Kaya salaf ka faham hujjat nahi ?
Kaya salaf ka faham hujjat hai?
Zaheer Salafi
Baaz hajrat ye dawa karte hai ki Hume salaf ke faham ki koi jarurat nahi hum khud se Quran Hadees pad kar samjenge .
Sabse pahle salaf sahaba tabayin or taba tabayin hai .
Yani inke bakol Hume sahaba tabayin taba tabayin ki koi jarurat nahi .
Or ye daleel bi pesh karte hai ki Quran Hadees ko hi mana hai iske allawa Kisi chij ko nahi .
اتَّبِعُوا مَا أُنزِلَ إِلَيْكُم مِّن رَّبِّكُمْ وَلَا تَتَّبِعُوا مِن دُونِهِ أَوْلِيَاءَ
Tum usi chij ki pervi karo Jo tumhari taraf tumhare Rab ki taraf se nazil ki gyi hai or iske Siwa auliya ki pervi na karo .
Surah araf ayat 3)
Lihaza sahaba tabayin taba tabayin ke kol hujjat nahi .
Arz hai ke bahas ye nahi hai ke hamare Liye sahaba tabayin taba tabayin ke kol hujjat hai ya Quran or sunnat .koi muslman ye dawa nahi karta ke Quran Hadees ke mukable me sahaba tabayin taba tabayin ke akwal hujjat hai balki masla faham ka hai Konsa faham moutbar hai . nabi ﷺ ke sath rahane walo ka ya aaz ke 14 sadi ke logho ka lekin akal ke dusman na Jane ye Nahi dekhte ki Jo sakhs ye kh raha hai ki Hume inke (salaf,)faham ki jarurat nahi vo darhaqiqat apne faham par logho ko chalne ki logho ko dawat de raha hai .
Kaya Nabi ﷺ ne Sirf apni pervi ka huqm diya ?
Hargiz nahi balki Nabi ﷺ ne apne allawa bi apne khulfa a rasideen ki sunnat ko tamane ka huqm diya to fir ye dawa ki Sirf Quran Hadees hujjat hai . kaya ye Nabi ﷺ ko nahi PATA tha .
Chunache Nabi ﷺ ne farmaya
فعليكم بسنتي وسنة الخلفاء الراشدين المهديين،
Mere sunnat or mere Baad mere khulfa rasideen ki sunnat ko lazim pakdana
Tirmizi 2676 )
Scan
Is Hadees me Nabi ﷺ ne na Sirf apni sunnat Balki apne Sath khulfa rasideen ki sunnat ko bi tamane ka huqm diya lihaza yahi fahame salaf hai ki Nabi ﷺ ke Baad in logho ne kese Deen Samja
Or isi trha Nabi ﷺ ne ahele bait ko tamane ka huqm diya jinme Kai logho ho jathe hai apki biwiya samet fir ye khana ki Hume Kisi ke faham ki jarurat nahi
Agar har sakhs apna faham pesh Karne lghe to usko shirk or kufar tak jathe huwe waqt nahi laghegha .maslan
Jab Umar bin abdul Aziz rahimullha ke dour me qadariya (takdeer ka inkar Karne)ate or unhe Quran ki ayat se ye sabit karte ki taqdeer koi chij nahi
To Umar Bin abdul azeez Rahimahullah (Mutawaffa : 101 Hijj) ne Munkireen -E- Taqdeer ke Radd mein farmaya
لَقَدْ قَرَءُ وا مِنْهُ مَا قَدْ قَرَأْتُمْ، وَعَلِمُوا مِنْ تَأْوِيلِهِ مَا جَهِلْتُمْ ، ثُمَّ قَالُوا بَعْدَ ذَلِكَ : كُلُّهُ كِتَابٌ وَقَدَر ٌ
" Jo Qur'an Aap Padh rahe hain, yahi Salaf ne padha thaa, iska Salaf ne jo Ma'na wa Tafseer kiya aap isse jaahiL aur korey reh gaye, Voh aapke pesh kardah DalaaiL Padhne ke Bawajood Qaza Wa Qadr ke QaayiL thay -"
Shar'iyatu LiL Aajuri : 529, Wa Sanadahu HASAN )
Yani Jo Quran ki ayate pad kar aap logh taqdeer ka inkar kar Rahe ho wahi ayato se salaf taqdeer par Iman rakhte the
Kesi ajib BAAT hai ki bala koi Quran pad kar bi taqdeer ka Inkar kar sakta hai?
Yahi Haal hotha hai jab koi apni akal se Quran Hadees samjne lagh jatha hai .
