20 rakat tarhweeh ki marfu riwayat ka tahqeeqi jaiza Post 1)
20 rakat tarhweeh ki marfu riwayat ka tahqeeqi jaiza
Post 1)
Zaheer salafi
Imam bayhaqi (w 358) farmate Hain
أنبأ أَبُو سَعْدٍ الْمَالِينِيُّ، ثنا أَبُو أَحْمَدَ بْنُ عَدِيٍّ الْحَافِظُ، ثنا عَبْدُ اللهِ بْنُ مُحَمَّدِ بْنِ عَبْدِ الْعَزِيزِ، ثنا مَنْصُورُ بْنُ أَبِي مُزَاحِمٍ، ثنا أَبُو شَيْبَةَ، عَنِ الْحَكَمِ، عَنْ مِقْسَمٍ، عَنِ ابْنِ عَبَّاسٍ قَالَ: " كَانَ النَّبِيُّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يُصَلِّي فِي شَهْرِ رَمَضَانَ فِي غَيْرِ جَمَاعَةٍ بِعِشْرِينَ رَكْعَةٍ، وَالْوِتْرِ
أَبُو شَيْبَةَ إِبْرَاهِيمُ بْنُ عُثْمَانَ الْعَبْسِيُّ الْكُوفِيُّ وَهُوَ ضَعِيفٌ
Abdullah ibne Abbas raziyAllahu anhu se riwayat hain ki Nabi ﷺ Ramazan me baghair jamat ke 20 rakat or witar padhte the
Sunan Qubra bayhaqi Jild 2 safa 698 hadees .6415)
Scan link
Ye riwayat musannaf ke andar bi hain
Imam ibne shaybah(w 235) Farmate hain
حدثنا يزيد بن هارون ، قال : أنا إبراهيم بن عثمان ، عن الحكم ، ع قم ، عن ابن عباس ، أن رسول الله بل كان يصلي في رمضان ( في غير جماعة ) عشرين ، والوتر
Ibne Abbas raziyAllahu anhu se riwayat hain ki Nabi ﷺ Ramazan me baghair jamat ke 20 rakat or witar padhte the .
Musannaf IBN abi shaybah Hadees no.7774
Scan link
Isko imam tabarani ne bi nakal kiya
حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ جَعْفَرٍ الرَّازِيُّ، ثنا عَلِيُّ بْنُ الْجَعْدِ، ثنا أَبُو شَيْبَةَ إِبْرَاهِيمُ بْنُ عُثْمَانَ، عَنِ الْحَكَمِ، عَنْ مِقْسَمٍ، عَنِ ابْنِ عَبَّاسٍ، قَالَ: كَانَ النَّبِيُّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يُصَلِّي فِي رَمَضَانَ عِشْرِينَ رَكْعَةً وَالْوِتْرَ
Al moujam al kabeer tabrani Jild 11safa 393 . hadees .12102)
Scan link
Iske allawa bi kai kitabo me mojud hain
Ye zaif riwayat hain iski sanad me Ravi Abu shayeiba ibraheem bin Usman al abasi al koofi .zaif hain
jese Imam bayhaqi ne is riawayat ko nakal karne ke baad khud hi kha
أَبُو شَيْبَةَ إِبْرَاهِيمُ بْنُ عُثْمَانَ الْعَبْسِيُّ الْكُوفِيُّ وَهُوَ ضَعِيفٌ
Abu shayeiba ibraheem bin Usman al abasi al koofi .ye zaif hain
Sunan Qubra bayhaqi Jild 2 safa 698 hadees .6415)
Scan link
Or ahanaf ke mahbaub mohaqiq Mohammad awwama musannaf ibne shaybah ki tahqeeq me is riawayat ko zaif karar diya
Musannaf IBN abi shaybah Hadees no.7774 tahqeeq Mohammad awwama
Scan link
Kai muhaddisin ne is riwayat ko zaif ka or uske sath is riawayat ke mukabale me amma ayasa radiyallaha Anha ki 11 rakat tarhweeh wali hadees ke khilaf bataya
1) imam Abu bakar al buseeri is 20 rakat ki riwayat ko nakal karne ke baad kahte hai
وَمَدَارُ أَسَانِيدِهِمْ عَلَى إِبْرَاهِيمَ بْنِ عُثْمَانَ أَبِي شَيْبَةَ، وَهُوَ ضَعِيفٌ، وَمَعَ ضَعْفِهِ مُخَالِفٌ لِمَا رَوَاهُ مُسْلِمٌ فِي صَحِيحِهِ مِنْ حَدِيثِ عَائِشَةَ قَالَتْ: “كَانَتْ صَلَاةَ رَسُولِ اللَّهِ – صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ – بِاللَّيْلِ فِي رَمَضَانَ وَغَيْرِهِ ثَلَاثَ عشرة ركعة منها ركعتي الْفَجْرِ.
