Namaz me seene par hath bandana post no.2 hadees hulb taee

 Namaz me seene par hath bandane ki hadees par ateraz ka jaiza ..


Hadees e Halab at Taai.par ateraz 


Post no.2.

 zaheer salafi .



Imam Ahmad bin hambal rh.(w241) khate hai 


حَدَّثَنَا يَحْيَى بْنُ سَعِيدٍ، عَنْ سُفْيَانَ، حَدَّثَنِي سِمَاكٌ، عَنْ قَبِيصَةَ بْنِ هُلْبٍ، عَنْ أَبِيهِ، قَالَ: “ رَأَيْتُ النَّبِيَّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يَنْصَرِفُ عَنْ يَمِينِهِ وَعَنْ يَسَارِهِ، وَرَأَيْتُهُ، قَالَ، يَضَعُ هَذِهِ عَلَى صَدْرِهِ “ وَصَفَّ يَحْيَى: الْيُمْنَى عَلَى الْيُسْرَى فَوْقَ الْمِفْصَلِ


Halab at Taai raziyallahu anhu se riwayat hai ke, maine Nabi e Kareem ko dekha, Aap daae’n aur baae’n har do 

traaf se phirte the aur maine Aap ko dekha ke 

Aap is hath ko (doosre hath par rakh kar) apne seene 

par rakhte the. Yahya bin Saeed ne daae’n hath ko 

baae’n hath par rakh kar seene par rakh kar 

bataaya


Musnad ahemad.h.22313 

Scan link.
https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEjbdlP0S_SRwZj5x8pGpHCRsqFK6rfI5jAZXTMjBWsIr88-i0HAPh0C6SeqfPoBJkzQ763-uW9crHg-B6cwt7mr1djGl8FMIZz1qtSj-8wiDeyuRcn4rRx9Ujp5q868xS_ezqJyHB8c_gE/s719/FB_IMG_1615486910821.

Ye riwayat  Hasan hai ۔

Iske tamam rawi siqa hai ۔


Isi riwayat ko imam ibne jouji ne bi apni tahqeeq me bayan kiya ۔

أَخْبَرَنَا ابْنُ الْحُصَيْنِ قَالَ أَنْبَأَنَا ابْنُ الْمُذْهِبِ قَالَ أَنْبَأَنَا أَحْمَدُ بْنُ جَعْفَرٍ قَالَ حَدَّثَنَا عَبْدُ اللَّهِ بْنُ أَحْمَدَ قَالَ حَدَّثَنِي أَبِي قَالَ حَدَّثَنَا يَحْيَى بْنُ سَعِيدٍ قَالَ حَدَّثَنَا سُفْيَانُ قَالَ حَدَّثَنِي سِمَاكٌ عَنْ قَبِيصَةَ بْنِ هُلْبٍ عَنْ أَبِيهِ قَالَ رَأَيْتُ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يَضَعُ هَذِهِ عَلَى هَذِهِ على صَدره وَوصف يَحْيَى الْيُمْنَى عَلَى الْيُسْرَى فَوْقَ .الْمِفْصَلِ

Tahqeeq fi masail ibne jouji ۔hadees no 477

Scan link.

https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEg5HVKcKEJZgCBWxEYEAFhPx_iAlzoCUcfBaNdMTp8yoCTU3msUp_Usz36OosG2K9w8ucamHjh4xqfonCUk75_aaCpZKGQz_yT2CXtXlAHWLUUhjE0boaYKBmlsYL7LM52UMgtJbY4BrPA/s720/FB_IMG_1615487063970.jpg


Or Imam Ibne jouji ne Jo nakal Kiya is ibarat me hajja 2 martaba Aya Hai 


Sanad hasan

.

