Kya abdullha bin Muteey bin aswad raziyallahu anhu sahabi NAHI he





Kya abdullha bin Muteey Sahabi NAHI he ?



Tahrir.Taaifa mansoorah.

Roman English post create zaheer salafi

kifayatullah sanabili sahab ne kha ke  Al garj Ibn Mutiy sahabi nahi he mere naaqis ilm ki had tak kisi ne bi inhe  sahabi NAHI kha he

{ Yazid ban muawiya par ilzamaat ka tehqeeqi jaiza : safa . 720.scan link👇

https://drive.google.com/file/d/1_o6mUkaSILkLEFvfIhFHyf_Sg7WO5Lyj/view?usp=drivesdk

: kifayatullah sanabili  sahab ne  apni kitaab me Muhaddis Sheikh Zubair Ali zai Rh ka iqtabas zikar kya he jaisa ke :  Zubair Ali zai sahab btorِ ilzaam aik dosre par  aitraaz paish karte hue likhte

neez btorِ ilzaam arz he ke agar is riwayat ko sahih tasleem kya jaye to Yazid bin muawiya ka sharaabi or tarak  Salah ( namaz) chodne  hona saabit hojata hai. Kyuke Abdullah bin   Muteey bin aswad . rd ne rasullha ﷺ  ko dekha he yani vo riwayat ke lihaz se sahabi he. inhe Hafiz Ibn hibban
Ibn zahabi or  Ibn hajr waghera ne sahaba me zikar kya hai. ( dekhen 

Kitabu siqat ibne hibban jild 3 safa 219 .tahat  2193 scan link👇

https://drive.google.com/file/d/1aCL37BbuhIR__HLBH8AV8am1aKzIGPIe/view?usp=drivesdk

Fath ul Bari jild 8 saf no.612 .hadees no.3602 scan link.👇

https://drive.google.com/file/d/1_r6nTLrAXHex1aDoAjsH3nNugu_S9qD7/view?usp=drivesdk

Taqreeb at tahzeeb jild 1 safa no.,488 rawi no.3626.scan link.👇

Inko riwayat Ka sarf hasil he or inki wafat or harra ke ke Roz qures ke sardar te .or ibne Zubair inhi kufiyo par amire maqam rakha ta or ibne Zubair ke sath ye bi 73 hijri me shid huwe .

https://drive.google.com/file/d/1_sskCY3aKh4QX1s7nvZNw67HyNyQL5vH/view?usp=drivesdk

Tajreed asma sahaba lizahabi jild 1 safa no.336 .rawee no.3555
Scan link.👇

https://drive.google.com/file/d/1_xng8scc798R34xyo6c3gt661xuu2qGy/view?usp=drivesdk

Hafiz Ibn kaseer ne bhi likha he

ولد في حياة رسول اللّٰه، و حنكه ودعا له بالبركة

  aap rasullha ﷺ ke zindagi me peda huwe aap ne unhein ghutti di or un ke liye barket ki dua farmayi

Al bidaya wa nihaya jild8 safa no.429.
Scan link.https://drive.google.com/file/d/1_zk2b8N7qKrqDRmPph7_MrxAqg2UnEAz/view?usp=drivesdk

  jab sahabi razi allah anho farma rahay he ke Yazid sharaabi hai or namaze bhi tark kardaita he to sahabi ke muqablay me tabaei ki baat kon sunta hai? dosray ye ke sahabi ki baat me asbat he or tabaei ki baat me nafi he or mashhoor usool he ke nafi par asbat muqaddam hota he hamaray nazdeek to ye riwayat hi saabit NAHI he lehaza Yazid bin muawiya ka sharaabii hona ya tarak salaht hona saabit hi NaHI he. wallah allam 

Yazeed bin muawiya par iljamat Ka tahqeeq jaiza safa no.716 717.
Scan link.👇
https://drive.google.com/file/d/1a0CpKYNjB8IIbCplm3ZQZNvZHbff8kXq/view?usp=drivesdk

