Namaz me seene par haath bandana .post no.3 hadees tawoos par ateraz
Namaz me seene par haath bandana .post no.3 hadees tawoos par ateraz
Zaheer salafi
Hadees tawoos rh.
حَدَّثَنَا أَبُو تَوْبَةَ، حَدَّثَنَا الْهَيْثَمُ يَعْنِي ابْنَ حُمَيْدٍ، عَنْ ثَوْرٍ، عَنْ سُلَيْمَانَ بْنِ مُوسَى، عَنْ طَاوُسٍ، قَالَ: كَانَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يَضَعُ يَدَهُ الْيُمْنَى عَلَى يَدِهِ الْيُسْرَى ثُمَّ يَشُدُّ بَيْنَهُمَا عَلَى صَدْرِهِ وَهُوَ فِي الصَّلَاةِ .
Hajrate. Tawoos rh .khate hai ki Nabi
S a v apna daya hath baye hath par rakhte or use seene par band lete or aap namaz ki halat me hothe
Sunan Abu Dawood hadees no.759.
Scan link.
Ye riwayat mursal jarur hai lekin ahanaf ke nazdeek tabai ki mursal riwayat hujjat hothi hai .
1)Allama Aayni hanafi ne likha .
المرسل حجة عندنا وأن قولهم
Hamare nazdeek mursal hadees hujjat hai .
Umdattul qari .jild 1 safa 6
Scàn link .
2)Molana ahemad Hanif razvi Khan barelvi likhte hai .
Hamare ahanaf ke nazdeek tabayee taba tabayee ki mursal riwayat muttalik makbul hai unke baad siqa
Ki ho to maqbul baki fasiala tahqeeq ke baad .hotha hai
Jamiul hadees jild1 safa no. 524
3) brelvi ke muhaddis gullam rasul sayeedi ne likha
Mursal riwayat hujjat hone par tamam tabayee ka ijma ha kisi tabayee se iska inkar mankul nahi hai
Sarah sahih Muslim gulam rasul sayeedi .jild 1 safa no.118
Scan link.
https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEg1hproEtujUOTCTm-31HlAPA1XhnzG0XNAW6EulueE2deJLRxCBQ8JTIn8S__wG_RNzwLK3j2ahCPXxbKdAGOAmYUVz7deItOMVFXnBAXWA9LAIX884oZNyogYQ3i0OkY_gfN_AUepBLI/s1020/FB_IMG_1624461460746.jpg
Imam Abu Dawood Unke Shayookh
=== > Abu Tawbah bin ar-Rabee' bin Naafi" hai === >
"Haytham bin Al-Humayd", === >
"Sulemaan bin Moosa", === >
Tawoos [rahimahullah]....
_____________
Jis rawee par ahanaf ki jarha hai sirf us par mohaddisin ka faisala pesh karenge .tafseel se .insaa allah baki rawee par lambi bahas nahi karenge .
Sulaiman bin Musa al Qurashi par hanfiyo ka ateraz ke ye kamjor hai hadees me imam Bukhari ne inhe munkar ul hadees kha hai
Ateraz ka jaiza .
1)Haafiz Ibne Hajar (d 636) ne kaha:
صدوق فقيه يف حديثه بعض لْين
“Aap sadooq, faqeeh hain, aapki hadees mein baaz kamjori hai .
Taqreeb ut Tehzeeb laa Ibne Hajar 2616
Scàn link
Note.Waazeh rahe. بعض لين wali jarha tazeef par dalaalat nahi karti hai. Balkey isse sirf aala darje ki saqaahat
ki nafee hai. Yehi wajha hai ke Haafiz Ibne Hajar ne inhe’n shuru mein sudooq keh diya hai.
Balkey ek doosre maqam par inhe’n siqa qarar diya hai.
Chunache ek hadees jiski sanad me ye rawee Suleman bin Musa hai . uske bare mein kahate
رجاله ثقات
”.iska rizal siqa hai
Fath ul baari ibne hajar.jild 12 safa 550
2) Imam Abu Haatim ar Raazi 277h ne kaha:
حمله الصدق و يف حديثه بعض الضطراب
“Aap sacche hain aur aapki ahadees mein kuch izteraab hai
Jirah o Ta’adeel: jild 2 safa141.h616
Scan link
Note.Imam Abu Haatim ne sirf inki baaz ahadees mein izteraab batlaaya hai, yaane inki aksar ahadees saheeh o saalim hain aur usool e hadees ka buniyadi qanoon hai ke ghaalib haalat hi ka etebaar hota hai. Is liye ghalib haalat ke etebar se inki ahadees saheeh o saalim hain.
3) Imam Bukhari ki jarha .