Iski sanad is trha hai۔👇

"Yahya bin Sa'eed al-Qattaan ➡️
➡️ Sufyaan ath-Thawree,  ➡️Simaak bin Harb  ➡️Qabeesah bin Hulb,
➡️Walid (Hulb at-Taa'ee) radiallah anhu➡️ Nabi E Kareem Sallallahu Alai Wasallam

Ahanaf ka isme khususi tour par 2 raweeyo par jarha ki jathi hai Halaki ak atearz iske matan par bi kiya gya hai ke is hadees me namaz me alfaz nahi hai.iska jawab aghe mulahija ho

Ravi

1)Qabeesah bin Hulb,

2 ) simak bin Harb

Qabeesah bin Hulb,

Hanfiyo ka is riwayat par ateraz ye hai ki sahabi rasul s a۔v ke bethe Qabeesah bin Hulb, majahul۔hai ۔

Or unki daleel ye hai ۔👇
Imam Mazee (d 742h) ne kaha:
قال علي بن املديِن، والنسائي: مجمهول

“Ali bin Madeeni aur Imam Nisai ne kaha: Ye majhool

Tahajib al kamal jild23 safa 493.


https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEguN89LCz988yzJUJ7CfmUCT9h0UXdbpeSVZWOgd0yKcR1Ed394Vq4ry3bOAK4tbkbWxPZbM6YDvfR7_HrW-UvsYJW4Wfup4igzOICdBMPyhQWqQjWtxG9NRpkXTYcJfkzxVdYh0HqSkdQ/s1068/FB_IMG_1615487189894.jpg


Note.Imam Ali bin Madeeni aur Imam Nisai se ye qaul saabit hi nahi hai. Imam Mazee ne in aqwaal ke liye koi 

hawaala nahi diya aur deegar mohaddiseen ne Imam Mazee ki isi kitab se ye baat naqal ki hai.

Choo’nke Imam Mazee is naqal mein munfarid hain aur iske bar-khilaf Imam A’ajali aur Imam Ibne Hibban se is
raawi ki tauseeq saabit hai. Iske sath muta’addid mohaddiseen ne is raawi ki marwiyaat ki tasheeh yaa tehseen ki
hai. Is liye saabit shuda tauseeq ke khilaf munfarid naqal ka koi etebaar nahi hai.

1) Imam A’ajali wafat 261 ne kaha:
فبيصة بن هلب كويف تابعي ثقة
“Qubaisa bin Halab Kufi, Taabai aur Siqa Hain

Marifatu siqat .jild 2 safa 214 .
As Suqaat lil A’ajali: jild .2 safa .214
Scan link.

https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEjcLg9FiDErHsCQwbxJ1X_Np6xQ4gqZFltF0CJC73DeWafxsnRkRpHXUDhQ_fYYN1K23Nnt-c4-DLR-P4MWwwLI0uawERrVMUK8MCh7WBbvfourRrvyjvb4eaIqPSwFzki8ovAQqNnFzc4/s1035/FB_IMG_1615487290320.jpg


2)Imam Ibne Hibban (d 354h) ne Suqaat mein zikr kiya .inke Walid sahabi te waghera .

As Suqaat laa Ibne Hibban: jild 5 safa .319

https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEg-AHtoEi1owdsZxCXxPrnDMCb2lLS4-zoK4_NA1lx8g3tTRynCpTl7Kh1xy-2OyeclPkwED2kkr4IP2XQsQb0OuahJpqdYp6NphtLREkpxlDrKp3KRZ8YMomKyc3-9-6mAmV6e_QY886I/s1020/FB_IMG_1615487362915.jpg


3)Imam Tirmizi (d 279h) ne inki ek hadees ke bare mein kaha:

حديث هلب حديث حسن

“Halab ki ye hadees hasan hai”

Tirmiji hadees no.252
Scan link۔

https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEjPsnwGvBLkOezhcgfSYbswOqL1bKIp65shDPQLlZLpEo_CAi52fRV2YyoZdi4FSyu47vHzQeJ537Sn38jMZvRTCMEEBZYR1RjtmSjxeiyHzm3pjrol2J9agWJ49Dhfrhxtv_8GD7fP-6I/s719/FB_IMG_1615487448842.jpg


4)Or inki hadees Sunan ab Dawood me bi hai

حَدَّثَنَا سِمَاكُ بْنُ حَرْبٍ، ‏‏‏‏‏‏حَدَّثَنِي قَبِيصَةُ بْنُ هُلْبٍ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ أَبِيهِ

Sunan Abu Dawood hadees no.3784.

