Imam ahemad bin humble Ka ruju or kifyatullha sanabili sahab


Imaam Ahmed Rahimahullah Ka Ruju?

Or kifyatullha sanabali sahab 


Sanabil sahaab Imaam Ahmed Bin Hanbal Rahimahullah ke baray mein likhtey hain:


"In ke jis qaul mein yazeed bin muaawiya par zulm wa loot maar ka ilzaam hai, is qaul sey Imaam Ahmed Rahimahullah ruju kar chuke hain, sirf yehi nahi ke Imaam Ahmed Rahimahullah ney aakhir mein yazeed bin muaawiya ke baray mein apni jarh sey ruju kar liya, balke isey khair ul quroon ki fazilat ka haamil bhi batlaya hai, chunaanche Imaam Abu Bakr al-Khallaal (died 311 hijri) ney kaha: "Abu talib esmaah bin abi esmaah kehtey hain ke maine Imaam Ahmed Rahimahullah sey pochaa ke jo kahey ke yazeed bin muaawiya par Allah ki lanat ho, is baray mein aap kya farmatey hain? kaha: main is baray mein kalaam nahi karta, maine kaha: aap kya farmatey hain, kiyunke jis ney yeh baat kahi hai wo mutabar aadmi hai aur main aap ke qaul ko apnaonga! Imaam Ahmed Rahimahullah ney kaha: Allah ke Nabi (ﷺ) ka farmaan hai: momin par laanat karna us ko qatal karney ki tarha hai, neez aap ney yeh bhi farmaya: sab sey behtar zamana mera zamana hai, phir in ka zamana, jo iske baad aayenge, aur yazeed us daur ke logon mein shamil hai, neez aap ney yeh bhi farmaya: maine jis par laanat ki ya buraa bhalaa kaha tou Aye Allah! isey us ke haq mein rahmat bana dey, is liye khamoshi hi mere nazdeek behtar hai."

(Yazeed bin Muaawiya...... safa: 782)

Scan link

https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEixJfyD4oRKfMKj0BWGB0amPZhZGpV-0ISut_i9X2MpDvR17WrENJMT1DtZFgMrKgwDgAVmZTH2UEXk51pF7J1KQrtNr_0wE0lKyhjzt-ljZULTLP76HrXVh_FaKxNiLGuKLA2HCHGNPDg/s2048/PicsArt_04-03-12.37.52.jpg

Tabsarah:

Jo shaksh mazkoorah ibaarat ka ba-ghaur mutaala kareyga us par yeh haqeeqat munkashif ho jayegi ki sanabil sahaab Imaam Ahmed Rahimahullah ki jarah sey mutalliq dawa e naskh kar ke "sawaal chana aur jawaab gandum" ki akkasi kar rahey hain,

 kiyunke Imaam Ahmed Bin Hanbal Rahimahullah sey yazeed par laanat ke baray mein sawaal huwa tha na ke loot khasoot aur is sey hadees bayaan karney ya na karney sey mutalliq, lehaza inhon ney lanat hi sey khamoshi akhtiyaar ki hai, yeh sabhi jaantey hain ke lanat shadeed kalaam hai aur yazeed ke baray mein mutashaddid tareen log hi yeh rawish apnatey hain,

 jabke Ahmed Bin Hanbal Rahimahullah tou fikr e aitedaal ke imaam hain, hummarey mauqif ki mazeed wazahat is sey bhi hoti hai ke jab sayil ney lanat waala sawaab dauhraya tou aap ney wo ahadees bayaan kiyen jin mein lanat ki mazammat hai aur lanat na karney ki doosri wajah yeh hai ke yazeed khair ul quroon ka musalmaan hai, wazeh rahey ke khair ul quroon ka yeh matlab hargis nahi hai ke is daur mein kisi zalim ya za'eef rawi ka sirey sey wujood na hoga.

Is dawa e naskh par shaandaar "faqaahat" ka muzahaira karney par hum sanabil sahaab hi ke alfaaz mein khiraaj e tehseen paish kartey hain ke "jin ke yahan naskh ka isbaat is tarha ki faqaahat balke faqaahat par mabni ho wo Imaam Ahmed Rahimahullah ke kalaam ko mazkoorah buniyaad par mansookh batlayen tou in ka haq hai lekin ilmi maidaan mein is ki koi haisiyat ek lateefeh sey ziyada kuch bhi nahi."

Tanbeeh: Sanabil sahaab ney dr. muhammad bin haadi ke hawaley sey likkha:


"Imaam Ahmed Rahimahullah ki wafaat sey teen din qabl in ke jo aqaayid likhey gaye, in mein Imaam Ahmed Bin Hanbal Rahimahullah yazeed bin muaawiya ke baray mein khamoshi akhtiyaar kartey thhey aur in ka mu'aamlah Allah par chhodtey thhey."

(Yazeed bin Muaawiya ..... safa: 781)

Scan link

https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEhfjGYHdUl020e-EbMx5X0c0RLjatkDLwzC0Q_ltrjMvz7lRl4pu3fx5m90gE2Z5yVYaArgIXONYAx3El71H2X73WvjcqV_5_AfsavgCL6v_R9o2J0EBd3k9t6hfAbWnhcSSTRhyDRZPig/s1056/PicsArt_04-03-12.47.24.png


Yeh bilkul ghalat hai, kiyunke Imaam Ahmed Rahimahullah sey yazeed par mehaz lanat sey mutalliq tou khamoshi sabit hai lekin mutlaq khamoshi kisi wazeh aur sareeh qaul (daleel) sey qata'an sabit nahi hai.



Yaad rahey ke Imaam Ahmed Rahimahullah ke mazkoorah qaul sey yazeed par ki gayi jarh sey ruju tou sabit nahi hota lekin yeh zaroor wazeh ho rahaa hai ke Imaam Ahmed Rahimahullah ke nazdeek bhi yazeed maghfirat ki basharat waaley lashkar mein shamil nahi hai kiyunke agar wo shamil hota tou Imaam mausoof khair ul quroon waali aam daleel ki bajaye maghfirat ki basharat waali khaas daleel sey istedaal kartey, yehi nahi balke baaz mutakhareen ke alawa kisi ek mutaqaddim muhaddis ney bhi isey yazeed ke haq mein paish nahi kiya.



Shaikh nadeem zaheer hafizullah mahnama al hadees 34 sfa 39

Comments

Popular posts from this blog

Masla fatiha khalf ul imam

Hazrat Abdullah ibne masood Rd ki tark rafulyadain ki riwayat ki haqiqat

Kya imam Sufiyan bin sayeed as sorri mudalis nahi the?