Kya muawiaya raziyAllahu anhu Talwar ke jour par Hajrate Ali raziyAllahu anhu par lanat karwate the .

 



Kya Muawiya raziyallahu anhu talwar ke Jor par hajrte Ali raziyallahu anhu par lanat karwate the 

Zaheer salafi 


Mirza ali ne apne is mokif ko sabit karne ke liye sunan qubra Nasai ki hadees no 8423 pesh ki 


Imam Nasai (w303) Farmate hain


أخبرنا عبد الأعلى بن واصل بن عبد الأعلى ، قال : حدثنا جعفر بن عون ، عن شيق بن أبي عبد الله ، قال : حدثنا أبو بكر بن خالد بن عرفطة ، قال : رأيت سعد بن مالك بالمدينة ، فقال : كر أنكم تسبون عليا ؟ قلت : قد فعلنا ، قال : بعثك . نسبته ؟ قلت : معاد الله ، قال : لا تسبه ، فإن وضع المنشار على مفرقي على أن أسب عليا ما سببته بعدما سمعت من رسول الله ما سمعت


hum is riwayat ka tarjuma woh karen ge jo Mirza Ali ne kiya hai, Mirza kehta hain ke 


hajrate Saad ne kaha ke mein ne suna hai ke tum Ali ko gaaliyan dete ho? to unhon ne kaha ke kya waqai hi aap ne aisay suna hai? unhon ne kaha ke haan mein ne suna hai aisay, unhon ne kaha ke maazallah, Allah ki qisam! hum ne kabhi hazrat Ali ko gaaliyan nahi di ”


Sunan qubra Nasai hadees no.8423)


Scan 

  riwayat paish ki aur is se Mirza Ali ne yeh ta-assur dainay ki koshish ki ke sahaba raziyAllahu anhu se syedna muawiya raziyAllahu anhu gaaliyan dilvate thay aur laanat kerwatay thay. ”


Ye zaeef riwayat Hain is ki sanad mein Abu Bakr bin Khalid bin urfta Ravi mjahool hai is ki toseeq saabit nahi hai lehaza yeh riwayat zaeef hai .

Or dusri baat

jab yeh tarjuma kya jaye ga to is ka matlab ye hai ke sayedina Ali raziyAllahu anhu ko gaaliya nahi di jati thee kisi ne afwaah udai thi to jab sayedina Saad raziyAllahu anhu ne logon se ja kar pucha unhon ne kaha ke hum to gaaliyan nahi dete, is se to masla saaf ho jata hai ke haqeeqat mein to gaaliyan nahi di jatein theen balkay kisi ne afwaah udai thi lekin hum kehte hain ke yeh jo riwayat aap ne paish ki hai is mein yeh hai ke syedna Saad raziyAllahu anhu ne kaha ke agar mere sir par aara bhi rakh diya jaye aur phir mujh se kaha jaye ke Ali raziyAllahu anhu ko bura bhala khe to me phir bhi bura nahi kahoon ga .



Mirza Ali kehta hain ke dekhen jee! kon majboor karta tha? goya ke logon ko majboor kya jata tha, logon ko qatal ki dhamkian di jati theen, kaha jata tha ke Ali ko Bura bla na khoghe to qatal kar diya jaye ga. is liye sayedina Saad raziyAllahu anhu ne keh diya ke agar mere sir par aara bhi rakh diya jaye to mein phir bhi syedna Ali raziyAllahu anhu ko bura bhala nahi kahoon ga .





Comments

Popular posts from this blog

Masla fatiha khalf ul imam

Hazrat Abdullah ibne masood Rd ki tark rafulyadain ki riwayat ki haqiqat

Kya imam Sufiyan bin sayeed as sorri mudalis nahi the?