Imam Bukhari (w256h) ne kaha:
وسليمان بن موسى منكر احلديث، أنا ال أروي عنه شيئأ روى
سليمان بن موسى أحاديث، عامتها مناكري
“Sulaiman bin Musa munkar ul hadees hai, main isse kuch riwayat nahi karta. Sulaiman bin Musa ne jo ahadees riwayat ki hain, inme se aksar munkar hain
Al E’elal al Kabeer lit Tirmizi: safa .
257
Scan link
Note. is jirah ke aqhri mein Imam Bukhari ne khud saraahat kardi hai ke “Sulaiman bin Musa ne jo riwayaat ki
hain, inme se aksar munkar hain”.
Isse pataa chalta hai ke Imam Bukhari ko is raawi ki ziyaada riwayaat mili hi nahi aur inki riwayaat ka jo qaleel
hissa inhe’n milaa, inme se beshtar riwayaat munkar thee’n. Is liye Imam Bukhari ne in par jirah kardi. Lekin
haqeeqat ye hai ke Sulaiman bin Musa ki aksar riwayaat mein nakaarat nahi hai. Chunache pehle Imam Abu Haatim
ki saraahat pesh ki jaa chuki hai. Ke unho’n ne is raawi ko saccha bataate hue iski taraf chand riwayaat hi mein
izteraab batlaaya hai. Isi tarha Imam Nisai ki jirah bhi isi par dalaalat karti hai
Balkey ye bhi mumkin hai ke inki jin ahadees mein nakaarat hai, iske zimmedar ye naa ho’n. Balkey inse oopar ke
ruwaat ho’n.
Isi taraf ishara karte hue Imam Zahabi (w 748h) ne kaha:
وهذه الغرائب اليت تستنكر له، جيوزأن يكون حفظها
“Sulaiman bin Musa ki jin ghareeb ahadees mein
nakaarat ki baat ki jaati hai, mumkin hai in ahadees
ko aapne yaad kar rakha ho”.
Mizan ul Etedaal liz Zahabi: jild 3 safa 226
Scan link
kai jaleel ul qadar mohaddiseen ne inhe ’bila-taraddud poori sarahat ke sath siqa kaha hai.
_____ jamhoor mohaddisin ke najdeek Suleman bin Musa siqa hai .
1)Imam Ibne Hibban (w 354h) ne aapko siqa mein zikr karte hue kaha:
كان فقيها ورعا
Aap parhezgaar aur faqeeh
As Suqaat laa Ibne Hibban: jild 6 safa 380
Scan link
2)Imam Ibne A’adee (w 365h) ne kaha
ثبت صدوق
Aap sabit or sadooq hai
Al Kaamil Fee Zoafa ar Rijaal laa Ibne A’adee: jild 4 safa262
3)Imam Darqutni (w 385h) ne kaha:
من الثقات احلفاظ
Aap siqaat or hafiz mein se hain
E’elal ad Darqutni: jild15 safa 14
Scan link
4)Imam Ibne Abdul Bar (w463h) ne kaha:
قد نقله عنه ثقات منهم سليمان بن موسى وهو فقيه ثقة إمام
Is hadees ko siqa raawiyo’n ne naqal kiya hai, inme
Sulaiman bin Musa hain aur ye faqeeh, siqa aur imam
hain
At Tamheed Limaa Fee al Muwatta Minal Ma’aani wal Asaneed: jild 19 safa 86.maktaba samila scan.👇
5) Ibnul Jauzi (w 589h) ne kaha:
وميكن ان يقال سليمان ثقة
Aur ye kehna mumkin hai ke Sulaiman siqa hain”
At Tehqheeq Fee Masael al Khilaf: jild 1 safa 144
6) Ibnul Zahabi (w 748h) ne kaha:
اإلمام الكبري مفيتى دمشق
Aap bahot bade imam aur Damishq ke mufti the
Siyar ’alaam an Nubala liz Zahabi: jild 5 safa 433
Scan link
https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEizF4nFJ_BRXZvZBuqcDl0y-rBOsbQTmL9KyAjiZRxLaxn0bcjO8utco8AVj_HFgP_kHP655LcSUZjXKuEJ-LFQTeR_t3T5PCGMO8nHh0G2ih9fHWJOIM3dKUOspoKYTHTbufG2FQkKFew/s1068/PicsArt_02-19-09.08.37.jpg
7) Aur unki ek hadees ke bare mein kaha:
قلنا احلديث:صحيح
“Ham kehte hain: Ye hadees saheeh hai
Tanqeeh ut Tehqheeq liz Zahabi: jild 3 safa 168
8) imam hakeem rh inki ak hadees ke bare me khate hai.
