20 rakat tarhweeh par 5 assar sahaba Ka tahqeeq jaiza
20 rakat tarhweeh par 5 assar sahaba
Ka tahqeeq jaiza
Zaheer salafi
.
1)Pahli daleel
Hadees umar raziyAllahu anhu
Imam Malik( w179) farmate Hain
عن يزيد بن رومان أنه قال كان الناس يقومون في زمان عمر بن الخطاب في رمضان بثلاث وعشرين ركعة
Yazid bin Ruman se riwayat hain ki logh umar raziyAllahu anhu ke jamane me Ramazan me 23 rakat tarhweeh padte te .
Muwatta Imam Malik Hadees 380.)
Scan link
Ye riwayat Munkate Hain yazeed bin Ruman umar raziyAllahu anhu .ka jamana nahi .
Imam bahaqi (w458) faramate hain hain
يزيد بن رومان لم يدرك عمر بن الخطاب
Yazeed bin Ruman ne Umar raziyAllahu anhu ka jamana nahi paya
Nasb Ul Ray By Zeli Hanfi Jild 2 Safa No 154
2)Dusri daleel.
Hadees Umar raziyAllahu anhu
حَدَّثَنَا وَكِيعٌ، عَنْ مَالِكِ بْنِ أَنَسٍ، عَنْ يَحْيَى بْنِ سَعِيدٍ، أَنَّ عُمَرَ بْنَ الْخَطَّابِ أَمَرَ رَجُلًا يُصَلِّي بِهِمْ عِشْرِينَ رَكْعَةً
Yahya bin sayeed khate hain ki umar bin khatab raziyAllahu anhu ne ak sakhas ko huqm diya ki vo logho ko 20 rakat tarhweeh padaye .
Musannaf IBN Abi shaybah jild 2 safa 163 .hadees 7682)
Scan link
Ye riwayat Munkate Hain Yahya bin sayeed ne Umar bin khatab ko nahi paya.
Imam ibne hajam (w452 ) khate hain .
وَعَنْ يَحْيَى بْنِ سَعِيدٍ - وَلَمْ يُولَدْ إلَّا بَعْدَ مَوْتِ عُمَرَ بِنَحْوِ خَمْسٍ وَعِشْرِينَ سَنَةً
Yahya bin sayeed se marvi hain or vo umar raziyAllahu anhu ki wafat ke 20 saal baad peda huwe
Al muhalla ibne hajam jild 9 safa.207)
Scan link
Imam ibne hajam ke is Qol se pta chala ki ye munkate riwayat hain
3)Tisari daleel
Hadees ali raziyAllahu anhu
أخبرنا أبو الحسن بن الفضل القطان ببغداد أنبأ محمد بن أحمد بن عيسى بن عبدك الرازي ثنا أبو عامر عمرو بن تميم ثنا أحمد بن عبد الله بن يونس ثنا حماد بن شعيب عن عطاء بن السائب عن أبي عبد الرحمن السلمي عن على رضي الله عنه قال دعا القراء في رمضان فأمر منهم رجلا يصلي بالناس عشرين ركعة قال وكان علي رضي الله عنه يوتر بهم وروى ذلك من وجه آخر عن علي
Hazrat Ali raziyAllahu anhu ne Quran ke qari’een ko bulaya aur unme se ek ko 20 rakat padhane ka hukm diya.or ali raziyAllahu anhu witar padte the .
Sunan al-Kubra bayhaqi.jild 2 safa 496)
Scan link
Ye riwayat sakhat zaif hain kai wajha
Pahli illat .
Ataa bin al saiyab akhir me mukhtlat ho gye the .or inse ye riwayat ikhatilat ke baad nakal ki gyi hain kyuki ikhatilat se pahle jin raviyo ne in se riwayat kiya unme Hammad bin Shuaib ka naam nahi hai jese ahele ilm ne sarhat ki hain
Imam tahavi hanafi (w321 ) Farmate hain
وَإِنَّمَا حَدِيثُهُ الَّذِي كَانَ مِنْهُ قَبْلَ تَغَيُّرِهِ يُؤْخَذُ مِنْ أَرْبَعَةٍ لَا مِمَّنْ سِوَاهُمْ، وَهُمْ شُعْبَةُ، وَالثَّوْرِيُّ وَحَمَّادُ بْنُ سَلَمَةَ، وَحَمَّادُ بْنُ زَيْدٍ
Ataa bin al saiyab ki riwayat jo inke ikhatilat se pahle ki gyi vo sirf 4 logho se marvi hain or vo ye hain .saiba .(sufiyan ) sori .Hammad bin salama or Hammad bin zaid .
Sarha muskil assar jild 5 safa 291)
.sarha muskil assar jild 1 safa 149)
Scan link
Dusri illat .
Hammad bin Shuaib par muhaddisin ki jarha hain .
