Kya hath chodkar namaz padna jaiz he

kya hath chodkar namaz padna jaiz hai

Zaheer salafi

mirza ali engineer ne hath chodkar namaz padne par Chand dalail shiyo ki himayat me diye jiski tahaqiq pesh khidmat hai 

mirza ne pahle ye kaha ki 
hasan basari rahimullah . Ibrahim nakhi or saeed bin mushyab hath chodkar namaz padte the halaki inme se kisi ak se bi basanad sahih ye amal sabit nahi 


 pahli daleel.

حدثنا أبو بكر قال : حدثنا هشيم عن يونس عن الحسن ومغيرة عن إبراهيم أنهما كان يرسلان أيديهما في الصلاة

Hajarte Hasan or hajrate ibarahim namaz me hath chodte te.

Musanaf ibne abi shayaiba .hadees no.3973
scan




iski sanad zaeef hai kyuki isme rawi Husheim.bin basheer al wasati mudallis hain 

fath al mubeen fi Tahaqiq tabqatul mudalliseen 130)
scan


or riwayat an ke sath hai or sama ki tasreeh nahi ki lihaza ye riwayat zaeef hai 


dusri daleel 

حدثنا عمر بن هارون عن عبد الله بن يزيد قال : ما رأيت ابن المسيب قابضا يمينه في الصلاة كان يرسلها

Abdullah bin yazeed farmate he ki Saeed bin Musayyab.namaz hath chodkar padte the

Musanaf ibne abi shayaiba .hadees no.
3976)
scan



ye bi sabit nahi iski sanad me umar bin haroon matruk ravi hai 

imam hayshami rahimullah farmathe hai

عُمَرُ بْنُ هَارُونَ الْبَلْخِيُّ، وَهُوَ مَتْرُوكٌ.

umar bin haroon albalkhi matrook hai

majmau zawaeid jild 10 safa 286 raqam 18060)
scan



majid ak jagah kahte hai

ضعفہ أکثر الناس

aksar logo ne (Muhadiseen) ne ise zaeef kaha hai

majmau jawaid jild 1 safa 379.raqam1478 )
scan

ak jagah kahte hai 

عُمَرُ بْنُ هَارُونَ وَهُوَ ضَعِيفٌ.
umar bin haroon zaeef hai

majmau zawaeid Jild 8 safa 98 raqam 13170

Hafiz ibne hajar askalani rahimullah farmathe hai 

متروك
matrook hai

taqreeb at tahgeeb raqam،5014)
Scan



is ravi par majid jarha ke liye dekhe

 mizaan ul ateedal jild 2safa 228)
 scan

or silsilah ahadise zaofa shaikh Albany jild 2 safa 11)

tisri daleel


mirza ne sahabi a Rasool abdullah bin zubair raziyallahu anhu par bi ye jhut bola ki vo halate qayam me ruku se pahle hath chodte the or hath chodkar namaz padte the 

daleel 3
حدثنا عفان قال حدثنا يزيد بن إبراهيم قال : سمعت عمرو بن دينار قال كان ابن الزبير إذا صلى يرسل يديه

amar bin dinnar ne kaha Abdullah ibne Zubair radiallha anhu hath chodkar namaz padte te.

Musanaf ibne abi shayaiba.hadees no.3974)
scan



awalan to is riwayat me sirf hath chodne ka jikr hai ye wajhat nahi ki vo ruku se pahle chodte the ya baad me or Mumkin hai ki vo ruku ke baad chodte ho kyuki abdullah bin Zubair radiallha anhu khud farmathe hai 

صَفُّ الْقَدَمَيْنِ وَوَضْعُ الْيَدِ عَلَى الْيَدِ مِنْ السُّنَّةِ

qadmo ko brabar rakhna or hath par hath rakhna sunnat hai

sunan abu Dawood hadees 754) 

scan



yani abdullah bin zubair khud riwayat karte hai ki hath par hath rakhna sunnat hai fir vo kese Ruku se pahle hath chodnge

or dusree baat ye riwayat sabit nahi 

is riwayat me amar bin dinnar al makki mudallis hai

MajMaul mudalliseen safa 349)
scan




 or sama ki tasreeh nahi ki is liye riwayat zaeef hai 

imam hakim nishapuri Rahimullah kahte hai

وَأَنَّ عَامَّةَ حَدِيثِ عَمْرِو بْنِ دِينَارٍ عَنِ الصَّحَابَةِ غَيْرُ مَسْمُوعَةٍ
 
amar bin dinnar ki aam tour se sahaba se bayan ki gyi riwayat me kisi me bi sama nahi

marifat uloom ul hakim safa 111)
scan


imam abu jurra kahte hai

من يسمع من أبي هريرة

abu huraira raziyallahu anhu se nahi suna

tahgeeb at tahgeeb Jild 8 safa 30)
scan



imam yahya ibne maeen rahimullah kahte hai 

لم يسمع من البراء بن عازب

barra bin ajib raziyallahu anhu se inka sama nahi 

tahgeeb at tahgeeb Jild 8 safa 30)
scan



imam tirmizi kahte hai


قال البخاري لم يسمع عمرو بن دينار من بن عباس

imam Bukhari ne kaha amar bin dinnar ne ibne abbas se nahi suna 

tahgeeb at tahgeeb Jild 8 safa 30)
scan



baaj riwayato me amar bin dinnar ne agharche sama kiya hai lekin darje jail bala riwayat me sama nahi is wajha se ye riwayat zaeef hai 

lihaza jab tak mudallis ravi ka sama sabit na ho riwayat zaeef na kabile hujjat hai 


Comments

Popular posts from this blog

Masla fatiha khalf ul imam

Hazrat Abdullah ibne masood Rd ki tark rafulyadain ki riwayat ki haqiqat

Kya imam Sufiyan bin sayeed as sorri mudalis nahi the?