Fatiha khalf ul Imam par Hadees a Abu hureara raziallahu par ateraz?
Abu hureara raziallahu anhu ki hadees imam ke piche sureh fatiha padna par hanfiyo Ka ateraz or uska jawab .
4 ateraz .
Post creator zaheer salafi
Hadees.
Hazrath Abu Hurairah raziallahu anhu se riwayat hai :
سَمِعَ أَبَا هُرَيْرَةَ، يَقُولُ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ ـ صلى الله عليه وسلم ـ
مَنْ صَلَّى صَلاَةً لَمْ يَقْرَأْ فِيهَا بِأُمِّ الْقُرْآنِ فَهِيَ خِدَاجٌ غَيْرُ تَمَامٍ "
فَقُلْتُ يَا أَبَا هُرَيْرَةَ فَإِنِّي أَكُونُ أَحْيَانًا وَرَاءَ الإِمَامِ فَغَمَزَ ذِرَاعِي وَقَالَ يَا فَارِسِيُّ👈 اقْرَأْ بِهَا فِي نَفْسِكَ 👉
" Allah ke rasool (ﷺ) ne farmaya : " jis kisi ne Namaz adaa ki Aur Ummul Qur'an (Al - Fatiha ) Nahi pardhi tho uski namaz naaqis hai ; poori nahi hui " maine kaha :
"O Abu Hurairah, Kabhi hum imaam ke peeche hotey hai , Abu Hurairah raziallahu anhu ne mere baazu ko dabaya aur farmaya :
" Aye Farsi ! Apne dil me pardh".
( Sunan ibn Majah: Hadith 838 scan link👇
https://drive.google.com/file/d/1UZzENPounizqsjdoikelUWKt2TrpnnpL/view?usp=drivesdk
_________________________
Ye Hadees Saheeh Muslim mein bhi Maujood hai
( Sahih Muslim Hadees # 878
Scàn link.👇
https://drive.google.com/file/d/1Ua6YEPF4P2xOTXf_NwJWYvCZtsyJSn9Q/view?usp=drivesdk
. "
________________
inn Ahadees pe Muqallideen hazraath ke jaanib se kuch aiterazaath pesh kiye jaate hain....
Aiteraaz No. 1
Ye Hadees Marfoo hisse mein Sabith nahi hoti, ye Thoda Hissa Marfoo hai aur baaqi ka Thoda Hissa Mouqoof hai.
____
Jawab.
Pahli baath : jo Thoda hissa Marfoo hai usme bhi Surah Fatiha ke Wujoob par daleel hai aur Jo Surah Fatiha nahi padtha uski Namaz muqammal nahi hoti ki baath hai.. Aur iss marfoo hisse ko mauqoof hissa Ek Sahabi Tashree kar rahe hain tho ye Qabil -E- Qabool tashree hai kyun ke Marfoo Hadees ke Mutalliq hi khusoosan sawal kiya gaya.
Doosri baath : Ahnaaf ke Yahan mauqoof Hadees Hujjath honi chahiye bina jhijhak ke.
_______________
hanfiyo Ka Aiteraaz No. 2
Hanfi khate he ki is Hadees me
اقْرَأْ بِهَا فِي نَفْسِكَ
Jiska mana hotha he ki Apne Dil me pado .
ke Alfaaz hain, Agar iss Hadees ko hujjath bhi Maan Liya jaye tho ye Dil mein pardne ki baath ho rahee hai.. Tho Dil mein tho Tasawwur kiya jaata hai, Naake Padha jaata hai.
Ya phir tumhara Dil Muh ke paas hai kyaa?? Tum dil se pardte ho ya zabaan se??
___________
Jawab,
Pahli Baath
اقْرَأْ بِهَا فِي نَفْسِكَ
{Apne jee (Dil) mein pardh}
Isse Muraad padhna hi hota hai.. Kyun ke Lafz iqra iss par Dalaalath karte hain...
Doosri Baath : Nafs mein padhne se kya Muraad hai.yha aghar sirf lafz nafsik.ki wajha SE ye kha Jaye ki ise Murad Dil me Padna he to .
