Allah kha Hain

 Allah kha Hain? Ars par ya har jagha 


Zaheer salafi

Ahanaf Ka akida Hain ki Allah Jath ke atebar se har jagha Hain jabki ahele Sunna Wal jamat ahele Hadees Ka akida Hain ki Allah Jath ke atebar se ars par mustawi Hain

Or Allah Ka ilm har jagha Hain

Allah ars par Hain daleel


Qur'an khata Hain

 

الرَّحْمَٰنُ عَلَى الْعَرْشِ اسْتَوَىٰ


RAHMAAN ARSH PAR MUSTAWI HUA


Surah Taha ayat 5)

Scan



Yahi baat Allah ne Qur'an me Kai jagha Kahi


Soorah al-A’raaf  Ayat 54

Soorah al-Furqaan Ayat-59 }


2) Nabi ﷺ ne londi se sawal Kiya 


بِهَا، فَقَالَ لَهَا:أَيْنَ اللهُ قَالَتْ: فِي السَّمَاءِ، قَالَ: مَنْ أَنَا قَالَتْ: أَنْتَ رَسُولُ اللهِ، قَالَ: أَعْتِقْهَا، فَإِنَّهَا مُؤْمِنَةٌ


 farmaya Allah kahan Hain  To Londi ne araz kiye:َ

Asman par hai, Nabi ﷺ ne farmaya: Main koon hoon Londi ne kaha: Allah k Rasool aap ne farmaya: Isay aazad kardo ye Momin oraat hai.


Sahih Muslim, Hadith no.537}


Scan



3.Rasoolullah ﷺ ne farmaya: Kya tum Mujay ameen nahi samujte aur Main Us (Allah) ka ameen hoon jo Asmaan par hai, Meray pass subha aur sham Asmaan ki khabaray aate hai.

{Sahih Bukhari, Hadees no.435



4) Nabi ﷺ Ka framan Hain

roh ko Asmaan tak puhancha deya jata hai jis par Allah Ta’alah hai.

{Masnad Ahmad, 8/414, Hadith no.8754, Sanad Sahih

Scan


Allah ars par Hain is par ijma Hain


1) SHAIKH ABDUL QADIR JILANI RH likhte hain


ولا يجوز وصفه بأنه في كل مكان ، بل يقال : إنه في السماء على العرش

ki ye kehna jayez nahi ki wo har JAGA me hai balki ye kaha jata hai wo AASMAN par ARSH par hai

 AL GUNIYAT LIT TALIBI SAFA 154 )



2)IMAM ABU MUHAMMAD ABDULLAH BIN MUSLIM BIN QUTAIBAH RH farmate hain

قال: ولو أن هؤلاء رجعوا إلى فطرتهم وما ركبت عليه ذواتهم من معرفة الخالق، لعلموا أن الله عز وجل هو العلي، وهو الأعلى، وأن الأيدي ترفع بالدعاء إليه، والأمم كلها عجمها وعربها تقول: أن الله في السماء

Ki aur agar wo saare log ya’ni jo ye kehte hain ki ALLAH TA’ALA har jaga MAUJOOD hai apni FITRAT ki taraf waapas RUJ’U kar len aur jis par uski ZAAT banayi gayi hai apne KHALIQ ki pehchan par,to wo log ye jaan lenge ALLAH jo IZZAT waala BULAND O BAALA hai aur BESHAK saare HATH DUA ke liye usi ki TARAF UTHAAYE jaate hain aur SAARE AJAM WA ARAB yahi kehte hain ki ALLAH AASMAN par hai

Mukhtasar Al uloo safa 216 )

Scan




3)IMAM IBN QUDAMAH RH farmate hain

فإن الله تعالى وصف نفسه بالعلو في السماء، وwوصفه بذلك محمد خاتم الأنبياء، وأجمع على ذلك جميع العلماء من الصحابة الأتقياء والأئمة من الفقهاء، وتوارترت الأخبار بذلك على وجه حصل به اليقين، وجمع الله تعالى عليه قلوب المسلمين، وجعله مغروزا في طباع الخلق أجمعين


