Namaz me naaf ke niche hath Bandane ki hadees ki tahqeeq post no.3

 

naaf ke niche hath bandne ki  hadees post no.3

Zaheer salafi

ذكر األثرم قال: حدثنا ألو الوليد الطيالسي قال: حدثنا محاد ابن سلمة عن عاصم اجلحدري عن عقبة بن صهبان مسع عليا يقول فِّی قول اللہ عز وجل فَصَلِّ  لِرَبِّکَ وَ انۡحَرۡ قال: و ضع اليمَن على اليسرى حتت السرة
ْ
“Sahabi e Rasool Ali raziyallahu anhu فَصَلِّ  لِرَبِّکَ وَ انۡحَرۡ
َ ki tafseer mein farmaya ke isse namaz me daae’n hath ko baae’n hath par rakh kar naaf ke neeche rakhna muraad hai

At Tahmeed limaa Fee al Muwatta Minal Ma’ani wal Asaneed.jild 20 safa no.78

Scan link.https://drive.google.com/file/d/1XrlgBtmLIDGArHdocogyZMLhCKvUNiA-/view?usp=drivesdk

Is Hadees ke 4 jawab hain

Jab Abu Waleed Hammad bin sallama se bayan Kare to riwayat zaeef hothi Hain

Kyuki Hammad bin Salma Ka akhari Umar me hafiza bigad gya tha or Abu Waleed me inse Umar ke akhari hisse me sama Kiya tha 

1)Imam Abu hatim wafat 327) farmatey Hain


أبو الوليد عند الناس اكثر كان يقال سماعه من حماد بن سلمة فيه شئ كأنه سمع منه باخرة، وكان حماد ساء حفظه في آخر عمره


Jarha o tadeel Jild ibne ABI hatim Jild 9 SAFA 66)

https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEjSROE02GYqtBDqsQergF1mQHxnGDiKkylnpUB-qASIxtmlRIdHSUG2_dI761Yd8mz0PUihmNaBSeBl8J9P1rYdFNMA7X2YeA2XeBN8MXQouSEqp9CYwVRqi79AKCzNJWNEE_42RNqG0Qs/s1019/PicsArt_07-08-12.55.05.jpg

Yahi baat Kai muhadiseen ne ki Hain 


Ye pahli wajha is riwayat ke zaeef hone ki


2) Asim al Jahdri aur Oqba bin Sehbaan ke darmiyan al A'ajaaj al Jahdari ka waasta Hain jiski sarhat tarikh Al kabeer me moujud Hain Hain

عاصم اجلحدري عن أبيه عن عقبة بن صهبان

Muqaddama Mausua’ah Shurooh al

Muwatta: jild 1 safa no.199 scan link.

https://drive.google.com/file/d/1YTkViPOSvJ-CHlioWpiq3i5X47KB3XIC/view?usp=drivesdk 

Tarikh Al kabeer me Hain

عاصم اجلحدري عن أبيه عن عقبة بن صهبان

Tarikh Al kabeer Jild 2 safa 437)

Scan

https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEi3M1xx25abYgHE_E1UFMZTX857m7hJULXHYLplw5LadDFUE4XRMtihTiQM8sej1a5mtoL8AjFqrs_6wnp80F1Vlhcl4G_nGQib5P3MJ1GareAGU6PVRz9M1GuU4MhmSoKchZeY_KNIvlE/s1019/PicsArt_07-08-11.06.55.jpg

Isme Asim ne an Abhi kha Yani unke bap Al A'ajaaj 


Or Al Aajaaj Al jahdari .majhool Hain khud hanfiyo ke nazdeek bi ye majhool Hain


Ye dusri wajha is riwayat ke zaeef hone ki


3) Isi riwayat ki doosri sanad mein seeney par hath baandhe ke alfaaz hain Yani sanad or matan dono me izteraab Hain


Dekhe Sunan Qubra lil bahyaqi Jild 2 safa 45)

Scan 

https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEjaoAEi8Ox4MGZg574SHfMMqdpy11nwfL8-_t3QmJa7DN8eT6xCWeZcjmSpBZ71WGN-JHDqghu6SvOuN1gLIlJUdl7BQuERG5JR3X3K4pFPEhMwl5I6BxYji-AOdz7v08cbGuBOjxe8M1Q/s1409/PicsArt_07-08-11.22.25.jpg

Yani Isme izteraab


Ye teesari wajha Hadees ke zaeef hone ki isme izteraab hain 


Or Iska akhari jawab ye Hain ki aghar iske bawjood ahanaf isko sahih mante Hain to ye Hadees unke khilafa Hain


Tafseel mullahiza ho


Arz hai ke Tamheed ke is nusqhe mein السرة (naaf) ka lafz kitab ke mohaqqiqh ne apni taraf se banaa diya hai. Asal

qalmi nusqha, jisse naqal karke ye kitab chaapi gai hai, isme is riwayat ke aqheer mein السرة (naaf) ka lafz hargiz

nahi hai. Balkey الثندوة (chaati) ka lafz hai. الثندوة ke maane chaati ke hote hain.