Tabhi ye hadees apke masle ki khilaf he apka mana he ki jab imam qirat kre to khamos rho .to ye apki taweel ke baad bi apke khilaf he
Ab nafsik Ka kya mana he
Quran allha Ka farmaan he
👇
وَٱذْكُر رَّبَّكَ فِى نَفْسِكَ تَضَرُّعًۭا وَخِيفَةًۭ وَدُونَ ٱلْجَهْرِ مِنَ ٱلْقَوْلِ بِٱلْغُدُوِّ وَٱلْءَاصَالِ وَلَا تَكُن مِّنَ ٱلْغَٰفِلِينَ
aur aye shaqs! apne rab ki yaad kiya kar, apne dil mein aajizi ke saath aur khauf ke saath aur zor ki awaaz ki nisbath kam awaaz ke saath, subah aur shaam aur ahle ghaflat mein se math hona
(Surah Aaraf - 7 : 205)
Scan link.👇
https://drive.google.com/file/d/1V9bArHeiJEbrJY0qK4CrxOjFYr7__lGQ/view?usp=drivesdk
_____________________________
▪ iss Aayat Kareema mein Gaur karein, Allah Rabbul Alameen ne farmaya,
Allah ka zikr karo.,
kaise karo??
wahi Lafz "Fee Nafsik" Apne Dil mein... Ab
"Fee Nafsik" - Dil mein Zikr kaise hota hai...??
Aage Allah Rabbul Alameen khud wazaahath ke saath farmate hain...
Zor ki awaaz ke nisbath kam awaaz ke saath,
(Yaani Fee Nafsik Zikr karne ka maana Allah Rabbul Alameen ne ye Farmaya ke jahran ki Nisbath Sirran padhna)
▪ Saabith hua ke "Fee Nafsik" se Murad Aahistha padhna hai Zor ki nisbath.
(Zor se nai... aahistha
Jahr nai Sirran)
Teesri Baath :
Muhaddiseen, Shareheen, Lughat ke Mahireen ne iss se Muraad Aahistha aur Sirran Padhna hi muraad Liya hai aur Tashree bhi kee hai.
👇👇👇👇👇👇
Muhaddiseen kiraam iss hadees se muqtadi par Surah Fatiha ki Qirat ko
laazim qaraar detey hain - iske barAqs Baaz log muhaddiseen ki riwayaath ko Apna Ma'ani pahnaatey hain , ye kisi tarah durust nahi - Kahtey hain ke ye Alfaaz munfarid ke baare me hai , ya sirri namazon ke baare me hai , Ya Tadabbur wa Tafakkur par mahmool hai , zeil mein hum saabith karenge ke ye tamaam mafaheem par khata hai aur durust ma'ani wahi hai jo ayimma wa muhaddiseen ne liya hai -
imaam Baihaqi rahimahullah farmatey hain :
وَالْمُرَادُ بِقَوْلِهِ: «اقْرَأْ بِهَا فِي نَفْسِكَ» أَنْ يَتَلفَظَّ بِهَا سِرًّا دُونَ الْجَهْرِ بِهَا وَلَا يَجُوزُ حمَلُهُ عَلَى ذِكْرِهَا بِقَلْبِهِ دُونَ التَّلَفُّظِ بِهَا لِإِجْمَاعِ أَهْلِ اللِّسَانِ عَلَى أَنَّ ذَلِكَ لَا يُسَمَّى قِرَاءَةً وَلِإِجْمَاعِ أَهْلِ الْعِلْمِ عَلَى أَنَّ ذِكْرَهَا بِقَلْبِهِ دُونَ
" Syedna Abu Hurairah Raziallahu anhu k Qaul " iqra biha fee nafsik "
se muraad ye hai ke Surah Fatiha ko sirran pardha jaaye , oonchi awaaz se ( jahran ) Naa parda jaaye - inn alfaaz ko dil mein Surah Fatiha pardne aur zabaan se adaa Naa karne par mahmool nahi kiya jaa sakta , kyun ke Ahle Lughath ka ijmaa hai ke dil mein pardne ko Qirat nahi kaha jaata , Nez Ahle ilm ka ijma hai ke Fatiha ko dil se pardna aur zabaan se Naa adaa karna , Naa ( namaz ki sharait mein se koi ) Sharth hai aur Naa hi masnoon Amal hai , Lihaaza iss riwayath ko aise ma'ani par mahmool karna jaayez nahi , jiska Naa koi Qaayil ho aur Naa Lughath Arab iska saath dein - wa billahit Taufeeq ".