هذا حديث صحيح على شرط شيخين
Ye hadees sahih hai or shaikhen .(imam Bukhari or imam muslim ) ke sart par sahih hai
Mustdarq hakeem .h.2706
Scan link
ise pta chala ki Suleman bin Musa jamhur mohaddisin ke najdeek siqa hai
_______________
2) Soor Bin Yazeed al Kalaai.par jarha ka jaiza .
1)Haafiz ibne Hajar (w 852h) ne kaha:
“القدر يرى أنه إال ثبت ثقة
Aap siqa o sabit the, magar qadariyya waala aqeeda rakhte the”.
Taqreeb ut Tehzeeb laa Ibne Hajar: H861
Scan link.
Note. qadariyya ke aqeede se siqaahat par koi farq nahi padta, alaawa azee’n Soor bin Yazeed al Kalaai ne is
aqeede se baraa-at ka izhar kiya hai
Imam Abu Zara’a ad Damishqhi
281h ne kaha:
أخربنا منبه بن عثمان قال: فال رجل لثور بن يزيد: يا قجري! قال ثور: لئن كنت كما قلت، إين لرجل سوء، ولئن كنت على خالف ماقلت، إنك لفي حل
“Ek shaqs ne Soor bin Yazeed se kaha: Aye Qadari! To
Soor ne kaha: Agar main waisa hi hoo’n jaisa ke tumne
kaha hai to main bahot buraa shaqs hoo’n aur agar
main waisa nahi hoo’n, jaisa tumne kaha, to jaao
maine tumhe’n maaf kiya”.
Tehzeeb ul Kamal jild 4 safa 426.
Scan link
https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEjtYfXACS3JvHH_Xnjj2EN3xYEZWrhN1bwPbzKWX5EmNbNuP5iscvvEnOESFehkA-422sDmL7fLKzNpjAhwig2AZzkzyrKBDwazsh_HeObf7EfzaXkZOuzdhj8nOqKRvcTbFk7PMH2zQIQ/s1066/PicsArt_02-21-10.29.21.jpg
Dusra hawala
Tareeqh Abi Zara’a lid Damishqhi: safa no.360
Is saheeh riwayat se maloom hua ke Soor bin Yazeed Qadari hargiz nahi the. Ghaleban kuch logo’n ne ghalat fehmi ki binaa par inhe’n Qadar samajh liya tha.
Bil-farz maan le’n ke wo Qadari the to is riwayat ki roo se ye manna laazim hai ke unho’n ne ruju kar liya tha.
Kyou’nke mazkura shaqs ne pehle inhe’n Qadari kaha. Jis par unho’n ne inkar kiya, isse ishaara hai ke inki baraa-
at se pehle inke Qadari hone ka charcha ho gaya tha. Phir is riwayat mein inki taraf se inkar inke ruju ki daleel
hai.
Imam Zahabi ne kahte hai
قلت: كان ثور عابدا، ورعا، والظاهر أنه رجع، فقد روى أبو زرعة.
“Main (Imam Zahabi) kehta hoo’n ke Soor
Parhezgaar the aur zaahir yehi hai ke unho’n ne
Qadariyya waale aqeede se ruju kar liya tha. Chunache
Abu Zara’a ne riwayat kiya….
Siyaar alaam an Nubala liz Zahabi: jild 6 safa .345
Scan link
Maktaba samila .
https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEiKKxGRm5NK3yx7lIFXT8E26-0lJsXugm3Qr8KkPkMAA1R4-oczFqbiyclI-GE8PgkU3MqOruvC07XuMU5xJ_ieJFeYdzZZXREKd0hw9-GEHltr10Tyxa7QqUJiNSW3ztlh91KrtebP5ks/s1180/20210219_104738.png
Jamhoor mohaddisin ke najdeek ye siqa hai.
1) Imam Ibne Muyeen (w 233h) ne kaha
ثور بن يزيد “ثقة
Soor bin Yazeed siqa hain
Tareeqh Ibne Muyeen :jild 3 safa192
2) Imam Ibne Sa’ad (w 230h) ne kaha:
كان ثقة في الحديث
Ye hadees mein siqa the
Tabaqaat al Kubra: jild 11 safa 471 h.4739.
Scan link
3) imam taqiyudeen ahemad bin Ali khate hai .
ثور ثقة
قال ابن مين ثور ثقة
Soor siqa hai.
Ibne maeen ne kha soor siqa hai
Mukhtar al Kamil fi zaofa .safa 210
4)Imam Abu hatim ar razi ne kha Kiya
ثور بن يزيد الكلاعي و كان ثقة
Soor bin yazeed kallai or aap siqa hai.