Note.shaikh Zubair Ali zai Rh ne batore daleel ibne hibban ki kitabu siqat jild 3 safa 9 ibne hajar Ka fath ul baari jild 6 safa 615 hadees no.3602 ke tahat hawale bi jikr kiye .

faida : kitaabu siqat me imam ibne hibban Rh ne kha ki 

عبد اللّٰه بن مطيع بن الأسود بن المطلب بن أسد القرشي "له صحبة" ولد في حياة رسول اللّٰه صلى اللّٰه عليه وسلم ومات في فتنة بن الزبير

Abdullah bin .Muteey bin aswad bin mutallib bin qarsi ye sahabi he or ye Nabi ﷺ  ki jindghi me peda huwe or inki wafat.zubair raziyallahu anhu ke sath huwi.

Kitabu siqat ibne hibban jild 3 safa 219 .tahat  2193 scan link👇

https://drive.google.com/file/d/1aCL37BbuhIR__HLBH8AV8am1aKzIGPIe/view?usp=drivesdk

isi terhan Hafiz Ibn hijr asqlani Rh ne kha .
.
«عبد اللّٰه بن مطيع الذي ولي الكوفة، وهو مذكور في الصحابة

Abdullah bin Muteey Jo kufi he vo .sahabi he

Itni wajhe daleel hone ke bad bi unka ye Khana ke Al garj Ibn Mutiy sahabi NAHI he mere naaqis ilm ki had tak kisi ne bi inhe  sahabi NAHI kha he

{ Yazid ban muawiya par ilzamaat ka tehqeeqi jaiza : safa . 720.scan link👇

https://drive.google.com/file/d/1_o6mUkaSILkLEFvfIhFHyf_Sg7WO5Lyj/view?usp=drivesdk

Ba adab araj he ke malum NAHI ke ye  kesa tahqeeq jaiza he .?

Aghe kifyatullha sanabili sahab khate he

arz he ke awwal to Zubair Ali zai sahab ne is baat ki koi sahih sanad paish nahi ki he ke Ibn Muteey ne allah ke nabi s a v  ko dekha he or Al bidaya wa nihaya  se Mosoof ne jo paish kya hai ke aap rasool s a v ki zindagi me  peda huwe aap ne unhein ghutti di or un ke liye barket ki dua farmai to is baat ke liye imam Ibn kaseer Rh ne na to koi hawala diya hai or na is ki siray se koi sanad zikar ki he
{ Yazid ban muawiya par ilzamaat ka tehqeeqi jaiza : s 717 } .scan link.👇

https://drive.google.com/file/d/1a11H7ZoM5Qle8XXwUp1mvtfFODfRXWBS/view?usp=drivesdk


To ateraz ye hei ki ibne kashir rh ne iski sanad bayan nahi ki is liye ye kabile hujjat nahi.

Nazeerin ikram aap ki khidmat me ye riwayat yni" nbi s a v ne Abdullah bin  Muteey ko ghutti di or un ke liye barket ki dua farmai" agharche ye ibne Kashir Rh ne sanad bayan nhi ki lekin dusri kitabo me iski sanad sahih ke sath darj zail he 👇

1)Abu noyem  Rh khate he

حدثنا سليمان بن أحمد، ثنا إسماعيل بن الحسن الخفاف، ثنا أحمد بن صالح، ثنا ابن أبي فديك، أخبرني زكريا بن إبراهيم بن عبد اللّٰه بن مطيع، عن أبيه، عن جده:

رأى مطيع بن الأسود في المنام أنه أهدي إليه جراب تمر، فذكر ذلك للنبي صلى اللّٰه عليه وسلم، فقال: «هل بأحد من فتياتك حمل؟»، قال: نعم، بامرأة من بني ليث، وهي أم عبد اللّٰه، قال: «فإنها ستلد غلاماً»، فولدت غلاماً، فأتى به النبي صلى اللّٰه عليه وسلم «فسماه عبد اللّٰه، وحنكه بتمرة، ودعا له بالبركة

بتحقيق عادل بن يوسف العزازي}.