Scan link  

https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEiYVcjrxH7e1oqUmXpPXqRPQCMgpGBKRs4dxhVO9jjwqcuZBalD3IxK1KDt_cnSSqgwlZtsbiGykI1Ff281kZTP25VZ7MD5YG3z6KwzIYY8z_77DE71-hJh_HtzhfVuWaxxkIJSE2wSObo/s1033/FB_IMG_1615487515644.jpg


5)imam Baghwi ne inki Hadeeth ko HASAN karar diya hai.

هذا حديث حسن قَبِيصَةُ بْنُ هُلْبٍ،

Sarha sunnah jild4 safa no 31.hadees no.570 .
Scan link.


https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEi1SIZ_dRYzMWpC62RI7cauJ6K3vViKA6BI4m82JeAkqVjOgm8qWmyIloTFEFRER6C1esaQs7bKqnweq1sKDk6HY7_1urNDJSUvtbOP_42wljIDrbPagRrtwVgBNx3CeX9aXjPuVCKmEME/s1059/FB_IMG_1615487603852.jpg


.ise ye baat wajeh ho jathi hai ki ye rawee majhool nahi hai balki siqa hai

Jis raawi ki tauseeq sabit ho jaae is par Majhool, laa ya'araf waghaira ka kalam mardood hota hai.
___________________
2)Simaak bin Harb:

.in par bi hanfiyo ki traf se  jarha ki jathi hai 👇.daleel .

1.) Shu'bah = Imam Yahya ibn Ma'een Farmate hai ke :

قال  يحيى بن معني: سامك بن حرب ثقة و اكن شعبة يضعفه...

Simaak bin Harb Siqah hai aur Shu'bah ne unhe kamzor bataya hai “

Taareekh Baghdaad: 9/215 h.. 4792

Note.Ibn Ma'een Rah. 157 H me paida hue aur Shu'bah bin al-Hajjaj 160 H. fauth hue hai. Yaani ke rivayat
Munqati’ hai or iski wajah se Radd ki jaati hai.

2). Sufyaan ath-Thawree rh ki jarha .
كان يضعفه بعض ضعف

Al-Ijlee Farmaya ke : " Wo hadeeth mo Jaaiz hai .Wo Faasih hai siwaye Ikrimah  Ibn Abbaas.. aur Sufyaan Ath-Taree ne unhe Kamzor bataya hai. “

Note.Imam Ijlee 182 H. me paidah hue hai aur Imam Sufyaan ath-Thawree 161 H. me fauth hue hai. Tho lihaaza yeh b Munqati’ saabit hothi hai.

Iske allawa kuch jarha ki gyi hai jo sahih sanad se sabit nahi hai

........
Ye siha sitta ke rijaal mein se hain. Ye siqa hain. Mohaddiseen ki ek bade jamat ne inki tauseeq ki hai.

1)Imam ibne hibban ne inse riawayat bi li hai .

Sahih ibne hibban hadees 1390
Scan link

https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEjx0kvH-BfQM1J_jmNrAx1JbvaysbE9XIcxDQ5b0B8eO3NqQWZ7EvmK41kUq0XvWzfLqICHP_02HUHjxX0YRzya0COaVL16xEFv2vcWGe5CXFTDuuwYjo4mKzhiY7SuTmyDvUMICAJ-UMo/s1107/FB_IMG_1615487686396.jpg


2)Imam Bukhari ne bi apni kitab me Inka jikr kiya .ak hadees lane ke baad khate hai .

وَتَابَعَهُ يُونُسُ ، وَسِمَاكُ بْنُ عَطِيَّةَ ، وَسِمَاكُ بْنُ حَرْبٍ ، وَحُمَيْدٌ ، وَقَتَادَةُ ، وَمَنْصُورٌ ، وَهِشَامٌ ، وَالرَّبِيعُ .

is hadees ko Yunus or  simak bin atiyah or simak  bin Harb or  humeid  or  Qatadah or mansoor or  Hisham or Rabiey ne bhi riwayat kya .

Sahih Bukhari hadees no.6722
Scan link


https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEhRmLYpfe-Y14Q2Mlub9ClT0XrllAOsVKr9tTbsQhOeOWkeYuya31p7ENfGsHaqDwo_3Jn-DtlPhHe-gBuhH_s6N27FOJKgopk82GSJMsLqU7jT0DIerC_YQpDmdLNJEEVW-Kd899sIAkk/s1028/FB_IMG_1615487747106.jpg


Inki hadees sahih Muslim me bi hai .
.
Imam muslim farmate hai .