Asal qalmi nusqha, jisse naqal karke ye kitab chaapi gai hai, isme is riwayat ke aqheer mein السرة) naaf  ka lafz hargiz nhi hai. Balkey

Usme Jo lafz vo ye he الثندوة jiska mana hotha chaati (seena )

Lisanul Arab waghera me iska yhi mana he chati ka.

Deobandiyo’n ki dictionary Al Qamoos al Waheed me  he( الثندوة)mard ka pistaan”yani chati kha  gya he

Al Qamoos ul Waheed:  safa no.224

Scan link.👇
link.https://drive.google.com/file/d/1XqrHkFG5crcqVphdQ164FnXT-kH2pRl8/view?usp=drivesdk

.

Or is nusqe me asal lafz الثندوة

He jiska mana Hamne lugat se sabit Kar Diya ki chati Hota he .ab nusqe ki tahqeeq Karne wale ne isi nusqe me niche likh Diya ki is hadees me asal lafz الثندوة he .ye scan Ak Baar fir se dekhe sabse niche 👇

link.https://drive.google.com/file/d/1XrlgBtmLIDGArHdocogyZMLhCKvUNiA-/view?usp=drivesdk
..................

2) Ak or mohqiq ne  Is nusqe ki  tahqeeq Dr. Abdullah al Turki  unhone is riwayat me lafz الثندوة .ke sath bayan Kiya he

Ye scan Dekhe 👇 tahqeeq Dr Abdullah al turki wala nusqa.

https://drive.google.com/file/d/1Y4ZREAbl5hWn5gO-zTC55t3PyXe0IzwL/view?usp=drivesdk

To hadees Ka asal mana he ki

ذكر األثرم قال: حدثنا ألو الوليد الطيالسي قال: حدثنا محاد ابن سلمة عن عاصم اجلحدري عن عقبة بن صهبان مسع عليا يقول فِّی قول اللہ عز وجل فَصَلِّ  لِرَبِّکَ وَ انۡحَرۡ قال: و ضع اليمَن على اليسرى حتت الثندوة

Sahabi e Rasool Ali raziyallahu anhu. فَصَلِّ  لِرَبِّکَ وَ انۡحَرۡ ki tafseer mein farmaya ke ise  namaz me daae’n hath ko baae’n hath par rakh kar chati (seene) par  rakhna muraad hai

Tahqeeq Abdullah Al turki

https://drive.google.com/file/d/1Y4ZREAbl5hWn5gO-zTC55t3PyXe0IzwL/view?usp=drivesdk

Khateeb bagdadhi ne apni  sanad ke sath bayan kiya

Hadees 👇

أخربنا أبو احلسن حممد بن أمحد بن رزقويه حدثنا عثمان بن أمحد بن عبد اهلل الدقاق حدثنا عبداهلل بن عبد احلميد القطان حدثنا أبوبكر األثرم حدثنا أبو الوليد حدثنا محاد بن سلمة عن عاصم اجلحدري عن أبيه عن عقبة بن ظبيان مسع عليا يقول فَصَلِّ  لِرَبِّکَ وَ انۡحَرۡ
قال: وضع اليمَن على اليسرى حتت الثندوة

“Sahabi e Rasool Ali raziyallahu anhu apne daae’n hath ko baae’n hath par rakh kar apni chanti ke neeche (seene par)
rakhna muraad hai.

.Muqaddama Mausua’ah Shurooh al
Muwatta: jild 1 safa no.199 👇 scan link.

https://drive.google.com/file/d/1YTkViPOSvJ-CHlioWpiq3i5X47KB3XIC/view?usp=drivesdk

Or bi takriban 7 kitabo me lafz ala sadar me sath bayan Kiya gya Jise is baat me wajan hotha Hain ki yha bi Seena ya chathi ke lafz hi hinge 

Dekhe

Tarikh Al kabeer me Hain

عاصم اجلحدري عن أبيه عن عقبة بن صهبان

Tarikh Al kabeer Jild 2 safa 437)

Scan

Dekhe Sunan Qubra lil bahyaqi Jild 2 safa 45)

Scan


Khullasa is me naaf ke niche bandane sabit Nahi hotha balki seene par Bandana sabit hotha Hain lekin ye riwayat zaeef Hain 


1)Al A'ajaaj ke majhool hone ki wajha se

2) Abu Waleed jab Hammad bin sallama se bayan kre to zaeef hothi Hain

3) is me izteraab Hain

Wallahu allaM



 
________________________________






____

Post no.1 naaf ke niche hath Bandane ki 7 zaif sanad .

https://kitabullha.blogspot.com/2020/12/no.html?m=1

___________________________________

Post.2 hajrate Ali ki traf mansub naaf ke niche hath Bandane ki hadees ki tahqeeq post link.👇https://kitabullha.blogspot.com/2020/12/hajrate-ali-rd-ki-traf-mansub-naf-ke.html?m=1

_____________________________________

Comments

Popular posts from this blog

Masla fatiha khalf ul imam

Hazrat Abdullah ibne masood Rd ki tark rafulyadain ki riwayat ki haqiqat

Kya imam Sufiyan bin sayeed as sorri mudalis nahi the?