Or har batil firqe shiya rafzi ka dawa hai ki vo Quran Hadees par Amal karta hai .murtad qadiyani ne na Jane kitni ayate muh par rat rakhi hai Nabi ﷺ ki nabuwat par daka dalne ke Liye to kaya kh diya jaye ki vo Sacha .vo bi to Quran Hadees se daleel de raha hai .lekin. Masla ye hai ki Jo ayat se vo murad Lethe hai sahaba tabayin taba tabayin ne nahi Liya
Jis trha Allah ki kitab ko sabse behtar Nabi ﷺ samjte the bilkul usi trha Nabi ﷺ ke farman ko sabse behtar sahaba samajte the
• imaam ibn-e-Abdul Haadi Mutawaffa (744 H.)
farmate hain"Kisi Ayat Ya Hadees ka Aisa Matlab Lena Jayez nahi, Jo Aslaf (Sahaba,Tabaeen,Taba Tabaeen,) Ke Zamane mein Nahi tha, .............Agar Aisa Matlab Lena Jayez Samjha Jaye (Jo Aslaf ne Nahi liya) to Maan na Padega, Salaf is baat se Waqif na the, baad Mein Aane waale is haqeeqat se Waqif ho Gaye,
(As-Saarim 321)
Isi Liye sahaba tabayin taba tabayin ki pervi jaruri hai khud Nabi ﷺ ne Inki pervi ka huqm diya .
Hadees
أُوصِيكُمْ بِأَصْحَابِي، ثُمَّ الَّذِينَ يَلُونَهُمْ، ثُمَّ الَّذِينَ يَلُونَهُمْ
aap ﷺ ne farmaya me Tumhe apne Sahaba ki pervi ki wasiyat karta hu fir unke Baad ane walo(tabayin) ki fir unke Baad ane walo ki (taba tabayin)
Tirmizi 2165)
Lihaza nabi ﷺ ki jubani ye baat sabit ho gyi ke pervi Sirf Quran Hadees ki nahi balki sahaba tabayin taba tabayin ki bi karni
Note . ho sakta ho ki koi ye khe ki inki pervi karenge lekin. Quran Hadees ke khilaf hone par use chod denge .to arz hai ke
Ye baat bilkul usi trha hai jese munkireene Hadees khate hai ki hum us Hadees ko nahi manenge Jo Quran ke khilaf ho .
Besak ye jumla bada acha hai lekin Sirf apko lghe ki ye Quran ke khilaf kh dene Se Quraan ke khilaf nahi .hoghi koi Hadees Quran ke khilaf nahi
Bilkul isi trha Jo Sirf apko Lage ki ye fala sahabi ka faham Quran Hadees ke khilaf hai se vo Quran Hadees ke khilaf nahi hoghi .
Aghar yakinan vo Kisi sahabi ya tabayin taba tabayin ka kol Kisi saheeh Hadees ke khilaf ho to use yakinan chod diya jayegha .
Nabi ﷺ ne khud Abdullah bin Abbas ke Liye duaa ki
اللَّهُمَّ عَلِّمْهُ الْكِتَابَ
A Allah ise ilme kitab (Quran) ata farma.
Sahih bukhari 75)
Ya ghor Karne wali BAAT hai ki Nabi ﷺ ki duaa Kabul huwee ya nahi ?
Maaz Allah kya ye kaha ja sakta hai ki Nabi ﷺ ki duaa Kabul nahi huwee .Goya jiske Liye Nabi ﷺ duaa kare or Allah ata kare fir kese kha ja sakta hai ki use Deen na Liya jaye ya uska faham moutbar nahi .
Quran Hadees me bhut si asi misale hai Jo faham salaf ko chod kar aghar hum apni akal se unko samjana cahe to hargiz nahi samj sakte balki gumrahi ki chokat par khade hone waqt nahi laghegha
Maslan bukhari ki ak riwayat hai nabi ﷺ ne farmaya.
وَإِنِّي وَاللَّهِ مَا أَخَافُ عَلَيْكُمْ أَنْ تُشْرِكُوا بَعْدِي
Or Allah ki kasam muje iska khof nahi ke Tum mere Baad shirk karoghe
Sahih bukhari 1344)
Note .is Hadees ke matan Se bajahir kya mana nikalta hai ki ummat kabi shirk nahi kreghi .
To Jo hajrat khate ki hume salaf ke faham ki jarurat nahi vo iska mana bayan kre or Kisi sareh ka kol nakal kre .
Or aghar vo wahi mana nikalte hai Jo aslaf ne mana Liya to fir maana padegha ki aslaf ne Sahih tasreeh ki
.
Comments