Namaze janaza me dono traf salam ferne ki daleel ki tahqeeq.

 

namaz janaza me dono . Traf salam ki daleelo ki tahaqiq.


Zaheer salafi

Ak traf salam ferna hi sunnat SE sabit he dono traf salam ferne ki hadees sahih nhi 

Dono traf salam ki daleel or uski haqiqat .

1)Sayyiduna Abdullah bin Abi Awfa Raziallahu Anhu se ek janaza par Daayen Baayen (Right & Left) Salam phera aur farmaya :

maine Rasoolullahﷺ  ko iss tarah karte dekha hai -

Sunan UL Kubra LiL Baihaqi : 4/43 : HA 6988 )

https://m.facebook.com/story.php?story_fbid=259373349144302&id=100052149168550

Sanad ZAEEF hai,

Iski sanad me rawi ibraheem Bin Muslim Hajari'y, Jumhoor ke Nazdeek ZAEEF hai -


1)Hafiz ibne hajar ne ise zaif or kha or kha ki ye mokuf riwayat ko marfu bayan karta hai yani .munkate .


Tagrib at tahagib 252 

Scan link.

https://m.facebook.com/story.php?story_fbid=259372945811009&id=100052149168550


Imam Bukhari ne bi ise apni kitab jaofa sagheer me nakal kiya or zaif kha .


Jaofa sagheer Bukhari .safa 13 .rawee 10 tahqeeq Shaikh zubair Ali zai rh.


Scan link 

https://m.facebook.com/story.php?story_fbid=259373029144334&id=100052149168550

_____________________

2) .Sayyiduna Abdullah Bin Mas'ood Raziallahu Anhu se Manqool hai :

Teen kaam aise hain, jinko ALLAH ke Rasoolﷺ  kiyaa karte thay, Lekin Logon ne inko chhord diya hai, unme se Ek janaaze mein Aam namaz ki tarah Salan pherna hai -

 Sunan UL Kubra LiL Baihaqi : 6989 )

Scan link

https://m.facebook.com/story.php?story_fbid=259447979136839&id=100052149168550

Riwayat "ZAEEF" hai -

ibraheem Nakh'i "MUDALLiS" hain jo ke "ANN" se Riwayat kar rahe hain, Samaa ki Saraahat nahi kee -

Hafiz ibne hajar khate hai .


ابراهيم بن يزيد النخعي الفقيه المشهور في التابعين من أهل الكوفة . ذكر الحاكم أنه كان يدلس وقال أبو حاتم : لم يلق أحدا من الصحابة الا عائشة رضي الله عنها ولم يسمع منها وكان يرسل يرة ولا سيما عن ابن مسعود وحدث عن أنس وغيره مرسلا


Ibarhim nakhi mashur faqi tabai hai .or ye kufi hai .abu Hatim khate hai ki inki kisi sahabi se mulakat sabit nahi siwaye ayasa radiallah anha se ye kai mursal .(munkate) riwayat bayan karte hai kabi ibne Masood rd se kabi anas rd se .

https://m.facebook.com/story.php?story_fbid=259453865802917&id=100052149168550



3) .Sayyiduna Abu Moosa Ash'ari Raziallahu Anhu se manqool hai :

Humne Rasoolullahﷺ  ke saath ek Mayyit par Namaz padhi, Aap ﷺ ne apne dayen aur Baayen jaanib Salam phera

AL Mo'jam UL Awsat Lit Tabraani : 4337)

 Scan link

https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEiV6uCR4VDuOfXESvtXPi-n0kKsbBcep2iqmpTniheNSqeH6EpFhzH_tzjiWGK4Eix03NpEZwZ4oqoQB1s4l_F6sTdbPZjQaNqKWXrcp037t_nC7FnVsAW1K9fqzvurggbzBObr20fNsTA/s1056/PicsArt_04-12-09.29.36.jpg



Sanad ZAEEF hai,
Khaalid Bin Naafe AL Ash'ari "ZAEEF" hai -.


Isko imam Abu jarha. W(264) me kha 


ضعيف الحديث

Ye hadees me Zaeef hain 

Jarha wa tadeel Jild 4 safa 355)

Scan link


https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEjnMyqOGpPuRPt1nOQtAn3CzMQGauQkwwp1FYBEn1n-4SQAcmhAuDjahj6HCwSQymI51ckN29l1wDJ3u_M5_Tt6kRrt4lwV1Gpyk_WaOkXiXF8HuVT3uRacUZ16yooxz_a6f6MCBRv4NDc/s1427/PicsArt_04-12-07.34.29.jp

Imam Nasayi w303 ) Farmate hain

 ضعيف

Ye Zaeef hain 

Jaofa wal martukin raqam 175)

Scan link

https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEhTtSwCMeTKdmBeVd_pOUnGGwQS_mxM7E-m8bix1Z4YHIocn6Rc_fzugqzdVidFFqU00yPtNNCp1-YUnrwY6osTk_jTUzsGM7liMUP8bcewVm6L1IpuW7K7vEdevju8QyYiZhYWta8rvQk/s1057/PicsArt_04-12-08.02.29.jpg


Iski sanad ko Shaikh Albani ne hasan karar diya


 lekin zubair Ali zai rh ne zaeef kha or vo farmathe hai .


Shaikh Albani ne is riawayat ko hasan karar diya lekin 

Iski sanad do wajha se zaeef  hai 


Hammad bin salma Mukhtlat hai or Ye riawayat kabl Ikhatilat nahi .


Hammad majkur mudallis hai dekhe majmaul mudallisin Jild 2 safa 45)


Or isme vo an se bayan kar rahe hai or mudallis ki an wali riwayat zaif Hothi hai


Mukhtsar sahih namaze nabawi .safa no.32)

Scan link

https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEj5kJNGrrZwAPiP8zaR4hNlsXHuPVgtgZbDcAAu3IXToEDkl-6-qNYvILb9cpQy0MvwymRUeDQKndEgWUdoZtysBGIu08f2NqrVMG3_ArN-p_bSuJ_qzxa7-pC2sxPtBmWHTv7E4h7kEO4/s1211/PicsArt_04-12-08.13.37.png

__________________


Namaz janaza me do traf salam ki sabhi riwayat zaif he or Ak traf ki sahih he.or ISI trha
Farz namaz mein ek salam ke Muta'alliq Tamaam Marfoo' Riwayaat ZAEEF hai, Albatta Baaz Aasar -E- Sahaba mein ek salam ka zikr hai -..

A'wla aur behtar ye hai ke FeL -E- Nabiﷺ  ke Muta'alliq Farz namaz mein Salam dono taraf phera jaaye -

Lekin namaze janaza me ye chij sabit nhi

Sahaba kiraam wa Taba'yeen -E- izaam ke aasaar se Farz namaz mein bhi ek taraf salam par iktefaa ka jawaz saabit hota hai, Muhaddiseen kiraam se iski Mukhalifat saabit nahi ha, Lihaza jab Farz Namaz me ek taraf Salam pherne par ikhtefaa kiyaa jaa sakta hai tho Namaz -E- Janaza mein tho BiL Awla jayaz hai, iss par Suhaga ye ke isme Nass bhi Sabit hai -

• natija . Namaze Janaza mein sirf Ek Salam ha, Dono taraf salam pherna, Nabi Kareemﷺ  yaa kisi Sahabi se Baa - Sanad Saheeh saabit nahi hai -

__________


Comments

Popular posts from this blog

Masla fatiha khalf ul imam

Hazrat Abdullah ibne masood Rd ki tark rafulyadain ki riwayat ki haqiqat

Kya imam Sufiyan bin sayeed as sorri mudalis nahi the?