Kya Nabi ﷺ duniya vi atebar se jinda Hain

Kya Nabi ﷺ duniya vi atebar se jinda Hain 


Zaheer salafi


Hamara mokif ye Hain ki Nabi ﷺ duniya se chale gye aap fout ho gye lekin aap barjakhi tour se jinda Hain yahi mokif aslaf Ka Hain 


Qur'an khata Hain 


إِنَّكَ مَيِّتٌ وَإِنَّهُم مَّيِّتُونَ


Besak aap wafat pane wale Hain ye logh bi Marne wale Hain 


Surah zumar ayat 30)

Scan



Sayyiduna Abu Bakr Razi Allahu Anhu Ka mokif 


 من كان يعبد محمدا ﷺ فإن محمدا ﷺ قدمات


"Sun lo! jo shaksh (Sayyiduna) Muhammad ﷺ ki ibaadat karta tha tou beshak Muhammad ﷺ faot hogaye hain.


Sahih Bukhari 3668)

Scan



Sayedina Abu huraira raziyallahu anhu  farmaatey Hain 


إن كانت هذه لصلاته حتى فارق الدنيا


"Aap ﷺ ki yehi namaz thi hatta ke Aap ﷺ duniya se chaley gaye.


Sahih Bukhari: 803)

Scan




1) Imam zahabi (748) rahimullha ne farmaya


وَهُوَ حَيٌّ فِي لَحْدِهِ، حَيَاةَ مِثْلِهِ فِي البَرزَخِ


Aur Aap (Nabi) ( ﷺ) Apni kabar me barjakhi tor per zinda hai…..

Siyar A’lam Al-Nubala’i Jild 9 Safa no 161)

Scan



2) Hafiz ibne hajar( 852)farmaateyHain


لِأَنَّهُ بَعْدَ مَوْتِهِ وَإِنْ كَانَ حَيًّا فَهِيَ حَيَاةٌ أُخْرَوِيَّةٌ لَا تُشْبِهُ الْحَيَاةَ الدُّنْيَا وَاللَّهُ أَعْلَمُ


 Beshak Aap (Nabi) ( ﷺ) Apni Wafat ke baad Agarche Zinda Hai Lekin ye ukhrawi zindagi hai Jo dunyabi zindagi ke moshabe nahi hai wallaho Alam


Fatah’ul Bari jild 7 Safa no 404 Hadees no 4042)

Scan 



Ise sabeet huwa ke Nabi ﷺ duniya vi atebar se jinda Nahi Hain balki apki jindaghi ukharvi Hain 


Comments

Popular posts from this blog

Masla fatiha khalf ul imam

Hazrat Abdullah ibne masood Rd ki tark rafulyadain ki riwayat ki haqiqat

Kya imam Sufiyan bin sayeed as sorri mudalis nahi the?