Difa a sahaba post 4) sulah hasan raziyAllahu anhu.kaya. Muawiya raziyallahu anhu ne sulah Hasan par Amal nahi kiya









Difa sahaba .kya muawiaya raziyAllahu anhu ne sulah hasan par amal nahi kiya .


Post 4)


Zaheer salafi



sayedina hasan raziyAllahu anhu ne jab syedina muawiya raziyAllahu anhu se sulah ki to kya koi sharait paish ki thee jin par syedina muawiya raziyAllahu anhu ne amal nahi kya? 


Ali mirza ne apne pumfilet mein kuch shartain likhi lekin ki in Sarto par sulah hasan huwi halaki vo sari riwayat be sanad hain  



Or afsos ye ke ali mirza ne apne pumfilet me har page ke upar likha tarikh ki be sanad jhuti or zayeeful isnad se ye pumfilet mahfuz hain  




Ali mirza par ye lajim hain ki vo is ki sanad pesh kare ki sulah hasan ki sart kya ti



agar aap sanad ko miyaar mantay hain aur sahih isand ke naara lagatay hain to phir is terhan ki jhooti or be sanad riwayaat khud kyun paish karte hain? sulah hasan raziyAllahu anhu kuch sharait par hui thi or woh sharait kon kon si theen kisi sahih sanad ke sath hamaray samnay paish karen. warna aap ko Allah se dar jana chahiye, aap ko elania rujoo karna chahiye ke mein ne –apne pumfilet ke shuru mein likha tha ke zaeef isnad jhooti aur be sanad riwayaat se pak hai, lekin aap ne phir bhi ummat ko dhoka dete hue be sanad aur jhooti riwayaat –apne pumfilet mein likh bhi den, yeh sab jhoot hai, syedina hasan raziyAllahu anhu ne ghair mashroot tor par muawiya raziyAllahu anhu se sulah ki thi aur jis sulah ko nabi kareem sale Allah alaihi wasallam ne ummat ke liye khush aaind qarar diya or sahaba karaam raziyAllahu anhum is ko khush aayind samajte thay, to waqai hi ummat ne is ko khush aayind dekha aur is ki wajah se ummat ko faida hwa, saari ummat yeh samjhti hai ke jo sulah hui thi is ke achay nataij niklay, aap log to is sulah ko bhi mashkook karna chahtay hain, un logon ko kkhuda ka khof nahi aata, . hadees ke alfaaz hain ke un do garohoon ke darmiyan sulah Allah Tabarak tala karwanay walay hain aur yeh kehte hain ke syedina hasan raziyAllahu anhu ne majboron sulah ki thi. yeh log is basharat ko basharat maan-ne ke liye tayyar nahi hain. Allah Tabarak tala un logon ko hadaayat day


Or Hasan raziyAllahu anhu or muawiaya raziyAllahu anhu ke biche sulah iski peshangoi Nabi ﷺ pahle hi Farma chuke the .


قَالَ الْحَسَنُ : وَلَقَدْ سَمِعْتُ أَبَا بَكْرَةَ ، قَالَ : بَيْنَا النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يَخْطُبُ جَاءَ الْحَسَنُ ، فَقَالَ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ : ابْنِي هَذَا سَيِّدٌ ، وَلَعَلَّ اللَّهَ أَنْ يُصْلِحَ بِهِ بَيْنَ فِئَتَيْنِ مِنَ الْمُسْلِمِينَ    


hasan basri ne kaha ke mein ne abu Bakr raziyAllahu anhu se suna, unhon ne bayan kya ke Nabi ﷺ khutba day rahay thay ke hasan raziyAllahu anhu aaye to Nabi ﷺ ne farmaya ke mera yeh beta syed hai aur umeed hai ke is ke zareya Allah musalmanoon ki do jamaaton mein sulah kara day ga .



Sahih Bukhari hadees 7109)


Scan 





Or muawiaya raziyAllahu anhu ne khud Hasan raziyAllahu anhu ke fazail me hadees bayan ki hain balki asi hadees hain ki is riawayat ko siwaye muawiaya raziyAllahu anhu ke kisi ne bayan nahi ki muawiaya raziyAllahu anhu munfarid hain isko bayan karne me 



Muawiaya raziyAllahu anhu ne bayan kiya ke mene dekha Nabi ﷺ hajrate hasan raziyAllahu anhu ke hotto ko chum rahe the .


Musnad ahemad hadees .16849)


Scan 






Comments

Popular posts from this blog

Masla fatiha khalf ul imam

Hazrat Abdullah ibne masood Rd ki tark rafulyadain ki riwayat ki haqiqat

Kya imam Sufiyan bin sayeed as sorri mudalis nahi the?