1)Imam Bukhari (w256 ,) Farmate hain
فيه نظر
Is par najar hain
Tarikh al kabeer bukhari jild 3 safa 25)
Scan link
2)Imam Nasai (w 303).Farmate hain
حَمَّاد بن شُعَيْب ضَعِيف كُوفِ
Hammad bin Shuaib kufi zaif hain
Kitabu zaofa imam Nasai safa 31)
Scan link
3)
Hafiz noorudin ali bin abi Bakr bin Sulaiman Al haysami (w807) Farmate hain
فيه حماد بن شعيب وهو ضعيف
Isme Hammad bin Shuaib hian jo zaif hain
Majmau zawaid .jild 4 safa 31)
Scan link
is riwayat ka ak turk sunan Qubra bayhaqi me jild 2 safa 497) me mojud hain lekin vo bi zaif hain
Khud imam bahaqi ne usko nakal karne ke baad usko zaif karar diya
4) daleel.
Hadees ubey bin kaab
حَدَّثَنَا حُمَيْدُ بْنُ عَبْدِ الرَّحْمَنِ ، عَنْ حَسَنٍ ، عَنْ عَبْدِ الْعَزِيزِ بْنِ رُفَيْعٍ ، قَالَ كَانَ أُبَيّ بْنُ كَعْبٍ يُصَلِّي بِالنَّاسِ فِي رَمَضَانَ بِالْمَدِينَةِ عِشْرِينَ رَكْعَةً وَيُوتِرُ بِثَلاَثٍ.
Abdul Aziz bin Rafi khate hai ki Ubay bin Ka’ab logo ko Ramzan me Madina Munawwara me 20 rakat padhate the aur 3 rakat witar padate the .
(Musannaf Ibn Abi Shaybah jild 2 safa 163)
Scan link
Ye riwayat Munkate Hain
Abdul aziz ne ubey bin kaab ko nahi paya hain .
Abdul aziz ki wafat 130 hijri ya uske baad huwi .or inki umar 90 saal ki ti
Or ubey bin kaab ki wafat hajrate usman raziyAllahu anhu ke dour me 31 hijri me huwi .
Yani aghar 130 me se 90 saal kam kare to inki pedaish lagbagh 40 hijri me banati hain yani usman raziyAllahu anhu ke khilafat ke 5 saal baad peda huwe .
Inki wafat 130 ke baad huwi
Imam ibne hibban( w 354) faramate hain
مات بعد اثلاثين ومائة
Inki wafat 130 saal ke baad huwi .
Kitabu siqat la ibne hibban Jild 5 safa 123)
Scan link
Inki umar 90 saal ti.
Imam Bukhari (w256) Farmate hain
قال محمد بن حميد ، عن جرير : أتی علیه نیف وتسعون سنة
Jarir ne kha ki inhone 90 saal se bi jayda jindaghi payi
Tarikh al Kabeer jild 6 safa 11)
Scan link
Ubey bin kaab ki wafat 31 hijri me huwi
Imam Abu noyeim (w 430 ) ne kha
Kuch logh khate ki inki wafat 22 hijri me huwi or kuch khate hain ki usman raziyAllahu anhu ke dour me31 hijri me huwi .or yahi baat sahih hain .
Marifat sahaba . Jild 1 safa 214)
Scan link
Ise pta chala ki ye sanad munkate Hain or munktae hone wajah se zaif hain
Daleel 5
Hadeese ibne Umar .
حَدَّثَنَا شُجَاعُ بْنُ مَخْلَدٍ، حَدَّثَنَا هُشَيْمٌ، أَخْبَرَنَا يُونُسُ بْنُ عُبَيْدٍ، عَنْ الْحَسَنِ، أَنَّ عُمَرَ بْنَ الْخَطَّابِ جَمَعَ النَّاسَ عَلَى أُبَيِّ بْنِ كَعْبٍ فَكَانَ يُصَلِّي لَهُمْ عِشْرِينَ لَيْلَةً وَلَا يَقْنُتُ بِهِمْ إِلَّا فِي النِّصْفِ الْبَاقِي، فَإِذَا كَانَتِ الْعَشْرُ الْأَوَاخِرُ تَخَلَّفَ فَصَلَّى فِي بَيْتِهِ، فَكَانُوا يَقُولُونَ: أَبَقَ أُبَيٌّ.
قَالَ أَبُو دَاوُد: وَهَذَا يَدُلُّ عَلَى أَنَّ الَّذِي ذُكِرَ فِي الْقُنُوتِ لَيْسَ بِشَيْءٍ، وَهَذَانِ الْحَدِيثَانِ يَدُلَّانِ عَلَى ضَعْفِ حَدِيثِ أُبَيٍّ، أَنَّ النَّبِيَّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَنَتَ فِي الْوِتْرِ .
Hasan basri rahmathullah se riwayat he Umar radiallha anhu Logon Ko Hazrat ubey Bin Abhi kab radiallha anhu ko imamat per Jama Kiya vah logho ko 20 Rakat tarahweeh (20 ratho tak )padhte the aur jab Akhri Ashra Hota to vah Masjid Nahin Aate Log Kahate Ubey bin kaab bagh gya
abu-dawood kehte hain : yeh Daleel hai is baat ki ke Qanoot ke baray mein jo kuch zikar kya gaya woh ghair mooatbar hai aur yeh dono haddese ubey bin kaab raziyAllahu anhu ki is hadees ke zeaf par Dalalat karti hain ke rasool Allah sale Allah alaihi wasallam ne vitar mein Qanoot parhi
Sunan abu dawood h.1429)
Scan link
Zaif .