Muteey bin aswad  raziallah anho ne khawab me dekha ke un ko khajoor se bhara -hwa chamrade ka thela  tohfa me mila, Mutee bin aswad raziallha anho ne is khawab ka zikar nabi akram s a  v  se kya, nbi kareem s a v  ne Muteey bin aswad raziallah anho se daryaft kya ke  tumhari koi biwi haamla hai? » Muteey bin aswad  raziallah anho ne kha : haa, meri biwi jo bani Lais se he, umm Abdullha  nbi s a v  ne farmaya wo aik bacha janam day gi or uss ne bacha ko janam diya, Muteey bin aswad raziallah anho ne –apne is betay ko nabi kareem s  a v  ke paas le kar gaye, to aap ne  ne uss bachay ka naam Abdul allah rakha, aur unhe khajoor se ghutti di or un ke liye barket ki dua farmai .

Marifat li Sahab Abu noyeim jild 4 safa no.1782 1783 scan link.👇

https://drive.google.com/file/d/1a3TcsfYC-pRpUfcSjHexSB4T4GaipeCa/view?usp=drivesdk

2)isi trha is riwayat ko imam mizee ne bi bayan Kiya.👇

قال ابن أبي فديك ، عن زکریا بن إبراهيم بن عبد الله بن مطيع ، عن أبيه ، عن جده ، قال مطیع بن الأسود : رأيت في المنام أني أهدي إلى جراب من تمر ، فذكرت ذلك للنبي صلى الله عليه وسلم .. فقال : تل امرأتك غلام ، فولدت عبد الله بن مطيع ، فذهبت به إلى النبي صلى الله عليه وسلم ، فسماه عبد الله ، وحنكه بتمرة ، ودعا له بالبركة

بتحقيق دكتور بشار عواد معروف}

Tahzeeb ul Kamal jild 16 safa no 153
Scan link.👇

https://drive.google.com/file/d/1a8Q3vsfBBvebgTFbPJJlYUJN-JgWR7Ap/view?usp=drivesdk

Mohemmad bin Ismail bin ibarahim Al bukhari ne kha

قال: حدثني عبد الرحمن بن شيبة، قال: أخبرني ابن أبي فديك، عن زكريا بن إبراهيم هو ابن عبد اللّٰه بن مطيع العدوي، عن أبيه، عن جده قال:...

{أخرجه في التاريخ الأوسط: 2/ ص242 بتحقيق محمد بن إبراهيم اللحيدان. دوسرا نسخہ: 4 /984 بتحقيق دكتور يحيى بن عبد اللّٰه الشمالي}.

Imam hafiz ibne hajar isko bayan Karne ke bad khate he
إسناده جيد».

al ishaba fi tamyiz sahaba Jild 5 safa.26..6196 ke tahat ..

Urdu tarjuma jild 4 safa no.300 tahat 6193 .scan link.👇

https://drive.google.com/file/d/1a8r9f_CTVnyW-wYzNgDjyum6yZTzzS_-/view?usp=drivesdk

Iski sanad ke bare me Jane ke liye is👇 .link par click kre.

https://drive.google.com/file/d/1aAkj-1l0_BTtE9cOR-OidBKV3KU9E8wM/view?usp=drivesdk

___________________________________

Isi trha imam mizee ne tahzeeb ul Kamal me inko sahaba kha

Tahzeeb Al Kamal jild 16 safa no.152 👇

https://drive.google.com/file/d/1a7jbOGu3Bx47ncJOamKxNlgw6LjkJRbD/view?usp=drivesdk
____________________________________

Iski aghali post 2 or 3 padne ke liye is link par click kre.

   2)https://drive.google.com/file/d/1aTzjK6WmuP4nhJ2kYsaIKwusmWovFfi3/view?usp=drivesdk

3)https://drive.google.com/file/d/1aZVVFujMImuLJmReQBVC-QX8cC5crGup/view?usp=drivesdk

Comments

Popular posts from this blog

Masla fatiha khalf ul imam

Hazrat Abdullah ibne masood Rd ki tark rafulyadain ki riwayat ki haqiqat

Kya imam Sufiyan bin sayeed as sorri mudalis nahi the?