Molana moududi ki gumrahi part 2)
Molana moududi ki gumrahi part 2)
Zaheer Salafi
Hajrate sahaba par molana moududi ke ilazamat.
__________________________________________
Ahele sunnat wal jamaat ka ye itteffaqi mokif hain ki sahaba ke apasi ikhilafat me juban band rakhi jaye or un par taan na kiya jaye.or jo asa kare vo ahele sunnat me se nahi .
Or yahi haal molana moududi ka hain .baaz logh molana moududi jese logho ki taraf dari karte nahi takhte maloom nahi ke kahi inki nazar me molana moududi ki mohabbat sahaba ki mohabbat par muqaddam to nahi?
Molana moududi jange ohad me sikhsat ki wajha likhte Hain
Ohad ki sikshat ka bada sabab ye tha ki muslman (sahaba) ayain kamyabi ke mokhe par maal ki tamah se magloob ho gye or apne kaam ko tahamil tak pahuchane ke bajaye (maal) ganimat lootne me lag gye
Tafheemul Quran Jild 1 safa 287)
Scan
Yani nauzubillah sahaba duniya ke maal lootne me masgool hogye .
Or ak maqam par hajrate usman par taan karte huwe likhte hain
Jab hajrate usman raziyallahu anhu ja.nasin huwe to vo rafta rafta is polisi se hat the chale gye unhone be darpa apne ristedaro ko bade bade aham ohade atta kiye or unke sath dusri ASI Riaayat ke jo aam tour par logho me hadaf ateraz bun kar rahe
Khilafat o malookiat safa 106)
Scan
Hum apni taraf se kuch na khate huwe muhadiseen ki Adalat me ye muqaddama rakhte hain ase logho ke bare me kya faisla hain Chunche
Imam Yahya ibne mayeen (wafat 233) khate hain
يقول تليد كذاب كان يشتم عثمان وكل من يشتم عثمان أو طلحة أو أحدا من أصحاب النبي صلى الله عليه وسلم دجال لا يكتب عنه وعليه لعنة الله والملائكة والناس أجمعين
Jo sayedina usman sayedina Talha ya kisi bi sahabi a Rasool par sab o sittam kare vo dajjal hain ise hadees na likhi jaye is par allah ki farishto ki or tamam insano ki lanat Hain
Tarikhe ibne moeen .raqam 2670)
Scan
Or majeed ye ke molana moududi .
Hajrate usman raziyallahu anhu ki sire se khilafat ka ahal hi nahi samjate the .vo likhte Hain
Sayedina Usman raziyallahu anhu Jin par is kare ajeem ka baar rakha gya tha in tamam khususiyat ke Hamil na the Jo inke jaleeluqadar pesh rava ko hasil huwee thi is liye unke jamane a khilafat me jahilayat ko islami nizam ijteemayi ke andar gus Ane ka moka mil gya
Tajdeedo ahya a deen safa 28)
Scan
Molana moududi khas Nabiﷺ ki hadees pad Lethe jisme Nabiﷺ Usman raziyallahu anhu ki khilafat ki taraf isara tha.
Or yahi par molana moududi ka Qalam nahi ruka balki ak jhuti mangadat riwayat ko bayan karte huwe likhte Hain
jab Waleed bin ukba koofa ki governori ka parwana le kar hazrat Saad bin abi Waqas raziyallahu anhu ke paas pouncha to unhon ne farmaya : maloom nahi, hamaray baad to ziyada Dana ho gaya hai, ya hum tairay baad ahmaq ho gaye hain? is ne jawab diya : Abu ishaq bra frokht na ho, yeh to badsahi hai, beej koi is ke mazay loutta hai, to shaam koi. aur hazrat Saad ne kaha : mein samjhta ho waqai tum log usay badsahi bana kar chodo ghe
Khilafat o malookiat safa 108)
Scan
Molana moududi ne is riwayat ko imam ibne Abdul barr ki kitab
Al-Isti'ab Fi Ma'rifat Al-Ashab se nakal kiya
الوليد بن عقبة بن أبى معيط. ومن حديث الحكم عن سعيد بن جبير، عن ابن عباس، قال: نزلت في علي بن أبي طالب والوليد ابن عقبة في قصة ذكرها: فمن كان مؤمنا كمن كان فاسقا لا يستوون. ثم ولاه عثمان الكوفة، وعزل عنها سعد بن أبي وقاص، فلما قدم الوليد على سعد قال له سعد: والله ما أدري أكست بعدنا أم حمقنا بعدك؟ فقال: لا تجزعن أبا إسحاق فإنما هو الملك يتغداه قوم ويتعشاه آخرون. فقال سعد: أراكم والله ستجعلونها ملكا.
Al-Isti'ab Fi Ma'rifat Al-Ashab 4 /1554)
Note.ye jhuti riwayat Hain
1) Hakim bin uttaba mudallis Hain or sama ki tasreeh nahi .
2) Hakim ke niche ki sanad maloom nahi
Fir usi ke aghe khate hain
Karib karib ase hi khayalat Abdullah ibne Masood ne bi Zahir kiye
Khilafat o malookiat safa 108)
Note .ye bi jhuti riwayat Hain
1) jaffar bin Sulaiman ke niche sanad maloom nahi
2) mohemmad bin sireen ka sayedina Abdullah bin Masood raziyallahu anhu se sama sabit nahi
Jin logho ki nazar me moududi sahab ak haq go alime deen muhaqiq hain .unko ye bi jarurat mahsoos nahi huwee ke in riwayat ki tahaqiq kar li jaye .
Kya jhuti riwayato ki bina par usman raziyallahu anhu par taan karna hi muhaqiq or or haq go alime deen hone ki nisani Hain .aghar ye haq ghoyi hain to allah hum asi haq ghoyi se bachaye
Or ye koi ak do jagha nahi hain ki molana sahab ne jhuti riwayate bayan ki ho ase kai maqamat hai. Jaha unhone mouju manghadat riwayate sahaba ke khilaf pesh ki
Maslan
Khilafat o malookiat safa .326 .327 .328 .331.330.or bi kai maqamat hain . Jha sahih or zaeef jhuti riwayate me molana moududi sahab ne koi tameez nahi ki
Comments