( kitaab Al Qirat khalfal imaam , Safa : 31 )
Scan link.👇
https://drive.google.com/file/d/1VBGjC-OoJTxBdbdV-hzEfjNjkyUelTrx/view?usp=drivesdk
________________
Haafiz Nawawi Rahimahullah Farmaatey hain :
قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ لَا يُجْزِي صَلَاةٌ لَا يُقْرَأُ فِيهَا بِفَاتِحَةِ الْكِتَابِ رَوَاهُ أَبُو بَكْرِ بْنُ خُزَيْمَةَ فِي صَحِيحِهِ بِإِسْنَادٍ صَحِيحٍ وَكَذَا رَوَاهُ أَبُو حَاتِمِ بْنُ حِبَّانَ وَأَمَّا حَدِيثُ اقْرَأْ مَا تَيَسَّرَ فَمَحْمُولٌ عَلَى الْفَاتِحَةِ فَإِنَّهَا مُتَيَسِّرَةٌ أَوْ عَلَى مَا زَادَ عَلَى الْفَاتِحَةِ بَعْدَهَا أَوْ عَلَى مَنْ عَجَزَ عَنِ الْفَاتِحَةِ وَقَوْلُهُ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ لَا صَلَاةَ لم لمن يَقْرَأْ بِفَاتِحَةِ الْكِتَابِ فِيهِ دَلِيلٌ لِمَذْهَبِ الشَّافِعِيِّ رَحِمَهُ اللَّهُ تَعَالَى وَمَنْ وَافَقَهُ أَنَّ قِرَاءَةَ الْفَاتِحَةِ وَاجِبَةٌ عَلَى الْإِمَامِ وَالْمَأْمُومِ وَالْمُنْفَرِدِ وَمِمَّا يُؤَيِّدُ وُجُوبَهَا عَلَى الْمَأْمُومِ قَوْلُ أَبِي هُرَيْرَةَ اقْرَأْ بِهَا فِي نَفْسِكَ فَمَعْنَاهُ اقْرَأْهَا سِرًّا بِحَيْثُ تُسْمِعُ نَفْسَكَ وَأَمَّا مَا حَمَلَهُ عَلَيْهِ بَعْضُ الْمَالِكِيَّةِ وَغَيْرُهُمْ أَنَّ الْمُرَادَ تَدَبُّرُ ذَلِكَ وَتَذَكُّرُهُ فَلَا يُقْبَلُ لِأَنَّ الْقِرَاءَةَ لَا تُطْلَقُ إلا على حركةاللسان بحيث يسمع نفسه ولهنا اتَّفَقُوا عَلَى أَنَّ الْجُنُبَ لَوْ تَدَبَّرَ الْقُرْآنَ بِقَلْبِهِ مِنْ غَيْرِ حَرَكَةِ لِسَانِهِ لَا يَكُونُ قَارِئًا مُرْتَكِبًا لِقِرَاءَةِ الْجُنُبِ الْمُحَرَّمَةِ وَحَكَى الْقَاضِي عِيَاضٌ عَنْ عَلِيِّ بْنِ أَبِي طَالِبٍ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ وَرَبِيعَةَ وَمُحَمَّدِ بْنِ أَبِي صُفْرَةَ مِنْ أَصْحَابِ مَالِكٍ أَنَّهُ لَا يَجِبُ قِرَاءَةٌ أَصْلًا وَهِيَ رِوَايَةٌ شَاذَّةٌ عَنْ مَالِكٍ وَقَالَ الثوري والأوزعاني وَأَبُو حَنِيفَةَ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُمْ لَا يَجِبُ الْقِرَاءَةُ فِي الرَّكْعَتَيْنِ الْأَخِيرَتَيْنِ بَلْ هُوَ بِالْخِيَارِ إِنْ شَاءَ قَرَأَ وَإِنْ شَاءَ سَبَّحَ وَإِنْ شَاءَ سَكَتَ وَالصَّحِيحُ الَّذِي عَلَيْهِ جُمْهُورُ الْعُلَمَاءِ مِنَ السَّلَفِ وَالْخَلَفِ وُجُوبُ الْفَاتِحَةِ فِي كُلِّ رَكْعَةٍ لِقَوْلِهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ لِلْأَعْرَابِيِّ ثم افعل ذلك في يصلاتك كُلِّهَا قَوْلُهُ سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى
" ye riwayath imaam Shafa'i Rahimahullah wagairah ki daleel hai - ( jo kahtey hain : ) imaam , muqtadi aur munfarid par Fatiha pardna wajib hai - Muqtadi ke liye wajoob ki daleel Syedna Abu Hurairah raziallahu anhu ka ye fatwa bhi hai " اقْرَأْ بِهَا فِي نَفْسِكَ "
Aahistha Awaaz mein Surah Fatiha Pardein , iska ma'ani hai ke itni maqfi awaaz mein pardein ke aap khud ko sunaa sakein , baaz Maalikiya wagairah ne inn Alfaaz se muraad Tadabbur karna aur Yaad dihaani liya hai , ye ma'ani Qabool nahi , Kyun ke Qirat ka itlaaq tab hi ho sakta hai , jab zubaan ko itni harkath dee jaaye ke khud ko awaaz sunayee de - isi tarah Ahle ilm ka ittefaaq hai ke junbi Shaks Agar Quran mein dil se Tadabbur karey aur zabaan ko harkath na de , tho isey Quran pardne wala Aaur haalath-e-janabath mein Qirat karne par Gunaah ka murtaqib Qarar nahi diya jaata ".
( Sharah Saheeh Muslim : 4/ 88)
Scan link.👇
https://drive.google.com/file/d/1WYQmsYlcH_WlP9PnVNx2bJICDFnQBPkw/view?usp=drivesdk
Isi trha Allama Anwar Shah Kashmiri kahtey hain : jiska Kuch mafaum 👇
" baaz Hanfi mudarriseen ka kahna ke " القْرَأْ فِي نَفْسَِ " se muraad Tadabbur wa Tafakkur hai ( Durust nahi kyun ke ) iss ma'ani ki lughath muwafiqath nahi karti ".
Al Arfush Shazi : jild safa no.372
Iske allawa bi allama Anwar shah kashmiri.ne is par lambi guftgu ki
Scan link.👇
https://drive.google.com/file/d/1W6fzByD1Zq9KPnIp8wn2-6M8l_0yPP3D/view?usp=drivesdk
______________
Sabith Hua ke "Iqra biha fee nafsik" se imaam ke Peeche
Aahistha aur Sirran padhna sabith hota hai
Hanfi yo Aiteraaz No. 3
Kuch Ulama jaise imaam ibn Qudama rahimahullah Ne iss Hadees ko Gair Muqtadi Yaani Akele Namazi par Mahmool kiya hai... Ye Muqtadi ke bare mein nahi hai.
▪AL JAWAB :
Pahli baath :
Jab Sawal hi Muqtadi ke Bare mein kiya gaya hai tho Ye kaise hosakta hai ke isko (infiraadi) Akele Namazi par Mahmool Kiya jaaye??
▪ Mazeed ye ke Voh Farsi Sahabi ne Sawal mein ye bhi poocha ke, Aye Abu Hurairah (Raziallahu Anhu)
فَإِنِّي أَسْمَعُ قِرَاءَةَ الْإِمَامِ،
" my imaam ki Qirat sunn raha hota hun "
( Musnad Al humaidi : 1004 , Saheeh
Scan link.👇
https://drive.google.com/file/d/1VcJRal-uDiqjn4LnJQkaD5vcyBIpUV_m/view?usp=drivesdk
________
yaani ke Abu Hurairah raziallahu anhu se sawal hua, Jab imaam Qira'at kar raha hoo (jahri namazon mein) kya kiya jaaye... Tho iske jawab mein bhi Abu Hurairah raziallahu Anhu ne farmaya :
"iqra biha fee Nafsiq"
(Apne dil mein padh - chaahe imaam Jahri Qiraat kar raha hoo...)