حَدَّثَنَا سَعِيدُ بْنُ مَنْصُورٍ، وَقُتَيْبَةُ بْنُ سَعِيدٍ، وَأَبُو كَامِلٍ الْجَحْدَرِيُّ، - وَاللَّفْظُ لِسَعِيدٍ -، قَالُوا: حَدَّثَنَا أَبُو عَوَانَةَ، عَنْ👈 سِمَاكِ بْنِ حَرْبٍ، 👉عَنْ مُصْعَبِ بْنِ سَعْدٍ، قَالَ: دَخَلَ عَبْدُ اللهِ بْنُ عُمَرَ عَلَى ابْنِ عَامِرٍ يَعُودُهُ وَهُوَ مَرِيضٌ فَقَالَ: أَلَا تَدْعُو اللهَ لِي يَا ابْنَ عُمَرَ؟ قَالَ: إِنِّي سَمِعْتُ رَسُولَ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يَقُولُ: «لَا تُقْبَلُ صَلَاةٌ بِغَيْرِ طُهُورٍ وَلَا صَدَقَةٌ مِنْ غُلُولٍ، وَكُنْتَ عَلَى الْبَصْرَةِ»

Sahih Muslim hadees no.224.
Scan link
https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEiol7Bz7j7aGjYu5dz5694V79csiIQprT8g4G7emQlDqk9mpCWr_cVQNsDPVGyj8rGC_oqr51yQZYLh-Ga2FA-Xy5UqD-nzEPDXNXIQJqj4OM5GF_YNoiZwBMKDCU5F5X04CtOexLBQxWE/s900/FB_IMG_1615487821889.jpg

Iske allawa inki hadees

.simak bin Harb .ki hadees in maqamat par mojud hai.👇


Saheeh Muslim = 224, 128/436, 458, 459, 499, 606, 618, 643, 670, 734, 862, 866, 965, 978,
173/1075, 1385, 11/1504, 6/1628, 18/1651, 13/1671, 1680, 1692, 1693, 1748, 6,7/1821, 1846,
1922, 1984, 2053, 2135, 2248, 2277, 44/2305, 2322, 2329, 2339, 2344, 2361, 2745, 42,43/2763,
78/2919, 2923, 2977, 2978.


Fawaad Abdul Baaqi ki ginti ke mutabik, yeh poore 45 hadithe hai,sahih Muslim se Kuch rivayaten inme ek se badke dubara rivayat ki gayi hai.

Baki rawee bi siqa hai .

Sufiyan sorri.rh.

Hafiz ibne hajar khate hai.

ثقة حافظ فقية عابد امام جحة من رؤس الطبقة السابعة واكن رهام دلس

Sufiyan sorri siqa hafize faqi .imam hai .or ye kabi kabar tadallis karte hai .
Taqrib at tahgeeb.2445.

Scan link.

https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEgBqClryMWhT5nuRs7lSD8ZSXgO1_ogPEzp4Me-DRpuDfj8M0kwMVCjNRD6YscB1-q0aRwWnJfv-nvNsrlcWlF93giVtCbJCbTd0xZveHrg0pDL64OnOp_ys89KxkygD2emzPjs-fKJG5s/s1029/FB_IMG_1615487908960.jpg

Note.agarche ye tadallis karte  hai.lekin is riwayat me unhone sima sarhat ki hai hadsani kh kar .lihaza ye is riawayat me sufiyan rh illat nahi

Iske allawa bi kai mohaddisin ne inko siqa kha .👇 Hawale

Al-Jarah wal Ta'deel: jild 4 Pg 222

Al-Jarah wal Ta'deel: jild 4  Pg 223

Mizaan al- I'tidaal: jild 3 Pg 244
__________

Yahaya bin sayeed al qataan

Hafiz ibne hajar khate hai.
ثقة متقن حافظ امام قدوة من كبار التاسعة

Ye qibat hajrat me se siqa muttaki hafiz imam hai

Tagrib at tahgeeb 7557.

https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEjkLTpygB3ZSto2__EvCi_tNcEmdUgCNbpfqiAT-mGc1PZzq8g_LUq_dEpXBnDH_5PwmDdmYWY4roq0j80iY1mIAuCunoA0TOnoACPw7aVExbtyLEvYbzVO61xmLeRY2nXMR6WAImdrssc/s1279/FB_IMG_1615488008114.jpg

Inko kai mohaddisin ne siqa kha jese 👇 hawale .

