Hajrate Ali raziyallahu anhuor ana's raziyallahu anhu ki traf mansub naf ke niche hath Bandane ki hadees
Naaf ke niche hath bandne ki dusri sanad post no.2
Zaheer salafi .
أخربنا أبو احلسن بن الفضل ببغداد، أنبا أبو عمر بن السماك، ثنا حممد بن عبيداهلل بن املنادي، ثنا أبو حذيفة ثنا سعيد بن زريب عن يابت عن أنس قال: من أخالق النبوة تعجيل اإلفطار، وتأخري السحور، ووضعك ميينك على مشالك يف الصالة حتت السرة
“Sahabi e Rasool Anas raziyallahu anhu se riwayat hai ke unho’n ne
kaha: Nabuwwat ke aqhlaaq me se hai, iftaar me
jaldi karna, sehri me taqhair karna aur namaz me daae’n hath ko baae’n hath par rakh kar zere naaf rakhna
Al muhalla ibne hajam .jild 3 safa no.30.
Scan link.https://drive.google.com/file/d/1XLAnWzIYrVH9u88GovyQny-yfRThxeV3/view?usp=drivesdk
Ye 👆 riwayat Khilafiyaat lil Baheqhi: jild 2 safa no.253 par bi he
,____________________
Isme rawi Saeed bin zarbi zaif he .
1)Imam Ibne Muyeen ne kahte he
سعيد بن زريب ليس بشيئ
Iski koi hesiyat nhi he
Tarikh ibne moyeen jild 4 safa no.89
Scan link.https://drive.google.com/file/d/1XPw1G2xk_gc4LDTWybbOgSXnrybvSkob/view?usp=drivesdk
2)Imam Abu Haatim ar Raazi khate he
سعيد بن زريب ضعيف احلديث منكر احلديث، عنده عجائب من
املناكري.
“Saeed bin Zarbi zaeef aur munkar ul hadees hai, iske paas ajeeb o ghareeb munkar riwayaat he
Jarha WA tadeel .Jild 4 safa no.23
Scan link.https://drive.google.com/file/d/1XVcSHKiP1zlzVDPuP5GpvtEwLwooyAbg/view?usp=drivesdk
3)Imam Baheqhi ne kahte he
ضعيف سعيد بن زريب من ضعفاء
“Ye zaeef he
“Saeed bin Zarbi zoafa mein se he
Sunan Kubra lil Baheqhi: jild1 safa 563
Scan link link.https://drive.google.com/file/d/1XWZa14E2iQqzd26JibXNswDBF9EDoimN/view?usp=drivesdk
4)Imam Haafiz Ibne Hajar ne kahte he
سعيد بن زريب منكر..احلديث
Ye munkar ul hadees he
Taqreeb at tahzeeb 2304
Scan link.
https://drive.google.com/file/d/1X_LpJZZ1DrVGrwJlrH-B_rZiAML7ZWUw/view?usp=drivesdk
Khulasa ye he ki ye hadees zaif he .
Or is trha ki naaf me niche hath Bandane tamam riwayate mardud he na Kabile hujjat he .
__________________________________
2) hadees
عن علي قال: ثالثة من أخالق األنبياء: تعجيل اإلفطار، وتأخري السحور، ووضع األكف على األكف حتت السرة يف الصالة )ابن شاهْي، و أبو حممد اإلبراهيمي يف كتاب الصالة، وأبو القاسم بن منده يف اْلشوع.
“Sahabi e Rasool Ali se manqool hai ke unho’n ne
kaha: 3 cheeze’n Ambiya Ikram ke aqhlaaq mein se
hain: Iftaar mein jaldi karna, Sehri mein taqhair karna
aur Namaz mein hatheli ko hatheli par rakh kar naaf
ke neeche rakhna”
Al Jaame ul Kabeer lis Siyuti: jild 17 safa.603 hadees no.782
Scan link
https://drive.google.com/file/d/1Xfxr1HQXUrqAm4aO9pmXhvTva9f4fQQF/view?usp=drivesdk
Note.Ye riwayat Bila sanad he imam suyuti ne iski sanad bayan nhi ki he is liye ye kabile hujjat nhi .
3) Hadees
حدثِن زيد بن علي عن أبيه عن جده عن علي قال: ثالث من
أخالق األنبياء، صالة اهلل و سالمه عليهم، تعجيل اإلفطار، وتأخري
السحور، ووضع الكف على الكف حتت السرة.
“Sahabi e Rasool Ali se manqool hai ke unho’n ne
kaha: 3 cheeze’n Ambiya e Ikram ke aqhlaaq mein se
hain. Iftaar mein jaldi karna, sehri mein taqhair karna
aur daae’n hatheli ko baae’n hatheli par rakh kar zere naaf rakhna”.
Musnad Zaid bin Ali: .safa no.183
👆Ye riwayat baatil aur jhoot hai, kyou’nke ye aisi kitab se naqal ki gai hai, jo khud-saaqhta aur man-ghadat hai.
Chunache “Musnad e Zaid bin Ali” ke naam se ye kitab “Zaid bin Ali bin al Hussain bin Ali bin Abi Taalib al Quraishi
al Hashmi w.122.h ki taraf mansoob hai. Jisme Zaid bin Ali ko apne abaa o ajdaad (a’an Abiya a’an Jaddah a’an
Ameer ul Momineen Ali) ki sanad se ahadees bayan karte hue zaahir kiya gaya hai. Lekin ye jhooti nisbat hai.
