JABIR BIN ABDULLAH RZ KI RIWAYAT PAR AITERAZ KA TAHQIQI JAYEZA
IMAM IBN KHUZAIMAH RH ne kaha
نا مُحَمَّدُ بْنُ الْعَلَاءِ بْنِ كُرَيْبٍ، نا مَالِكٌ يَعْنِي ابْنَ إِسْمَاعِيلَ، نا يَعْقُوبُ، ح وَثنا مُحَمَّدُ بْنُ عُثْمَانَ الْعِجْلِيُّ، نا عُبَيْدُ اللَّهِ يَعْنِي ابْنَ مُوسَى، نا يَعْقُوبُ وهو ابْنُ عَبْدِ اللَّهِ الْقُمِّيُّ، عَنْ عِيسَى بْنِ جَارِيَةَ، عَنْ جَابِرِ بْنِ عَبْدِ اللَّهِ قَالَ: صَلَّى بِنَا رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ فِي رَمَضَانَ ثَمَانِ رَكَعَاتٍ وَالْوِتْرَ، فَلَمَّا كَانَ مِنَ الْقَابِلَةِ اجْتَمَعْنَا فِي الْمَسْجِدِ وَرَجَوْنَا أَنْ يَخْرُجَ إِلَيْنَا، فَلَمْ نَزَلْ فِي الْمَسْجِدِ حَتَّى أَصْبَحْنَا، فَدَخَلْنَا عَلَى رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، فَقُلْنَا لَهُ: يَا رَسُولَ اللَّهِ، رَجَوْنَا أَنْ تَخْرُجَ إِلَيْنَا فَتُصَلِّيَ بِنَا، فَقَالَ: «كَرِهْتُ أَنْ يُكْتَبَ عَلَيْكُمُ الْوِتْرُ
Ki JABIR BIN ABDULLAH RZ se RIWAYAT hai ki ALLAH ke NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ne hame RAMAZAN me 8 RAKA’AT aur WITR padhayi phir agli bar hum MASJID me JAMA hue aur ye UMMEED ki ki ALLAH ke NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM hamare pas (IMAMAT) ke liye aayenge yaha tk ki SUBAH ho gayi phir ALLAH ke NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM hamare pas aaye to hum ne kaha aye ALLAH ke NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM hume UMMEED thi ki AAP hamare pas aayenge aur IMAMAT karayenge to AAP SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ne farmaya mujhe KHTRA hua ki WITR tm par FARZ na kar di jaaye
Sahih ibne khujema hadees 1070)
Scan
Ye riwayat sahih hain ahanaf ki traf se is riwayat par ateraz kiya jatha hain ki iski sanad me Ravi isha bin jariya Zaeef hain
Unki pesh karda daleelo ki tahaqiq.
- IMAM IBN MU’EEN RH ne kaha
عيسى بن جارية عنده أحاديث مناكير
Ki EESA BIN JARIYAH,unke paas MUNKaR AHADEES hain
TAREEKH IBN MU’EEN RIWAYAH AD DAORI JILD 4 SAFA 369 )
NOTE>> IN ALFAAZ me EESA BIN JARIYAH par BARAH RAAST JARAH nahi hai q ki IMAM IBN MU’EEN RH ne kaha hai ki unke paas MUNKIR AHADEES hain,Aur kisi ke paas MAHEZ MUNKIR AHADEES ka hona is baat ko MUSTALZIM nahi hai ki wo RAAWI MUNKIR UL HADEES hai
IMAM ZAHBI RH ne kaha
ما كل من روى المناكير يضعف
Ki aisa nahi hai ki jis kisi ne bhi Munkar AHADEES RIWAYAT ki wo ZA’EEF QARAR payega
MEEZAN UL AITEDAL JILD 1 SAFA 118 )
Scan
Hum EESA BIN JARIYAH hi se MUTA’ALLIQ IMAM IBN MU’EEN RH ke deegar AQWAL dekhte hain to MALOOM hota hai ki IMAM IBN MU’EEN RH ne TAFARRUD ke MA’NA me hi inki AHADEES ko MUNKIR kaha hai chunancha ek doosre mauqe par IMAM IBN MU’EEN RH ne kaha