Ki BESHAK ALLAH TA’AALA ne apne AAP ke liye AASMANO’N me BILANDI ko MUNTAKHAB kiya hai aur MUHAMMAD SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ne ALLAH TA’AALA ki yahi SIFAT BAYAN ki hai aut saare FUQAHA E SAHABA ka isi par IJMA hai jo MUTTAQI the aur AIMMA E FUQAHA ka bhi isi par IJMA hai aur is par MUTAWATIR HADEES bhi MAUJOOD hai jisse YAQEEN HASIL ho jata hai aur ALLAH TA’ALA ne saare MUSALMANO’N ke DIL ko isi par JAMAA diya hai aur usne DAKHIL kar diya hai apni saari MAKHLOOQAT ki FITRAT me


 ISBAT SIFAT UL ULOO SAFA 63 )


Scan



4) IMAM ZAHBI RH likhte hain

قال أبو بكر الخلال” أنبأنا المروذي حدثنا محمد بن الصباح النيسابوري، حدثنا أبو داود الخفاف سليمان بن داود قال: قال إسحاق بن راهويه:


قال الله تعالى: {الرَّحْمَنُ عَلَى الْعَرْشِ اسْتَوَى} إجماع أهل العلم أنه فوق العرش استوى، ويعلم كل شيء في أسفل الأرض السابعة.

Ki IMAM IS’HAQ BIN RAHWIYAH RH farmate hain ki ALLAH TA’ALA ne farmaya “RAHMAN ARSH PAR MUSTAWI HUA” to is par AHLE ILM ne IJMA kiya hai ki ALLAH ARSH par MUSTAWI hai aur wo HAR us CHEEZ ko janta hai jo SAATO’N ZAMEEN ke neeche Hain

 MUKHTASAR AL ULOO SAFA SANAD SAHIH194) 

Scan



Imam ishaq bin rahwiyah ke is kol Se pta Chala ki Allah ars par Hain lekin uska ilm har jagha Hain


Allah har jagha Hain ye akida jahmiya Ka Hain ahele Sunnat Ka Nahi 


IMAM ZAHBI R.H likhte hain


مقالة السلف وأئمة السنة بل والصحابة والله ورسوله والمؤمنون أن الله عز وجل في السماء، وأن الله على العرش، وأن الله فوق سماواته وأنه ينزل إلى السماء الدنيا؛ وحجتهم على ذلك النصوص والآثار. ومقالة الجهمية أن الله تبارك وتعالى في جميع الأمكنة -تعالى الله عن قولهم-، بل هو معنا أينما كنا بعلمه


ki mai kehta hun ki SALAF US SALIHEEN aur AIMMA E SUNNAT,balki SAHABA RAZIALLAHU ANHU,ALLAH SUBHANAHU WATA’ALA uske RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM aur TAMAM MOMINON ka kehna hai ki ALLAH SUBHANAHU WATA’ALA BULANDI me,apne ARSH par aur apne ASMANO ke oopar hai wo ASMAN duniya ki taraf NUZOOL bhi farmata hai,unke is bare me DALEEL (QURANI) NUSOOS aur (HADEESI) ASAAR hai,JAHMIYON ka kehna hai ki ALLAH SUBHANAHU WATA’ALA har JAGA hai,unke is QAUL se ALLAH SUBHANAHU WATA’ALA bahut BULAND hai,DAEASAL hum jahan bhi hote hain wo hamare sath apne ILM ke AITIBAR se hota hai


MUKHTASAR AL ULOO LIL ALIYUL GHAFFAR LIL ZAHBI SAFA 146 )



Comments

Popular posts from this blog

Masla fatiha khalf ul imam

Hazrat Abdullah ibne masood Rd ki tark rafulyadain ki riwayat ki haqiqat

Kya imam Sufiyan bin sayeed as sorri mudalis nahi the?