Molana moududi ki gumrahi part 3)
Molana moududi ki gumrahi part 3)
zaheer Salafi
Ameer muawiya raziyallahu anhu par moududi sahab ke Atraaz
_____________________________
Molana sahab likhte hain
aik aur nihayat makrooh bidat hazrat muawiya raziyallahu anhu ke ahad mein hi shuru huwee ke wo khud or un ke huqm se un ke tamam governor khutabo mein mimbaro par hazrat Ali raziyallahu anhu par sab o sittam ki bochhaar karte thay hatta ke masjid nabwi mein mimbar rasool par ayain roza nabwi ke samne huzoor ke mehboob tareen Aziz ko gaaliyan di jati thee or hazrat Ali raziyallahu anhu ki aulaad or un ke qareeb tareen rishtedaar apne kaano se ye gaaliya suntay the
Tarikhe tabari Jild 4 safa 188 ibne aseer Jild 3 safa 234 Jild 4 safa 154 al bidaya wanihaya Jild 8 safa 259)
Kisi ke marne ke baad usko galiya dena sariyat to darkinaar insani akhlaq ke bi khilaf tha. Or khas tour se Juma ke khutba ko is gandaghi se aludha karna to deen wa akhlaq sakht gunah wa na fayil tha
Khilafat o malookiat safa 174)
Scan
Note.tabari ke is safa par kahi muawiya raziyallahu anhu ke bare me majkura qalam moujud nahi hai. Moududi sahab fout ho chuke hai unke hawari hume is safa par sayedina muawiya raziyallahu anhu ke bare me Jo moududi sahab ne kha hume dikha de
Nahi dikha sakte to fir man le sariyat to door ki baat ye insani akhalaq ke bi khilaf hain ke ak Sahabi par asa bohtan lagaya jaye
Aghe moududi sahab likhte Hain
hazrat Umar bin Abdul aziz ne aa kar apne khandan ki doosri ghalat riwayaat ki terha is riwayat ko bhi badla aur khutba jumma mein sabe Ali ' ' ki jagah ye padni shuru kar di
اِنَّ اللّٰہَ یَاۡمُرُ بِالۡعَدۡلِ وَ الۡاِحۡسَانِ وَ اِیۡتَآیِٔ ذِی الۡقُرۡبٰی وَ یَنۡہٰی عَنِ الۡفَحۡشَآءِ وَ الۡمُنۡکَرِ وَ الۡبَغۡیِ ۚ یَعِظُکُمۡ لَعَلَّکُمۡ تَذَکَّرُوۡنَ
Surah nahal ayat 90)
Khilafat o malookiat safa 174)
Scan
Note.molana moududi ne is baat ka koi hawala nahi diya kya tahaqiq isi ka naam hai ki jhute kisse khaniya bana kar logho ko sahaba se badjan kre .
Ak jagha likhte Hain
Male ganimat ki taqseem me bi hajrat muawiya ne kitabullah or sunnate rasool ki sarhat ahakam ki khilaf warzi ki
Khilafat o malookiat safa 175)
Scan
Mughira bin souba or muawiya raziyallahu anhu ke bare me khate hain
Yazid ke wali ahad ke liye ibtidayi tharik kisi sahih jazbay ki bunyaad nahi hui thi, balke aik buzurag ne apne zaati mafaad ke liye dosray buzurag ke zaati mafaad se appeal kar ke is tajweez ko janam diya aur dono sahaba ( sayedina Mughira or sayedina muawiya ) ne is baat se qata nazar karliya ke wo is terha ummat Mohammadiya ko is raah par daal rahe hain
Khilafat o malookiat safa 150)
Scan
Yani mughira bin souba or muawiya raziyallahu anhu ne apne fayde ke liye asa kiya astagfirullah.
Comments