Siyar A'laam al-Nabula: 53


Al-Illal: 846

Iske matan par ateraz .


Ahnaf ka is riwayat par ak ateraz ye hain ki is hadees me namaz ke alfaz nahi hain .ki Nabi ﷺ ne seene par hath namaz ke andar bande ya bhar 


Arz hain ke Is riwayat ke dusre turk se Rawi sufiyan sorri se hi namaz ke alafaz sabit hai 


Imam Ahmad bin humble ( w241) khate hai

حَدَّثَنَا عَبْدُ اللهِ حَدَّثَنِي أَبُو بَكْرِ بْنُ أَبِي شَيْبَةَ، حَدَّثَنَا وَكِيعٌ، عَنْ سُفْيَانَ، عَنْ سِمَاكِ بْنِ حَرْبٍ، عَنْ قَبِيصَةَ بْنِ الْهُلْبِ، عَنْ أَبِيهِ، قَالَ: " رَأَيْتُ النَّبِيَّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ وَاضِعًا يَمِينَهُ عَلَى شِمَالِهِ فِي الصَّلَاةِ، وَرَأَيْتُهُ يَنْصَرِفُ عَنْ يَمِينِهِ وَعَنْ شِمَالِهِ

“Sahabi e Rasool Halab at Taai raziyAllahu anhu.ne kaha ke maine Allah ke Rasool ko dekha, aap namaz mein apne daae’n hath ko apne baae’n hath par rakhte the aur daae’n aur baae’n jaanib se phirte the”


Musnad ahemad 21968)

Scan link

https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEghNJjpljrnPjZcHMKG9_G2lSGSJp1VMA9M6WG3dntr-rLPPEKNsOEpVMPZs3QbreXCXnnbwWXSqm_x34w4MNqDuJ9qawsFTiefmCw-aDjsxNvavqWWcM6KZ3h4TGmLlRSBKsBs0WlshPo/s1086/PicsArt_03-27-06.04.09.jpg

 


Note.isme sufiyan sorri ne an byan kiya lekin sufiyan sorri ne simak bin Harb se saama ki sarhat kar di hai 


 dekhe 


حَدَّثَنَا يَحْيَى بْنُ سَعِيدٍ، عَنْ سُفْيَانَ، حَدَّثَنِي سِمَاكٌ


Musnad ahemad hadees 22313)

Scan link

https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEjbdlP0S_SRwZj5x8pGpHCRsqFK6rfI5jAZXTMjBWsIr88-i0HAPh0C6SeqfPoBJkzQ763-uW9crHg-B6cwt7mr1djGl8FMIZz1qtSj-8wiDeyuRcn4rRx9Ujp5q868xS_ezqJyHB8c_gE/s719/FB_IMG_1615486910821


Is hadees mein Sufiyan Soori hi ke turq se ye saraahat aagai hai ke daae’n hath ko baae’n hath par rakhne ka amal

namaz ke andar ka hai aur yehi baat Sufiyan Soori ki seene par hath baandhne waali hadees mein bhi hai. Jisme is amal ke sath hath bandhne ki jagah, yaane seene ka bhi zikr hai.

Hafiz ibne hajar khate hai



 واحلديث يفسر  بعضا بعضه


Ak hadees dusri hadees ki taffsir karti hai

Fathul Baari laa Ibne Hajar: jild 2 safa 160)

Scan link

https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEiOS15Ag2lvTot2VTHXd5t1jLxW77J33MunKeogAMl1Ttx5xgb1PwsGUdest8PCPSFfxTZdzCaMu1JaFcjSVv0rBYfKuInQXUCOwwINWO-JoHWcZGbAUx0PoTsx5twrTTlhNE-igJx0WAM/s1574/PicsArt_03-27-06.12.45.png


Baaz log had-darja jahaalat ka muzaahera karte hue ye kehte hain ke is hadees mein seene par hath baandhne ka zikr salam pherne ke baad hua hai.