Kyuke kisi bhi zariye se ye saabit nahi hai ke Zaid bin Ali ne aisi koi kitab likhi ho. Musnad Zaid bin Ali ka jo
maujooda nusqha hai, isme do (2) jagah is kitab ki sanad darj he Jo is tarha he
حدثني عبد العزيز بن إسحاق بن جعفر بن اهيثم الضاضي البغدادي قال: حدثنا أبو القاسم علي بن محمد النخعي الكوفي قال: حدثنا سليمان بن إبراهيم بن عبيد
1428 المحاربي قال: حديثني نصر بن مزاحم المنقري العطار قال: حدثني إبراهيم بن الزبرقال التيمي قال: حدثني أبو خالد الواسطي قال: حدثني ريد بن علي...
musnad zaid bin Ali safa no.48.or safa no.387
.
Is sanad ka har raawi mutakallim fiya hai, balkey baaz matrook aur khabees mazhab waale hain. Lekin sabki tafseel
pesh karne ke bajae
Abu Khalid Umro bin Khalid al Waasti
ki haqeeqat bayan kar dena kaafi hai. Kyou’nke
yhi wo shaqs hai, jisne is majmue ko apni taraf se ghadha hai aur isey Zaid bin Ali ki taraf mansoob kar diya hai.
Abu
Khalid Umro bin Khalid al Waasti ne
Zaid bin Ali ki kitab riwayat nahi ki, balkey khud hi ye kitab murattab
ki hai. Yaad rah eke Zaid bin Ali ka apni musnad murattab karna saabit
nhi
naa mohaddiseen ne inhe’n kisi
musnad ka musannif kaha hai. Ye is baat ki daleel hai ke is majmua ko murattab karne waala yehi Abu Khalid Umro
bin Khalid al Waasti hai, aur isne apni taraf se jhoot aur kazb bayaani se kaam lete hue is majmua ko murattab
karke Zaid bin Ali ki taraf mansoob kar diya hai.
Khalid Umro bin Khalid al Waasti par mohaddisin ki jarha .
1) imam ahemad bin Hambal khate he
كذاب، يروي عن زيد بن علي، عن آبائه، أحاديث موضوعة، يكذب
“Ye bahot bada jhoota.( Kazzab ) hai. Ye Zaid bin Ali se inke abaa o ajdaad Ali se tareeq ke) عن زيد بن علي عن آبائه عن أمير المؤمنين علي( se riwayat bayan karta hai”
Tehzeeb ul Kamaal lil Mazee: jild 21 safa.605 scan link.
https://drive.google.com/file/d/1X_t9ISIVFKucBxAlRSvxtdltq7FtA6Ne/view?usp=drivesdk
Imam Ahmad ke is qaul se maloom hua ke Abu Khalid Umro bin Khalid al Waasti ka murattab kiya hua
Musnad Zaid bin Ali ke naam se ye poora majmua mauzu aur khud-saaqhta hai. Jisey Abu Khalid Umro bin
Khalid al Waasti ne ghadaa hai
2) Imam Ishaq bin Raahwiya khate
يضع حلديث
Ye hadees ghadta hai
Or iske niche hi imam ahemad ke hawale se ise matruk kha gya .or ise aghe kazzab kha gher siqa waghera scan me Dekhe
Al Jirah wa Ta’adeel laa Ibne Abi Haatim: jild6 safa .230
https://drive.google.com/file/d/1XdJkXVxqF80j80zJPTbbO7m1evlZu1fS/view?usp=drivesdk
3) imam Abu dawood khate he
هذاكذاب
Ye bhut bda jhuta he
Tehzeeb ul Kamaal lil Mazee: jild 21 safa .606
Scan /https://drive.google.com/file/d/1Xeka2BfU5DJ29LDXguHH4avhWIOlZpNl/view?usp=drivesdk
Is rawi par Kai makamat par jarha ki gyi he 👇
Kitab uz Zoafa wal Matrukeen lid Darqutni: P159 (Al
Azhari)
Sunan Kubra lil Baheqhi: V1 P349
Zaeera tul Huffaz laa Ibnul Qisaraani: V2 P892
Al Kaashif liz Zahabi: V2 P75
Talqhees ul Habeer laa Ibne Hajar: V1 P259
.jab kitab hi sabit nhi to ye riwayat kese sabit ho Sakti he .
imam Abu Yaala Khalili Rh. Likhte He Ke
"Ahele kufiyo Ne Syedna Ali aur Ahle Bait Ki Fazeelat mein 3 Laakh Hadeesen Gadh Kar phela Di Hain,
Al-irshad safa no. 420
Scan link.👇
https://drive.google.com/file/d/1YIv5EqjNhp4ro6CkYQTLwX102QFM6wF5/view?usp=drivesdk
Shaikh makbul bin hadeey Rh farmate he
jitne bi bidati he pehle ho ya baad wale vo jarah o Tadeel se dartay he , or is se ( logon ko ) mutnafar karte he , kyun ke bila shuba vo ye achi terhan jantay hain ke, vo khud bhi majrooh hai.
Rizal ul Hakeem makbul bin hadee jild 1 safa no.4 scan link.👇
https://drive.google.com/file/d/1Y57UfnXuUf66ZfBT7bJxENxG5RQB1AUx/view?usp=drivesdk___
___________________________________________________
Post no.1 .naaf ke niche hath Bandane ki 7 zaif sanad 👇 linkhttps://kitabullha.blogspot.com/2020/12/no.html?m=1
__________________________________________________
Kya seene par hath bandane ki hadees ibne khujema ki zaif he la ijma ko jawab 👇
https://kitabullha.blogspot.com/2020/11/kya-seene-par-hath-bandne-ki-hadees.html?m=1
___________________________________________________
Hath chodkar namaz padne ki daleelo Ka jawab radd Ali Mirza .Maliki .shiya .link.👇
https://kitabullha.blogspot.com/2020/12/kya-hath-chodkar-namaz-padna-jaiz-he.html?m=1
___________________________________________________
Comments