روى عنه يعقوب القمي لا نعلم أحدا روى عنه غيره وحديثه ليس بذاك
Ki inse YA’QOOB ALQAMI ne RIWAYAT kiya hai aur hum nahi jante ki inke ALAWA bhi kisi ne unse RIWAYAT kiya hai aur inki HADEES A’ALA DARJE ki HADEES nahi hai
TAREEKH IBN MU’EEN RIWAYAH ADDAORI JILD 4 SAFA 365 )
IMAM IBN MU’EEN RH ke is QAUL se ye baat SAAF ho gayi ki unhone TAFARRUD ke MA’NA me hi inki AHADEES ko MUNKIR kaha hai aur is MA’NA me agar kisi RAAWI ki HADEES ko MUNKIR kaha jaye to us se RAAWI ki TAZ’EEF LAAZIM nahi aati
Iske alawa IMAM IBN MU’EEN RH ne us ki HADEES ko ”لیس بذاک bhi kaha hai aur is Segaa se HADEES ki TAZ’EEF nahi hoti hai balki A’ALA DARJE ki SEHAT ki NAFI hoti hai
2) IMAM ABU DAWOOD RH ne kaha
منكر الحديث
Ye MUNKIR UL HADEES hai
TAHZEEB UL KAMAL JILD 22 SAFA 589 )
SCAN
Arz hai IMAM MIZZI RH ne IMAM ABU DAWOOD RH se ye bhi NAQAL kiya hai ki
وَقَال في موضع آخر : ما أعرفه ، روى مناكير.
IMAM ABU DAWOOD RH ne doosre MAQAAM par kaha ki mai ise nahi janta isne MUNKIR RIWAYAAT NAQAL ki hain
TAHZEEB UL KAMAL JILD 22 SAFA 590
SCAN
IMAM ABU DAWOOD RH ke is doosre QAUL se ye WAAZEH ho gaya ki IMAM ABU DAWOOD RH ne is RAAWI ko MUNKIR UL HADEES sirf is MA’NA me kaha hai ki inhone MUNKIR RIWAYAT NAQAL ki hain aur sirf itni baat se kisi RAAWI ki TAZ’EEF SABIT nahi hoti q ki kisi RAAWI ka MUNKIR UL HADEES hona aur kisi RAAWI ka MUNKIR RIWAYAAT BAYAN karna dono me FARQ hai KAMA MAZAA
KAi muhaddisin ne ise siqa kha .
1- IMAM ABU ZAR’AA AL RAAZI RH ne kaha
لا بأس به
Ki inme koi HARJ ki bat nahi yani ye SIQA hain
AL JARAH WA TA’DEEL JILD 6 SAFA 273)
SCAN
2- IMAM HAITHMI RH ne kaha
وثقه أبو زرعة
Ki ABU ZAR’AA ne inhe SIQA kaha hai
MAJMOO AZ ZAWAID JILD 2 SAFA 186
SCAN
3) IMAM ABU YA’ALA AL KHALEELI RH ne kaha
عِيسَى بْنُ جَارِيَةَ تَابِعِيُّ ۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔ وَرَوَى عَنْهُ الْعُلَمَاءُ مَحِلُّهُ الصِّدْقُ
Ki EESA BIN JARIYAH TABAYI hain,inse ULAMA ne RIWAYAT kiya hai ye SACHCHE hain
AL IRSHAD FI MA’RIFA ULAMA UL HADEES JILD 2 SAFA 785,786 )
SCAN
4) IMAM MUNZIREE RH ne inki ek RIWAYAT ke baare me kaha
رواه أبو يعلى بإسناد جيد وابن حبان في صحيحه
Ki ise ABU YA’ALA RH ne JAYYAD SANAD se RIWAYAT kiya hai aur IBN HIBBAN RH ne ise apni SAHEEH me RIWAYAT kiya hai
AT TARGEEB WAT TARHEEB JILD 1 SAFA 293
SCAN
5)IMAM ZAHBI RH ne inki isi RIWAYAT ke baare me kaha
إسناده وسط
Ki iski SANAD AUSATT DARJE ki hai
MEEZAN UL AITEDAL JILD 3 SAFA 311
SCAN
6) NEEMWI HANAFI ne inki ek RIWAYAT NAQAL kar ke kaha
اسنادہ صحیح
Ki iski SANAD SAHEEH hai
AASAR US SUNAN RIWAYAT NO. 961
7)
Comments