 is hadees mein mukammal namaz ka tareeqa mazkoor nahi, balkey namaz ki baaz kaifiyaat ka zikr hai

aur in kaifiyaat ke zikr mein tarteeb ko malhooz nahi rakha gaya hai. Chunache baaz turq mein namaz se phirne ki kaifiyat zikr karne ke baad hath baandhne ka zikr hai aur sath hi iska mahel seena batlaaya gaya hai. Jabke baaz turq mein phirne ki kaifiyat se pehle hath baandhne ka zikr hai aur namaz ke andar ye amal hone ki bhi saraahat hai:


Is trha hadees me bhut si misale hai jisme jo baad me karne ke tariqe ko pahle bataya gaya hai

Maslan bukhari ki ak riwayat hai


حدثنا أبو اليمان، قال: أخربنا شعيب، عن الزهري، قال: أخربين أنس بن مالك األنصاري: أن رسول اهلل صلى اهلل عليه وسلم ركب فرسا

فجحش شقه األمين. قال أنس فصلى لنا يومئذ صالة من الصلوات، وهو قاعج، فصلينا وراءه قعودا، مث قال ملا سلم: إمنا جعل اإلمام ليؤمت به، فإذا صلى قائما فصلوا قياما، وإذا ركع فاركعوا، وإذا رفع فارفعوا، وإذا سجد فاسجدوا، وإذا قال: مسع اهلل ملن محده، فقو لوا: ربنا رلك احلمد.




“Anas bin Maalik Ansari se marwi hai ke Rasool Allah ek ghode par sawar hue aur (gir jaane ki wajah se)

Aap ke daae’n pehlu par zaqham aagae. Anas ne batlaaya ke is din hame’n Aap ne ek namaz padhaai,

choo’nke aap baithe hue the. Is liye hamne bhi Aap ke peeche baith kar namaz padhi. Phir salam ke

baad Aap ne farmaya ke Imam is liye hai ke iski pairwee ki jaa. Is liye jab wo khade hokar namaz padhe

to tum bhi khade hokar padho aur jab wo ruku kare to tum bhi ruku karo aur jab wo sar uthaae to tum bhi

uthaao aur jab wo sajda kare to tum bhi karo aur jab wo Sameeullah Liman Hamida kahe to tum Rabbana

walakal Hamd kaho


Sahih Bukhari 732)

Scan link 

https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEj6Oe5F-dAVAOm-5fCfJdudzVoSsaRsUjvuB1_SokXCV7Sn8M27Cj8XB3ABPUJ5zTi3F1RxLvekZ2Tq_CoOeNXg7sOs8Syh4ZSzmeNvEybR1gyUujHPxA_NLfh6c_8apJvqzGsjtZ-PeIo/s1880/PicsArt_03-27-06.18.48.png


Is hadees mein ghaur kare’n ke sameeullah liman hamida aur rabbana walakal hamd ka zikr sajde ke baad hai. To kya ye keh diya jaae ke in dono ko sajde ke baad padha jaaega?

Hargiz nahi, balkey yaha’n bhi doosri riwayaat ke pesh e nazar yehi kaha jaaega ke in dono cheezo’n ka mahel

ruku ke baad hai, chuna-che 


Saheeh Bukhari hi mein hadees 733 ke tahet yehi hadees doosre turq se maujood hai aur

isme in dono cheezo’n ka zikr ruku se uthne ke baad hain


Ise sabit huwa ke baaz turk me Namaz me hath bandane ke alafz hai or baaz me namaz ke nahi lekin sare turk ko jama kiya jaye to yahi sabit hotha hai ki ye namaz me seene par hath bandana hai


Or iski Sanad bi hasan hain

Ise ye sabit hotha hai ki ye riwayat Hasan hai .or namaz me seene pe hath bandana hi sunnat hai.


Zaheer salafi 


Ibne khujema ki hadees par ateraz ka jawab


https://kitabullha.blogspot.com/2020/11/kya-seene-par-hath-bandne-ki-hadees.html?m=1

Comments

Popular posts from this blog

Masla fatiha khalf ul imam

Hazrat Abdullah ibne masood Rd ki tark rafulyadain ki riwayat ki haqiqat

Kya imam Sufiyan bin sayeed as sorri mudalis nahi the?