Ki un ki sanado ka daromdar ibraheem bin Usman abu shaybah
par hai aur ye zaif hai aur zaif hone ke sath sath ye hadees us hadees ke khilaf bhi hai jise imam muslim ne apni sahih me amma ayasa radiyallaha Anha ki riwayat kiya hai ki unhone farmaya ki Nabi ﷺ ki Rath ki namaz ramzan aur ghair ramzan me 13 rakat hoti thi aur unme fajr ki 2 rakat samil hoti thi
Ithaf al khairha Jild 2 safa 384)
Scan link
2)Hafiz ibne hajar rahimahullah is Hadees ke bare me khate hain
وَأما مَا رَوَاهُ بن أبي شيبَة من حَدِيث بن عَبَّاسٍ كَانَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يُصَلِّي فِي رَمَضَانَ عِشْرِينَ رَكْعَةً وَالْوِتْرَ فَإِسْنَادُهُ ضَعِيفٌ وَقَدْ عَارَضَهُ حَدِيثُ عَائِشَةَ هَذَا الَّذِي فِي الصَّحِيحَيْنِ مَعَ كَوْنِهَا أَعْلَمَ بِحَالِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ لَيْلًا مِنْ غَيرهَا
aur ibne shaybah me ibne abbas raziyAllahu anhu se jo riwayat kiya hai ki Nabi ﷺ ramzan me 20 rakat aur witar padhte the to iski sanad zaif hain hai aur saheehen me mojud amma ayasa radiyallaha Anha ki hadees is hadees ke khilaf hai mazeed ye ki amma ayasa radiyallaha Anha Nabi ﷺ ki Rath ki namaz se muttalik doosron se zayda jaankar hain
Fath ul baari Jild 4 safa 254)
Scan link
.
Abu shaybah ibraheem bin Usman al abasi al koofi par muhaddisin ki jarha
Imam Abu Dawood (w275) Farmate hain
ضعيف
Ye zaif hain
Tahzeeb Ul Tahzeeb Jild 1 safa 144)
Scan link
2) imam al shaybah bin al hajaj (w160 ) Farmate hain
كذاب والله
Allah ki kasam Ye jhuta hain
Al ilal wal marifat ar rizzal jild 1 safa 287 sanad sahih )
Scan link
3)imam ibne mayeen (w233) Farmate hain
ليس بثقه
Ye siqa nahi hain
Tarikh ibne mayeen riwaya ad darmi safa 242)
Scan link
4) imam ahemad bin humble (w241) Farmate hain
منكر الحديث
Ye Munkar ul hadees hain
Jarha wa tadeel jild 2 safa 115 ) sanad sahih
Scan link
5) imam jarha ar razi (w 264) Farmate hain
ضعيف
Ye zaif hain
Jarha wa tadeel Jild 2 safa 115)
Scan link
6) imam tirmizi (w279) Farmate hain
إِبْرَاهِيمُ بْنُ عُثْمَانَ هو أَبُو شَيْبَةَ واسطي منكر الحديث
Ibraheem bin Usman ye abu shaybah wasati hain or ye munkar ul hadees hai
Sunan tirmizi jild 3 safa 337.hadees 1026)
Scan link
7)Imam Nasai (w 303 ) Farmate hain
إِبْرَاهِيمُ بْنُ عُثْمَانَ أَبُو شَيْبَةَ متروك الحديث الْكُوفِيُّ
Ibraheem bin Usman abu shaybah hadees me matruk hain koofi hain
Jaofa wal matrukin raqam. 12)
Scan link
8) imam nawawi (w 674) Farmate hain
ضعیف متفق على ضعفه
Ye zaif hai. Or iske zaif hone par ittefak (ijma) hain .
Sarha muslim nawawi jild 1 safa 64)
Scan link
9 ) imam zahabi ( w 748) Farmate hain
ترك حديث
Is ki hadees chod di gyi
Al kashaf li zahabi jild 1 safa 219)
Scan link
10) imam Hafiz ibne hajar (w852) Farmate hain
متروك الحديث
Ye hadees me matruk hain
Taqreeb at tehzeeb .215)
Scan link
Ise sabit huwa ke ye riwayat zaif or jhuti hain .
Comments