Maloom hua ke ye inferaadi ke Talluq se nahi balke, Muqtadi ke Talluq se hi hai.
Doosri baath :
Jab Ye Aiteraaz kiya jaata hai ke iss Hadees mein tho Dil
Se padhne ka zikr hai, Lekin tumhare Muqtadi tho Zubaan se Padtey hain... Ab ye Mantiq kahan Chali gayi jab isko Akele namazi (inferadi) par mahmool kiya jaata hai ke.. Kya Akela Namazi Dil se padhta hai ya zubaan se?? Obviously zubaan se...! Ab ye sawal nahi kiya jaayega ke Uss inferaadi namazi ki Zubaan Kahan hai dil ke paas ya muh mein??
▪ Ye Muqtadi ke Liye hi hai.. Jaisa ke upar zikr kiya jaa chuka hai ke Muhaddiseen ne isko Muqtadi ka Surah Fatiha
Sirran padhna Muraad Liya hai.
Aiteraaz : 4
Dil mein padhna aur Naa padhna dono barabar hai..usko sawab nahi milta. Dil mein Padha nahi jaata bass Tasawwur kiya jaata hai.
Jaise DiL mein Dee gayi talaq ki koi Haisiyath nahi.
▪AL JAWAAB :
Jab Dil mein padhna aur Naa Padhna dono barabar hai tho Allah Rabbul Aalameen Apne Bande ke Ek Ek aayat ka jawab kyun dete hain?? Jab Usne Padha hi nahi tho Usko Allah Rabbul Aalameen inamaath kyun dete hain.??
Hadees 👇👇👇👇👇
وَحَدَّثَنَاهُ إِسْحَاقُ بْنُ إِبْرَاهِيمَ الْحَنْظَلِيُّ، أَخْبَرَنَا سُفْيَانُ بْنُ عُيَيْنَةَ، عَنِ الْعَلَاءِ، عَنْ أَبِيهِ، عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، عَنِ النَّبِيِّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ: «مَنْ صَلَّى صَلَاةً لَمْ يَقْرَأْ فِيهَا بِأُمِّ الْقُرْآنِ فَهِيَ خِدَاجٌ» ثَلَاثًا غَيْرُ تَمَامٍ. فَقِيلَ لِأَبِي هُرَيْرَةَ: إِنَّا نَكُونُ وَرَاءَ الْإِمَامِ؟ فَقَالَ: «اقْرَأْ بِهَا فِي نَفْسِكَ»؛ فإنِّي سَمِعْتُ رَسُولَ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يَقُولُ: قَالَ اللهُ تَعَالَى: قَسَمْتُ الصَّلَاةَ بَيْنِي وَبَيْنَ عَبْدِي نِصْفَيْنِ، وَلِعَبْدِي مَا سَأَلَ، فَإِذَا قَالَ الْعَبْدُ: {الْحَمْدُ لِلَّهِ رَبِّ الْعَالَمِينَ} [الفاتحة: 2]، قَالَ اللهُ تَعَالَى: حَمِدَنِي عَبْدِي، وَإِذَا قَالَ: {الرَّحْمَنِ الرَّحِيمِ} [الفاتحة: 1]، قَالَ اللهُ تَعَالَى: أَثْنَى عَلَيَّ عَبْدِي، وَإِذَا قَالَ: {مَالِكِ يَوْمِ الدِّينِ}، قَالَ: مَجَّدَنِي عَبْدِي - وَقَالَ مَرَّةً فَوَّضَ إِلَيَّ عَبْدِي - فَإِذَا قَالَ: {إِيَّاكَ نَعْبُدُ وَإِيَّاكَ نَسْتَعِينُ} [الفاتحة: 5] قَالَ: هَذَا بَيْنِي وَبَيْنَ عَبْدِي، وَلِعَبْدِي مَا سَأَلَ، فَإِذَا قَالَ: {اهْدِنَا الصِّرَاطَ الْمُسْتَقِيمَ صِرَاطَ الَّذينَ أَنْعَمْتَ عَلَيْهِمْ غَيْرِ الْمَغْضُوبِ عَلَيْهِمْ وَلَا الضَّالِّينَ} [الفاتحة: 7] قَالَ: هَذَا لِعَبْدِي وَلِعَبْدِي مَا سَأَلَ قَالَ: سُفْيَانُ، حَدَّثَنِي بِهِ الْعَلَاءُ بْنُ عَبْدِ الرَّحْمنِ بْنِ يَعْقُوبَ، دَخَلْتُ عَلَيْهِ وَهُوَ مَرِيضٌ فِي بَيْتِهِ. فَسَأَلْتُهُ أَنَا عَنْهُ
