Kya tahajjud or tarhweeh me fark hain


 Kya Taraweeh, Tahajjud, Me Fark‍ hain 


Zaheer salafi




Taraweeh or Tahajjud ak hi hain jo 11 mahine tahajjud khalati hain wahi ak mahine yani ramzan me Qiyam Al Lail .taraweeh khalati .



Baaz logh khate hain ki Taraweeh or Tahajjud alagh alagh hain .


Note ase logho ke paas koi daleel nahi hain .jise ye sabit ho ke Taraweeh or Tahajjud alagh alagh hain .



Taraweeh or Tahajjud ak hain daleel .



Imam Bukhari (w 256) farmate Hain


حَدَّثَنَا عَبْدُ اللَّهِ بْنُ يُوسُفَ , قَالَ : أَخْبَرَنَا مَالِكٌ ، عَنْ سَعِيدِ بْنِ أَبِي سَعِيدٍ الْمَقْبُرِيِّ ، عَنْ أَبِي سَلَمَةَ بْنِ عَبْدِ الرَّحْمَنِ أَنَّهُ أَخْبَرَهُ , أَنَّهُ سَأَلَ عَائِشَةَ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهَا كَيْفَ كَانَتْ صَلَاةُ رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ فِي رَمَضَانَ ؟ فَقَالَتْ : مَا كَانَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يَزِيدُ فِي رَمَضَانَ وَلَا فِي غَيْرِهِ عَلَى إِحْدَى عَشْرَةَ رَكْعَةً ، يُصَلِّي أَرْبَعًا فَلَا تَسَلْ عَنْ حُسْنِهِنَّ وَطُولِهِنَّ ، ثُمَّ يُصَلِّي أَرْبَعًا فَلَا تَسَلْ عَنْ حُسْنِهِنَّ وَطُولِهِنَّ ، ثُمَّ يُصَلِّي ثَلَاثًا ، قَالَتْ عَائِشَةُ : فَقُلْتُ : يَا رَسُولَ اللَّهِ أَتَنَامُ قَبْلَ أَنْ تُوتِرَ ؟ فَقَالَ : يَا عَائِشَةُ إِنَّ عَيْنَيَّ تَنَامَانِ وَلَا يَنَامُ قَلْبِي    




Abu Salma bin 'Abdur Rahman r.a. riwayat karte hai ki maine Aisha r.a. se pucha ki RasoolAllah ki Ramadan ki raat ki namaz kaisi hoti? Unhone farmaya ki Ramzaan hota ya gair Ramzaan, Rasool ﷺ gyarah (11) rakat se zyada nai padhte the. (Pahle) aap char rakat padhte aur us namaz ki lambai aur khubsurti ko mat puchye fir aap char rakat padhte aur us namaz ki lambai aur khubsurti ko mat puchye. Fir (akhir) me ap teen rakat (witr) padhte.


Sahih al Bukhari, hadith-1147, 2013,)


Imam Bukhari ne is hadees ko taraweeh ke bab me bi or Qiyam Nabi ﷺ wa lail fi Ramzan wa ghera  


 Kitab Salat al-Taraweeh .

Sahih bukhari hadees .2013.


Scan link

https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEgCZHROW3wPXa3wk9GlIr2mEbV0Nxf1r2FjUvXH06zN-wx7BZKvOGdkWSFZV_4pTHtbOdW0XrIzdHx8VEe9861pvJt06XbSN8W6aEEREseKO0IZ3_bGHNh-F7_Z-pY-7KT8D6Xf2vKySDE/s2048/PicsArt_03-21-12.49.47.jpg



Sahih Bukhari hadees no.1147 bab 

Qiyam Nabi ﷺ wa lail fi Ramzan wa ghera  


Scan link


https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEipwKThhqTpdEG_WwgQQeWEmKPBc-a7fUxuMMtGbPsvs6ozNdHD7X-ALV0713Y-ugVVJI-NndjbJoCsVZPoIdsXhjNijjgA7g60Is1IATHrjKwhj3MzGzrRId2Gl6TiKqQix6oLjzNXCZE/s1782/PicsArt_03-21-12.58.27.png


Ise sabit huwa ke taraweeh or Tahajjud ak hi namaz ke do naam hain 


Note.Jab Ayesha r.a. se pucha gaya ki RasoolALlah ﷺ ki Ramadan ki raat ki namaz kaisi hoti thi to unhe saaf saaf sirf ek hi namaz ka zikr kiya. Agar Taraweeh aur tahajjud alag namaz hoti to wo ye zarur puchti ki Raat ke kis namaz ki baat kar rahe hai 


Aur bhi boht saari ahadiths hai jo kahti hai ki RasoolAllah ne Ramzaan ke raato me sirf ek hi namaz padhi. Agar Taraweeh aur Tahajjud alag alag hota to RasoolAllah dono padhte na ki sirf ek:


.kyuki ak hadees me hain


حَدَّثَنَا هَنَّادٌ، حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ الْفُضَيْلِ، عَنْ دَاوُدَ بْنِ أَبِي هِنْدٍ، عَنْ الْوَلِيدِ بْنِ عَبْدِ الرَّحْمَنِ الْجُرَشِيِّ، عَنْ جُبَيْرِ بْنِ نُفَيْرٍ، عَنْ أَبِي ذَرٍّ، قَالَ:‏‏‏‏ صُمْنَا مَعَ رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ فَلَمْ يُصَلِّ بِنَا حَتَّى بَقِيَ سَبْعٌ مِنَ الشَّهْرِ، ‏‏‏‏‏‏فَقَامَ بِنَا حَتَّى ذَهَبَ ثُلُثُ اللَّيْلِ، ‏‏‏‏‏‏ثُمَّ لَمْ يَقُمْ بِنَا فِي السَّادِسَةِ وَقَامَ بِنَا فِي الْخَامِسَةِ حَتَّى ذَهَبَ شَطْرُ اللَّيْلِ، ‏‏‏‏‏‏فَقُلْنَا لَهُ:‏‏‏‏ يَا رَسُولَ اللَّهِ لَوْ نَفَّلْتَنَا بَقِيَّةَ لَيْلَتِنَا هَذِهِ ؟ فَقَالَ:‏‏‏‏ إِنَّهُ مَنْ قَامَ مَعَ الْإِمَامِ حَتَّى يَنْصَرِفَ كُتِبَ لَهُ قِيَامُ لَيْلَةٍ ، ‏‏‏‏‏‏ثُمَّ لَمْ يُصَلِّ بِنَا حَتَّى بَقِيَ ثَلَاثٌ مِنَ الشَّهْرِ، ‏‏‏‏‏‏وَصَلَّى بِنَا فِي الثَّالِثَةِ وَدَعَا أَهْلَهُ وَنِسَاءَهُ، ‏‏‏‏‏‏فَقَامَ بِنَا حَتَّى تَخَوَّفْنَا الْفَلَاحَ، ‏‏‏‏‏‏قُلْتُ لَهُ:‏‏‏‏ وَمَا الْفَلَاحُ ؟ قَالَ:‏‏‏‏ السُّحُورُ . قَالَ أَبُو عِيسَى:‏‏‏‏ هَذَا حَدِيثٌ حَسَنٌ صَحِيحٌ


Abu Zarr r.a. riwayat karte hai, "Hamne RasoolAllah ke sath roze rakhe, lekin unhone (raat ki) namaz nahi padhi jab tak ke Ramadan ki sat (7) raate nahi bachi. Fir unhone hamari imamat kari yaha tak ke ek tehai raat guzar gai, Fir unhone chathi raat ki namaz me hamari imamat nahi kari. Fir unhone panchwi raat hamari imamat kari yaha tak ke aadhi raat guzar gayi. Hamne daryaft kiya, "Ae Allah ke Rasool kya ap baaki raat ke hisse me hamari imamat nahi karenge". Unhone farmaya, "Jo shaks Imam ke sath Khada ho kar padhta hai jab tak Imam khatm na karde to Allah (uske aamal me) likhenge ki usne puri raat namaz me guzari.”; Fir unhone hamari imamat nahi karayi jab tak ke teen raat na bach gayi. Fir unhone teesri raat hamari imamat karyi aur unhone apne Gharwalo ko aur apne biwio ko hamare sath namaz padhne ko kaha itni der tak ke hame khatra mahsus hua ki kahi sahri ka waqt na khatm ho jaye."


Tirmizi hadees 806)

Scan link


https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEghFGH6og68ORQTgyX11HJrM03tzTyS2tcHUYNcK1BEifGuV4DY3rLubMg5uhNFrDKF-c_xH541vLm7MH50nLMywGGlRbZfUCcPG3U5uubjI_829dSECVqQT20bHQcqOZCC3IiHSm41zJI/s1639/PicsArt_03-21-01.11.00.png


Agar qayam e Ramadan ke alawa RasoolAllah ﷺ tahajjud bhi padha karte the to fir bataiye ki apne 27wi ramadan ko tahajjud kyu na padhi??



Kyuki jab sahaba ko Sheri bi kar payenge ya nahi iski fikr hain to ise ye andaza lagaya ja sakta hain ki vo waqt kitna kam hogha .to tahajjud padne ka waqt kese milta 

Malum hua ke maahe Ramadan me Tahajjud aur qayam e Ramadan alag alag nahi balki ek hi namaz hai. Sire se mankul hi nahi ki Aap ﷺ ne Ramadan ul mubarak ki kisi raat ko tahajjud aur qayam e Ramadan ka alag alag intezam kiya ho.



Maulana anwar shah kashmiri hanfi deobandi farmate hain ke



ولا مناص من تسليم أن تراويحه ا كانت ثمانية رکعات ولم يثبت في رواية من الروايات أنه لا صلي التراويح والتهجد على حدة في رمضان


" ye baat tasleem karne ke siwa koi chaarah nahi ke nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki taraaweeh 8 rakat thi, aur kisi ek riwayat se bhi saabit na ho saka ke nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne ramzaan me tahajjud aur taraawih alag alag padhi hon, nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke zamaanah me taraweeh aur tahajjud ki rakat me koi farq na thi, balke sifat aur waqt me farq Tha"


arful shazi jild 1 page 282)


Scan link


https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEjrnwDuTufWHysqfGJ1Shs_vDHRrACw7O0YEZo5a8fShFU_FoJ0PUQWWuu87IevsUZstaVTo5KwER8jXnoaY6L5iHoe7UwmuDyGel_Wf8Oh-n53UMqw9r9LvEHP-7m0aemTR4tMNtWYYxY/s1049/PicsArt_03-21-01.56.00.jpg



Kisi ak sahih hadees se sabit nahi ke Nabi ﷺ ne kabi taraweeh padne ke baad tahajjud padi ho.



Comments

Popular posts from this blog

Masla fatiha khalf ul imam

Hazrat Abdullah ibne masood Rd ki tark rafulyadain ki riwayat ki haqiqat

Kya imam Sufiyan bin sayeed as sorri mudalis nahi the?