Hasan basari ka hajrate umar raziyAllahu anhu se sama sabit nahi hain .or unhone is riwayat me an se bayan kiya hain . mudallis ki an wali riwayat bina sama ke zaif hothi hain .
Hasan basari mudallis hain .
1) imam zahabi (w748) faramte hain .
كان الحسن كثير التدليس، فإذا قال في حديث عن فلان ضعف لحاجة ، ولا سيما عمن قيل إنه لم يسمع منهم
Hasan ( basari) kashir tadallis me hain lihaza jab ye an fullah khae to zaif hogha bilkhusus jab ye ase logho se an ke sath riwayat kare jinke bare me ye kha gya ho ke unhone an se nahi suna hain .
Mizan ul ateedal li zahabi jild 1 safa 527)
Scan link
2) imam hafiz ibne hajar khate hain
ذلك كثير الإرسال فلا تحمل عنعنته على وهو مع السماع
Hasan basari kashir irsal me hain
Isliye Inka an anana sama par Mehmool nahi
Fath ul baari .jild 1 safa 109)
Scàn link
Or Hasan basari ne Umar raziyAllahu anhu ka jamana nahi paya hain
Allama ayani rh farmate Hain
إن فيه انقطاعا ، فإن الحسن لم يدرك عمر بن الخطاب
Isme inkata hain kyuki Hasan basari ne Umar raziyAllahu anhu ka jamana nahi paya
Sarha abu Dawood jild 5 safa .343)
Scan link
ise sabit huwa ye riwayat zaif hain
is hadees me 20 rakat ka nahi balki 20 ratho ka jikr ..
devbandiyo ne ismein izafa kiya 20 rakat ka aur Upar ki Hadees padhakar bhi saaf jahir hai ki vahan bhi Raaton ka jikr hoga tabhi Tu Aakhri 10 asra mein ubay bin kaab masjid nhi ate ab agar koi yah Sawal Karen ki kya daleel hai ki waha 20 ratho ka jikr he to
iski sabse majbut daleel yah hai Ke
Yahi riwayat Abu Dawood ki hi sanad se miskat ul mashabih jikr kiya or wha 20 ratho ka jikr he
عَن الْحسن: أَن عمر بن الْخطاب جَمَعَ النَّاسَ عَلَى أُبَيِّ بْنِ كَعْبٍ فَكَانَ يُصَلِّي بِهِمْ عِشْرِينَ لَيْلَةً وَلَا يَقْنُتُ بِهِمْ إِلَّا فِي النِّصْفِ الْبَاقِي فَإِذَا كَانَتِ الْعَشْرُ الْأَوَاخِرُ تَخَلَّفَ فَصَلَّى فِي بَيْتِهِ فَكَانُوا يَقُولُونَ: أبق أبي. رَوَاهُ أَبُو دَاوُد
Miskat hadees .1293.
Scan link
Isi sanad se imam bahaqi ne bi nakal kiya usne bi 20 ratho ka jikr hain
أنبأ أَبُو عَلِيٍّ الرُّوذْبَارِيُّ، أنبأ أَبُو بَكْرٍ، ثنا أَبُو دَاوُدَ، ثنا شُجَاعُ بْنُ مَخْلَدٍ، ثنا هُشَيْمٌ، أنبأ يُونُسُ بْنُ عُبَيْدٍ، عَنِ الْحَسَنِ " أَنَّ عُمَرَ بْنَ الْخَطَّابِ رَضِيَ اللهُ عَنْهُ جَمَعَ النَّاسَ عَلَى أُبَيِّ بْنِ كَعْبٍ فَكَانَ يُصَلِّي بِهِمْ عِشْرِينَ لَيْلَةً، وَلَا يَقْنُتُ بِهِمْ إِلَّا فِي النِّصْفِ الْبَاقِي، فَإِذَا كَانَتِ الْعَشْرُ الْأَوَاخِرُ تَخَلَّفَ فَصَلَّى فِي بَيْتِهِ، فَكَانُوا يَقُولُونَ: أَبَقَ أُبَيٌّ
Sunan qubra bahaqi jild .2 safa 702. Hadees 4300)
Sunan saghir bahaqi jild 1 safa 285.hadees .788 )
Scan link
3)ibne kashir ne bi 20 Rath hi nakal kiya
قال أبو داود ثنا شجاع بن مَخلد، ثنا هشيم، أنا يونس بن عبيد، عن الحسن أنَّ عمرَ بن الخطاب جَمَعَ الناسَ على أُبَي بن كعب، فكان يُصلِّي بهم عشرينَ ليلةً، لا يَقنتُ إلا في النصفِ الباقي، فإذا كانت العشرُ الأواخرُ تخلَّف فصَلَّى في بيته، فكانوا يقولون: أَبَقَ أُبَي
(musnad faruk jild 2 .safa 252)
Scan link
Ise sabit huwa ki is riwayat me 20 rakat nahi 20 ratho ka jikr hain lekin bi ye zaif hain
Comments