Hazrath Abu Hurairah raziallahu anhu se In honei Nabi ﷺ se rivayat ki ke aap ﷺ ne farmaya : " jisne koi namaz padhi aur is mei Ummul Quran ( Surah Fatiha ) ki Qiraat na ki toh naqis hai " - teen martaba farmaya yaani poori hi nahi - Abu Hurairah raziallahu anhu se kaha gaya : Hum Imaam k piche hotey hain inhonei kaha isko apne dil mei padhlo kyun ki maine Rasoolullah ﷺ se suna Aap farma rahe thea " Allah taala ne farmaya : Main ne Namaz apne aur apne bandei k darmiyan aadhi aadhi taqseem ki hai aur mere bandei ne jo maanga iska hai jab banda {الْحَمْدُ لِلَّهِ رَبِّ الْعَالَمِينَ} - sab tareef Allah hi ke liye hai , jo jahano ka Rab hai. Kehta hai toh Allah taala farmata hai : ( حَمِدَنِي عَبْدِي ) Mere bandei ne meri tareef ki aur jab voh kehta hai { الرَّحْمَنِ الرَّحِيمِ } - sab se zyada reham karne vala hamesha meherbani karne vala toh Allah taala farmate hain : (أَثْنَى عَلَيّ َ عَبْدِي ) " mere bandei ne meri sana bayaan ki " phir jab voh kehta hai { مَالِكِ يَوْمِ الدِّينِ }- jaza k din ka malik toh Allah farmatei hain : ( مَجَّدَنِي عَبْدِي ) mere bandei ne meri buzurgi bayaan ki aur ek dafa farmaya : mere bandei ne apne muamlaat mere Supurd kar diye - phir jab vo kehta hai { إِيَّاكَ نَعْبُدُ وَإِيَّاكَ نَسْتَعِينُ } - " hum tere hi bandagi karte hain aur tujh se hi madad chahtei hain ". Toh Allah farmata hai : ( هَذَا بَيْنِي وَبَيْنَ عَبْدِي ) " ye hissa mere aur mere bandei ke darmiyan hai aur mere bandei ne jo maanga iska hai " aur jab voh kehta hai { اهْدِنَا الصِّرَاطَ الْمُسْتَقِيمَ صِرَاطَ الَّذينَ أَنْعَمْتَ عَلَيْهِمْ غَيْرِ الْمَغْضُوبِ عَلَيْهِمْ وَلَا الضَّالِّين } " hame raah raast dikha, un logon ki raah jin per tune inaam farmaya, na gazab kiye gaye logon ki ho aur na gumrahon ki " toh Allah farmata hai : ( هَذَا لِعَبْدِي وَلِعَبْدِي مَا سَأَلَ ) "ye mere bandei k liye hai aur mere bandei ka hai jo isne maanga. "
(Sunan Nasai : 910, Sanadahu Saheeh ) scan link.👇
https://drive.google.com/file/d/1VnKsY6CgStUNPda1EPVPLsV8qCdSGVTW/view?usp=drivesdk
To khulasa ye
Chaahe imaam ho, Muqtadi ho inferadi ho, Farz ho Nafil ho
Surah Fatiha ko Aahistha (Sirran) pardhna Chahiye
Siwaye imaam ke aur Mustasna Haalaath ke.
Comments