3 din tak Qur'bani hi sabit Hain

 Qur'bani 3 din hi Sunnat Hain

Zaheer salafi

3 din Qur'bani Ka saboot Qur'an se

Allah Ka irsad Hain

لِّيَشْهَدُوا مَنَافِعَ لَهُمْ وَيَذْكُرُوا اسْمَ اللَّهِ فِي أَيَّامٍ مَّعْلُومَاتٍ عَلَىٰ مَا رَزَقَهُم مِّن بَهِيمَةِ الْأَنْعَامِ ۖ فَكُلُوا مِنْهَا وَأَطْعِمُوا الْبَائِسَ الْفَقِيرَ

takay wo unn fawaeed ko aankho sa dekhe jo unn kay liye rakhe gaye hain , aur mutayyan dino mein unn chopayo per Allah ka naam len jo Allah ne unhen ata kiye hain .    chunacheh ( musalmano ! ) unn janwero mein say khud bhi khao , aur tang dast mohtaj ko bhi khilao

Surah hajj ayat 28)


Scan



1) is ayat ki tafseer me imam Qurtubi (671)farmate Hain

وَدَلِيلُنَا قَوْلُهُ تَعَالَى:" فِي أَيَّامٍ مَعْلُوماتٍ" الْآيَةَ، وَهَذَا جَمْعُ قِلَّةٍ، لَكِنَّ الْمُتَيَقَّنَ مِنْهُ الثَّلَاثَةُ، وَمَا بَعْدَ الثَّلَاثَةِ غَيْرُ مُتَيَقَّنٍ فَلَا يُعْمَلُ بِهِ

Hamari daleel Allah talla Ka farman

فِي أَيَّامٍ مَعْلُومات
Hain ye jama qillat Hain ise 3 to yakeeni Hain or 3 ke baad gher yakeeni lihaja is par amal Nahi Kiya jayegha ( 4 Deen Qur'bani Nahi)

Tafseer Qurtubi JILD 12 safa 43)

Scan



2) imam ibne Abdul Baar( 463) farmatey Hain

وَقَالَ الْآخَرُونَ الْأَيَّامُ الْمَعْلُومَاتُ هِيَ أَيَّامُ الذَّبْحِ وَذَلِكَ يَوْمُ النَّحْرِ وَيَوْمَانِ بَعْدَهُ وَرُوِيَ ذَلِكَ عَنْ عَلِيٍّ وَابْنِ عُمَرَ وَابْنِ عَبَّاسٍ أَيْضًا وَعَلَى هَذَا الْقَوْلِ أَكْثَرُ النَّاسِ

Dighar ahele ilm ne kha Hain ki ayaame malumat   Se Murad Qur'bani ke din Hain or vo 10 jil hijja or Uske baad 2 din Hain or yahi baat sayedina Ali raziyallahu anhu sayedina abudullha ibne Umar or abudullha ibne Abbas se BA sanad sahih sabit Hain or jamhoor Ka yahi majhab Hain

At tamheed ibne Abdul bar jild 23 safa 196)
Scan



Sahaba ikram se 3 din Qur'bani sabit Hain

1)hajrte Ali raziyallahu anhu farmatey Hain

قد حدثنا أحمد بن أبي عمران، قال حدثنا عبيد الله بن محمد التيمي، قال: حدثنا حماد بن سلمة بن كهيل، عن حجته، عن علي، قال

النحر ثلاثة أيام

Qurbani Ke Teen  Din Hain

Ahkam Ul Quran Lil Tahawi  hadees no 1569) Sanad Hasan

Scan



2) goldal chain sanad se Abdullah bin Umar se 3 din Qur'bani sabit Hain،

 عَنْ نَافِعٍ، أَنَّ عَبْدَ اللهِ بْنَ عُمَرَ رَضِيَ اللهُ عَنْهُمَا

كَانَ يَقُولُ: الْأَضْحَى يَوْمَانِ بَعْدَ يَوْمِ الْأَضْحَى

Hazrat Nafey  se riwayat hai ke Abdullah bin Umar Radhi Allaho Ta’ala Anho ne kaha Qurbani Do din Durust hai Baad Eid Ul Adha ke

Moatta imam malik hadees no 1060 )
Scan



Sunan Al kubra Al bayhaqi hadees no 19254)

3) ana's raziyallahu anhu se 3 din Qur'bani sabit Hain

وما قد حدثنا شعبة، عن قتادة، عن أنس، قال: الأضحى يومان بعده
Saiyadana Hazrat Anas bin Malik Raziyallahu anhu  farmate hai  ki Qurbani Wale (Awwal) din ke baad Do  din Qurbani hoti hai

Ahkam Ul Quran Lil Tahawi hadees no 1576 Sanad Sahih)

Scan



4) Abdullah bin Abbas raziyallahu anhu se 3 din Qur'bani sabit Hain

وما قد حدثنا إبراهيم بن مرزوق، قال: حدثنا وهب بن جرير، قال: حدثنا شعبة، عن ميسرة بن حبيب، عن المنهال بن عمرو، عن سعيد بن جبير، عن ابن عباس، قال: ” النحر يومان بعد يوم النحر، وأفضلها يوم النحر

Saiyadana Hazrat Abdullah bin Abbas raziyallahu anhu  farmate hai ke Qurbani ke din ke baad Do  din Qurbani hai Aur Afzal Qurbani Nahar wale (pahla) din Hai

Ahkam Ul Quran Lil Tahawi hadees no 1571 Sanad Hasan)


Scan



In sahaba ke asar se ye sabeet huwa ke Qur'bani ke 3 din Hain

Comments

Popular posts from this blog

Masla fatiha khalf ul imam

Hazrat Abdullah ibne masood Rd ki tark rafulyadain ki riwayat ki haqiqat

Kya imam Sufiyan bin sayeed as sorri mudalis nahi the?