Duaa ke baad chehare par hath ferna
Kya duaa ke baad chehre per hath ferna bidaat Hain
✍️ Zaheer salafi
Duaa ke baad chahre par hath feirne me koi harj Nahi ha Nabi ﷺ se ye sabit Nahi kyuki jitni riwayat Nabi ﷺ ke Amal ke talluq se Hain ye sab zaeef Hain lekin sahaba se ye sabit Hain ki vo duaa ke baad chehare par hath feirte the
Islam me aghar koi Amal Nabi ﷺ se na mile or sahaba se mil Jaye or Kisi dusre sahabi se unki mukhalifat sabit na ho to vo Amal jaiz Hain
Or ye Amal bi do Sahaba se sabit Hain
Imam Bukhari (Al muttwaffa 256 hijri) farmatey Hain
«حدّثنا ابراهيم بن المنذر قال حدثنا محمد بن فليح قال اخبرنی ابی عن ابی نعيم وهو وهب قال رايت ابن عمرو ابن الزبير يدعو ان يديران بالراحتين علی الوجه
Abu Nuaym Wahab ibn Kaysan bayan karte hai, “Maine dekha ki Abdullah ibn Umar raziyallahu anhu aur Abdullah bin Zubair raziyallahu anhu Duaa ke baad hatheliyo ko chehre par fer liya karte the.”
Al Adab Al Mufrad, Hadith - 609.
Huqm . Hasan (liz-zatihi) by Shaykh Zubair Ali Zai.
Shaykh Zubair Ali Zai r.h. is hadees ki sehat ke tafseer me farmate hai:
"Iski sanad Hasan liz-zatihi hai balki Sahih al Bukhari ki shart par hai."
Namaz e Nabawi, page-265.
Ak Ateraz .
Shaikh Albani RahiMullah ne iski sanad ko zaeef kha ki ye zaeef hai or isme rawee Mohammad bin fulah .or unke baap fulah bin Sulaiman dono zaeef hai .
Note . Shaikh Albani rh ki ye baat durusat nahi ye dono rawee bukhari ke hai . Shaikh Albani rh.bukhari ki riwayato ko bi zaeef mante hai or unka man'a hai ki 20 se jayda bukhari ki riwayat zaeef hai or sayad isiliye Shaikh Albani rh ne in dono raweeyo par jarha ki
Bukhari par ijma hai ki iski tamam riwayate sahih hai
Imam nawawi rh farmate hai
Ummat ka is baat par ijma hai ki Qur'an ke baad sabse sahih kiyab sahih bukhari or sahih Muslim hai
Sarha muslim safa 14
Scan
2)imam ibne kashir farmate hai ki
Sahih Bukhari ki maqbuliyat or iski seihat par sab ahele ilm ka ijma hai
Al bidaya wa nihaya safa no ,24
Scan
Yhi baat mula ali qari bi khate hai
Mirqatul manaji sarha miskatul masabih .safa 62
Scan
.ye dono rawee bukhari ke hai
حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ فُلَيْحٍ ، قَالَ : حَدَّثَنِي أَبِي
Sahih Bukhari hadees no.59
Scan
Isi trha inki riwayat sahih bukhari me in number par hai .
Jinme kuch uske bad fulah bin Sulaiman hai to kuch me Mohammad bin fulah .or kuch hadees me dono bap bete ki riwayat sath me hai
👇
1)Bukhari.59
2)Bukhari 158
3)Bukhari.986
4)Bukhari 1285
5)Bukhari 1342
6)Bukhari 2378
7)Bukhari 2661
8)Bukhari 2793
9)Bukhari 3229
10)Bukhari 3252
11)Bukhari 3254
12)Bukhari 3443
13)Bukhari 4018
14)Bukhari 4026
15)Bukhari 4781
16)Bukhari 4805
17)Bukhari 5457
18)Bukhari 5613
19)Bukhari 5644
20)Bukhari 6046
21)Bukhari .6272
22)Bukhari 6468
23)Bukhari 6496
24)Bukhari 6587
25)Bukhari 7423
Ise sabit hotha hai ki ye riwayat Bukhari ki sart par sahih hai .
Or in Ravi ko na sirf is wajha se suduq kha mana ja raha ki ye bukhari ke balki is liye ke kai ak muhadiseen ne inko siqa suduq kaha balki jamhoor ne inki tosiq ki lihaza jamhoor ke mukable me Chand ki baat mardood hai
Comments