat

Fatiha khalf ul Imam

Zaheer salafi


حَدَّثَنَا حَدَّثَنَا إِسْحَاق بْنُ مُوسَى الْأَنْصَارِيُّ، حَدَّثَنَا مَعْنٌ، حَدَّثَنَا مَالِكٌ، عَنْ أَبِي نُعَيْمٍ وَهْبِ بْنِ كَيْسَانَ، أَنَّهُ سَمِعَ جَابِرَ بْنَ عَبْدِ اللَّهِ، يَقُولُ:‏‏‏‏    مَنْ صَلَّى رَكْعَةً لَمْ يَقْرَأْ فِيهَا بِأُمِّ الْقُرْآنِ فَلَمْ يُصَلِّ إِلَّا أَنْ يَكُونَ وَرَاءَ الْإِمَامِ   


Hajrte zabir bin Abdullah raziyallahu anhu khate Hain 

Jisne koi rakat asi padi jismr surah faitha na ho to uski namaz Nahi siway us sakhs ke Jo imam ke piche ho 


Sunan tirmizi Hadees 313 


Scan 


Iska jawab dethe huwe imam bahyaqi

Imam ishaq bin Ibraheem hanzali rahimullha Ka kol nakal karte Hain vo farmate Hain

وَيُحْتَمَلُ أَنْ يَكُونَ الْمُرَادُ بِهِ الرَّكْعَةَ الَّتِي يُدْرِكُ الْمَأْمُومُ إِمَامَهُ رَاكِعًا

Is me ihetimal ye Hain ki murad vo rakat ho jis ko muqqtadi imam ke sath bhalate rukoo me ho 

Kitabu qiraat bahyaqi safa 163) scan 




Or Zabir bin Abdullah raziyallahu anhu ke is kol ki majid wajhat unki dusri Hadees se hothi Hain


Hadees


أَخْبَرَنَا مُحَمَّدُ بْنُ عَبْدِ اللهِ الْحَافِظُ، أنبأ أَبُو بَكْرِ بْنُ إِسْحَاقَ، أنبأ عَبْدُ اللهِ بْنُ مُحَمَّدٍ، ثنا مُحَمَّدُ بْنُ يَحْيَى، ثنا سَعِيدُ بْنُ عَامِرٍ، ثنا شُعْبَةُ، عَنْ مِسْعَرٍ، عَنْ يَزِيدَ الْفَقِيرِ، عَنْ جَابِرِ بْنِ عَبْدِ اللهِ قَالَ: " كُنَّا نَقْرَأُ فِي الظُّهْرِ وَالْعَصْرِ، خَلْفَ الْإِمَامِ فِي الرَّكْعَتَيْنِ الْأُولَيَيْنِ بِفَاتِحَةِ الْكِتَابِ وَسُورَةٍ، وَفِي الْأُخْرَيَيْنِ بِفَاتِحَةِ الْكِتَابِ


Zabir bin Abdullah raziyallahu anhu farmate Hain ki hum johar or Asr ki namaz me pahli do rakato me surah fatiha or koi surah padthe the 


Or akhari do rakato me SIRF surah fatiha padthe the


Sunan Qubra lil bahyaqi Hadees 2944)sanad sahih

Scan 


Jab vo khud fatiha khalf ul Imam ke kayak Hain 

To unki Ak baat le Lena or dusri chod dena ye kha Ka usool Hain

Jabki in dono Hadees me tatabik di jayeghi Jo muhadiseen de chuke Hain

Jese Imam bahyaqi rahimullha be imam ishaq bin Ibraheem hanzali rahimullha Ka kol nakal kiya Hain 


Or khud Nabi ﷺ se sabit Hain ki apne kha ki mere piche kuch mat pado siwaye surah fatiha ke 

Post 1 me daleel guzar chuki Hain

Jo Hadees Tirmizi 311 par mojud Hain

Jo post 1) me guzar chuki Hain 


Or Kai sahaba se fatiha khalf ul Imam sabit Hain jinme ameerool momeenin fil Hadees Abu huraira raziyallahu anhu bi samail Hain 

Majid tafseel ke liye ye post pade

Masla fatiha khalf ul Imam 

https://kitabullha.blogspot.com/2021/06/masla-fatiha-khalf-ul-imam.html?m=1

Comments

Popular posts from this blog

Masla fatiha khalf ul imam

Hazrat Abdullah ibne masood Rd ki tark rafulyadain ki riwayat ki haqiqat

Kya imam Sufiyan bin sayeed as sorri mudalis nahi the?