Kya ijma a ummat hujjat Nahi
Kya ijma a ummat hujjat hain ?
Zaheer salafi
Ijma ki tareef
اتفاق جميع العلماء المجتهدين من أمة محمد صلى الله عليه وسلم بعد وفاته في عصر من العصور على أمر ديني
Nabi ﷺ ki wafat ke baad kisi bi jamane me ullama a mujathideen Ka kisi deeni mamale me jama ho jana ittefak ho jana (ijma khalata Hain )
Ijma Hadees se sabit Hain
Nabi ﷺ ne farmaya
لَا یَجْمَعُ اللّٰہُ اُمَّتِیْ عَلٰی ضَلَالَة اَبَداً،وَیَدُاللّٰہِ عَلَی الْجَمَاعَة "
Meri ummat kabi Gumrahi par jama nahi hoghi or Allah ka hath jamat par Hain
Mustdark Al Hakim Hadees 399)
Scan
Yani JIS chij par ummat muttafiq ho Jaye Kisi mujtaheed Ka ikhtalaf sabit na ho vo gumrahi Nahi ho Sakti ye Hadees se wajahe ho gya
Or itni wajeh daleel hone ke baad aghar koi ijma Ka inkar kare Goya usne Nabi ﷺ Ka inkar Kiya or Jo Nabi ﷺ Ka inkar kre use Apne Iman ki fikr Karni chaiye
Qur'an bi momeeno ke raste par chalne ki dawat detha Hain
Irshad e Baari Ta'ala hai:
وَ مَنۡ یُّشَاقِقِ الرَّسُوۡلَ مِنۡۢ بَعۡدِ مَا تَبَیَّنَ لَہُ الۡہُدٰی وَ یَتَّبِعۡ غَیۡرَ سَبِیۡلِ الۡمُؤۡمِنِیۡنَ نُوَلِّہٖ مَا تَوَلّٰی وَ نُصۡلِہٖ جَہَنَّمَ ؕ وَ سَآءَتۡ مَصِیۡرًا
aur jo shaks apney samney hidayat wazeh honey kay baad bhi Rasool ki mukhalifat keray , aur mominon kay raastay kay siwa kissi aur raastay ki perwi keray , uss ko hum ussi raah kay hawalay kerden gay jo uss ney khud apnai hai , aur ussay dozakh mein jhonken gay , aur woh boht bura thikana hai .
Surah Nisha ayat 115)
Scan
Is ayat me Allah ye kha
سَبِیۡلِ الۡمُؤۡمِنِیۡنَ نُوَلِّہٖ مَا تَوَلّٰی وَ نُصۡلِہٖ جَہَنَّمَ ؕ وَ سَآءَتۡ مَصِیۡرًا
Or jisne momeeno ke raste ko chod Diya fir vo Jha ja rha Hain hum Jane denge or use jahnam me dal denge
Yani momeeno ke raste ko chodne par Allah me sadeedh wayeed sunayi
Aghar fir bi koi ijma Ka inkar kare to use Chand sawalat vo in ko Quran Hadees se sabit kare warna vo ye Karna or us par Amal Karna chod dain
1) namaz me do sajado ke darmiyan raan par hath rakhne ki koi Hadees duniya ki Kisi kitab me Nahi ye ijma se sabit Hain
Note" Kya ijma Ka inkar Karne wale namaz me do sajado ke bich raan par hath rakhna chod denge
2) Hadees sahih hone ke Jo 5 usool Muhadiseen ne banaye
1)Har rawi aadil ho
2)Har rawi zabit ho.
3)Sanad muttasil (mili hue) ho.
4)Shaaz na ho.
5)Ma’lool na ho
Note To ye usoole Kisi Hadees se sabit Hain kya ijma Ka inkar Karne wale Hadees Ka inkar Karke kafir bun jayenge kyuki ye bi ijma se sabit Hain
Hafiz ibne Kashir farmate Hain Tamam ahele Hadees muhadis Ka is baat par ijma Hain ki ye 5 Sarthe Hain sahih Hadees ke sahih hone ke liye
Ekhtasar ul uloom Hadees ibne Kashir safa 16)
Scan
Khullasa "ijma Qur'an Hadees dono se sabit Hain lihaja be wajaha ijma Ka inkar Karke Qur'an Hadees Ka inkar na kre
Comments