Jarha wa tadeel .jild 3 safa 469
Scan link.
https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEh5_tPn1Fh-tsHJuui5aWXXHaK2q2DGMkb5Sc5fMQcbsaBJFb8OHFCYYCuvxqh7zQibGzaXR0kldW8StBxPPP__cObTCRv1rS9Gi4FfFyqb_BZ0viomqQRLPRAOWwV_hVkoYhIMVNwcLyE/s1416/PicsArt_02-20-09.45.53.jpg
5)Imam Bukhari .khate hai.
: كان ثور من ور من اثبتهم
Soor sabse sakht rawee te .
Tarikh al kabeer jild 2 safa 181
Scan link
https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEiPpZhgIGRUYCuAM2bG8VulWZ5eVU8RKknXhfYICbmhX2SebPV7wYI3Ghf2FTxIOm8kDUwb6WPsxC01aZ5vRccL4uUah77BjUuwoJcICNrwMYOS-QcQjolUWy1tIRiHBaUOBqefv8vH3X8/s1421/PicsArt_02-19-05.18.13.jpg
6)Imam azaali wafat 261 khate hai
ثور بن یزید ، شامی ثقة ، وكان يرى القدر
Soor bin yazeed sami siqa hai
Or qadariya hai
Marifat ut siqat li azaali .jild1 safa 262
Scan link
https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEhuogeDCSNl_WPZGCaePkUx5LjRVgvnw8hUX4uBPaHHvRD8ftVrTLKJ0k9YIcIXpkrHkJ_UN5e9PEGc08WUWu3iTPjaxRKAOEPUv5rBzsjRwnXjmougG-VDjjx2wsS1udj4IMZofC-kv8M/s1380/PicsArt_02-21-08.27.14.jpg
Note.upar iski wajhat ki ja chuki hai unhone qadriya ke akide se ruju ka r liya ta imam zahabi ki wajahat pade .
Ise sabit huwa ke ye bi siqa hai .
________
3)Haitham bin Hameed al Ghassani
Ye siqa rawee .khud hanfiyo ke najdeek bi is liye in par jayda bhas ki jarurat nahi .
1) Imam Ahmad bin Hambal (d 241h) ne kaha:
ما المت الا خير
“Main inke bare mein sirf acchai hi jaanta hoo’n
Dusra hawala .Tehzeeb ul Kamaal lil Mazee: jild 30 safa .372;
Scan link
Dusra hawala.Al E’elal wa Ma’arefah ar Rijaal al Ahmad: jild 3 safa 53
.
2) Yahya ibne mayeen ne kha.
ثقة
Aap siqa hai
Tehzeeb ul Kamaal lil Mazee: jild 30 safa .372;
Scan link
3) Yahya ibne mayeen ne kaha
يحيى بن معين عن الهيثم بن حميد الدمشقي قال لا بأس به
Yahya ibne mayeen khate Haitham bin Hameed al Ghassani me koi harj nahi
Jarha wa tadeel .jild 10 safa 82
Scan link
https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEi0YIB73vrUmh_5UX6CSbdvF-7G313tvMrNo89R-qSMBjYS30ZuRcgQAaN1DCdqjL2ZaCO1DytA78rqVKQH_ujuKqDidxdkWTmwwyAMD7IgwBCsUS8iy0a7GGgi80Yn2RXFqPiA_Nv0_xA/s1407/PicsArt_02-22-12.39.45.jpg
_________________
4) Abu Tauba ar Rabea’a bin Naafe’e Halabi
Aap Bukhari o Muslim nez Abu Dawooad, Nisai aur Ibne Majja ke rijaal mein se hain aur bil ittefaq siqa hain.
1) Imam Ahmad bin Hambal (d 241h) ne kaha:
أبو توبة لم يكن به بأس
Abu Tauba “me koi harj ki baat nahi hai
Sawalaat Abu Dawooad laa Ahmad: safa .285
2) Imam Abu Haatim ar Raazi (d 277h) ne kaha:
ثقة صدوق حجة
“Aap siqa, sadooq aur hujjat hain
Al Jirah wa Ta’adeel laa Ibne Abi Haatim: jild 4.safa .470
3). Haafiz Ibne Hajar (d 852) ne kaha:
ثقة حجة عابد
Aap siqa hujjat abid hai
Taqreeb ut Tehzeeb laa Ibne Hajar: 1902
4) Imam Zahabi (d 852h) ne kaha:
اإلمام الثقة احلافظ
“Aap imam, siqa aur hafiz hain
Siyyar Alam an Nubala liz Zahabi: jild 10 safa .653
Ise sabit hotha hai ki ye riwayat ki sanad bilkul sahih hai .
Or ahanaf ke liye mursal hujjat bi hai to unko is hadees par amal karna chahiye
Note.hamare liye ye riwayat zaif hai
Mursal munkate hone ki wajha se .
Comments