Sahaba ke Naam ke Baad raziyallahu anhu lagana Nabi ﷺ ki sunnat


Kya sahaba ke Liye raziyallahu anhu lagana bidat hai ?

Zaheer Salafi.


kuch logh ye aitraaz karte hai ki Sahaba ke naam ke baad raziyallahu anhu lagane ki koi daleel nahi lihaza ye bidat Hain




Nabi ﷺ  ne khud sahaba ke liye ye lafz istemaal kiya mullahija ho 


حَدَّثَنَا عَبْدُ اللَّهِ قَالَ: حَدَّثَنِي هَارُونُ بْنُ مَعْرُوفٍ قَالَ: نا عَبْدُ الْعَزِيزِ بْنُ مُحَمَّدٍ الدَّرَاوَرْدِيُّ قَالَ: أَخْبَرَنِي سُهَيْلٌ، عَنْ أَبِيهِ، عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ: نِعْمَ الرَّجُلُ أَبُو بَكْرٍ، نِعْمَ الرَّجُلُ عُمَرُ، نِعْمَ الرَّجُلُ أَبُو عُبَيْدَةَ بْنُ الْجَرَّاحِ، نِعْمَ الرَّجُلُ أُسَيْدُ بْنُ حُضَيْرٍ، نِعْمَ الرَّجُلُ ثَابِتُ بْنُ قَيْسِ بْنِ شَمَّاسٍ، نِعْمَ الرَّجُلُ مُعَاذُ بْنُ جَبَلٍ، نِعْمَ الرَّجُلُ مُعَاذُ بْنُ عَمْرِو بْنِالْجَمُوحِ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُمْ أَجْمَعِينَ

Sayedina Abu Huraira raziyallahu anhu se riwayat hai ke Nabi ﷺ ne farmaya Abu Bakr bade ache adami hai Umar bade ache adami hai Abu obeda bin jarrah bade ache adami hai Usayd bin Hujayr bade ache adami hai sabit bin kai's bin sam's bade ache adami hai 
Muaaz bin jabal bade ache adami hai 
Muazh bin Amr bin Al-Jumouh bade ache adami hai raziyallahu tala anhum azmain 

Fazaile sahaba , Abu Abdullah bin ahemad bin Hambal Hadees no.354)
Scan 






iski sanad ko Shaikh wasiullah abbas hafizullah ne Hasan kaha 

Ye riwayat musnad Ahmed or Hakim me bi moujud hai .

Lihaza Nabi ﷺ ne jab In sahaba ka Naam Liya to raziyallahu anhu lagaya ye is baat ki daleel hai ki Sahaba ke Naam ke Baad raziyallahu anhu lagana Nabi ﷺ ki sunnat hai .



Note.asal Arabi ibarat me lafz

 رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُمْ أَجْمَعِينَ


wallahu allam

Comments

Popular posts from this blog

Masla fatiha khalf ul imam

Hazrat Abdullah ibne masood Rd ki tark rafulyadain ki riwayat ki haqiqat

Kya imam Sufiyan bin sayeed as sorri mudalis nahi the?