Houje Kousar Par Sahaba ,Ak ATeraz Ka Jaeeza !

 Houje Kousar Par Sahaba ,Ak ATeraz Ka Jaeeza !


Abu Muawiya.Zaheer


sahih bukhari wa muslim ki muttafak aleih hadees me ye aya hai ki aap ﷺ ne farmaya ki houze kousar par kuch logho ko laya jayega jinko me pahchanta hungha lekin unko mujse door kar diya jayegha me kahunga ye to Meri ummat ke logh hai kaha jayega apko nahi maloom ye logh ulte pair fir gye the


bukhari hadees 7048) 

scan 





lekin ak Riwayat me ye bhi aya hai ki .aap ﷺ farmate hai ki houze kousar par mere sathi

 laye jayenge fir unhe mujse door kar diya jayegha me kahunga ye to mere sathi hai ,,,,,,


Bukhari 6586) 




ab baaz logh ATeraz karte hai ki Nabi ﷺ baaz sahaba or unka ishara banu ummaya ke sahaba ki taraf hotha ki vo ulte pao deen se fir gye the 



. sabse pahle ye baat yaad rakhe ki yaha ashabi lafz lugavi atebar se hai jiski wajhat dusri Riwayat me ummati se huyi hai yaha vo logh murad hai jo Nabi ﷺ ki jindagi me paida bhi nahi huye balki baad me duniya me aaye yani vo logh aap ﷺ ki wafat ke baad paida hue jiski daleel hum aage bayan karenge .


 

lekin ye samjna bhi jaroori hai ki sahabi kise kahte hai 


sahabi use kahte hai jisne iman ki halat me aap ﷺ ko dekha ya apki shohabat me rahe or unki wafat bhi iman ki halat me huyi 




lekin lugavi atebar se sahabi ka ittelaq .ummati par bhi ho sakta hai 


jaise ki sahih muslim me hai 

hajrat bilal ؓ ke kapde me chandi thi or aap ﷺ mutti bhar bhar kar logho ko de rahe the ,itne me ak sakhs ne kaha a muhammad ﷺ insaf kijia ,,,,,,,,umar ؓ ne kaha a Allah ke rasool ﷺ muje ijazat de ke me is munafiq ko katl kar du to aap ﷺ ne farmaya


 مَعَاذَ اللَّهِ أَنْ يَتَحَدَّثَ النَّاسُ أَنِّي أَقْتُلُ أَصْحَابِي


me allah ki panah mangata hu ki logh asi baat kre ki me apne sahaba ko katl karta hu ,,,,,,



muslim 2449) 



is hadees me Nabi ﷺ ne ak munafiq ko sahabi kaha jabki vo munafiq tha ise maloom huaa ke lugavi atebar se sahabi lafz aane se haqiqi sahabi murad nahi hothe 


ab hum batate hai ki ye kon logh to jo deen se ulte pair fir gye the .or Nabi ﷺ ka sahabi kahna kis mani me hai jiski wajhaz dusri hadees me hai or ak hadees dusri hadees ki tafseer karti hai 


Hafiz ibne hajar khate hai 

 واحلديث يفسر بعضا بعضه

Ak hadees dusri hadees ki taffsir karti hai


Fathul Baari li Ibne Hajar: jild 2 safa 160)

Scan link

https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEiOS15Ag2lvTot2VTHXd5t1jLxW77J33MunKeogAMl1Ttx5xgb1PwsGUdest8PCPSFfxTZdzCaMu1JaFcjSVv0rBYfKuInQXUCOwwINWO-JoHWcZGbAUx0PoTsx5twrTTlhNE-igJx0WAM/s1574/PicsArt_03-27-06.12.45.png

or in Riwayaat ki tafseer khud dusri Riwayat me hai ki ye kon logh honge ,


chunanche imam malik bin Ana's al madani al muttwaffa 179h,) farmate hai 


 العلاء بن عبد الرحمن عن ابيه عن ابى هريرة ان رسول الله صلى الله عليه وسلم خرج إلى المقبرة فقال: ”السلام عليكم دار قوم مؤمنين. وإنا إن شاء الله بكم لاحقون، وددت اني رايت إخواننا“. فقالوا: يا رسول الله السنا إخوانك؟ فقال: ”بل انتم اصحابي، وإخواننا الذين لم ياتوا بعد، وانا فرطهم على الحوض.“ قالوا: يا رسول الله، كيف تعرف من ياتي بعدك من امتك؟ قال: ”ارايت لو كانت لرجل خيل غر محجلة فى خيل دهم بهم، الا يعرف خيله؟“ قالوا: بلى. قال: فإنهم ياتون يوم القيامة غرا محجلين من الوضوء وانا فرطهم على الحوض فليذادن رجال عن حوضي كما يذاد البعير الضال، اناديهم الا هلم، الا هلم، الا هلم ثلاثا. فيقال: إنهم قد بدلوا بعدك. فاقول: فسحقا، فسحقا، فسحقا.


sayydina abu huraira ؓ se Riwayat hai ke (ak dfa) Rasulullah ﷺ Qabrsathan tashreef le gye or farmaya "assalamualaikum ae iman walo ka ghar ! or hum in sha allah tumse milne wale hai me chahta tha ki me Apne bhaiyo ko dekh laita ! Sahaba ne kaha: ya Rasulullah ﷺ kya hum aapke bhai nahi hai? to aap ﷺ ne farmaya , balki tum mere sahaba ho or mere bhai vo hai jo abhi tak (duniya me) nahi aaye or me houze (kousar)par unse pahle moujud hounga . Sahaba ne pucha ya Rasulullah ﷺ aap apne in ummatiyo ko kaise pahchanenge jo aap ke baad (duniyaa me )aayengey ? AAP ﷺ ne farmaya tumhara kya khayal hai agar kisi adami ke ghode ho jin me se baaz safaid paau wale ho or vo kaale sayah ghodo ke darmiyan ho to vo apne ghodo ko pahchan nahi legha ? logho ne jawab diya :jaroor pahchan lenge,aap ﷺ ne farmaya ye logh (mere ummati) Qayamat ke din isi halat me aayenge ke unke chahre or hath pau safaid chamak rahe hoge or me houze (Kousar) par unse pahle moujud hounga fir kuch kuch logho ko mere houz se hataya jayega jaise ke gumsuda ount ko hataya jata hai fir unhe (teen dfa) awwaz dunga ,idhar aao idhar aao idhar aao,(mujhe) kaha jayega : unhone aap ke baad (aap ki sunnat or deen ko ) tabdeel kar diya tha pas le kahunga door ho jao door ho jao door ho jao 


    

(moawwta imam malik riwaya ibne Qasim hadees 133 ,shaikh zubair ali zai rh ne iski sanad ko Sahih kaha )

scan



ye hadees kai ak kitabo me moujud hai .is hadees se sabit huaa ke jinko nabi ﷺ roze Qayamat houze kousar me door karenge vo Nabi ﷺ ke baad paida hone wale biddati logh honge or hadees me ashabi se murad Nabi ﷺ ki wafat ke baad paida hone wale logh hai jaisaki is hadees sabit hotha hai .

 

l



Comments

Popular posts from this blog

Masla fatiha khalf ul imam

Hazrat Abdullah ibne masood Rd ki tark rafulyadain ki riwayat ki haqiqat

Kya imam Sufiyan bin sayeed as sorri mudalis nahi the?