molana moududi ki gumrahi part 4)

 molana moududi ki gumrahi part 4)


abu muawiya zaheer


Nabi ﷺ ne Farmaya 


إِذَا لَمْ تَسْتَح فَاصْنَعْ مَا شِئْتَ

jab tumhe koi sharam baki na rahe to jo chaho karo


bukhari 6120 3483)

molana moududio ne sahaba khilaf bekhof hokar taano tasneeh ki balki na sirf sahaba par balki allah ke asma wa sifat me bi gumrah hai jo pahle sabit kiya ja chuka hai uske allawa bi unhone khub gumrahi fhelayi 


 molana moududi ne jab se shiya rafziyo ki waqalat suru ki tab se unhone kisi sahabi ko nahi choda hatta ke ali raziyallahu anhu ko bi unhone galat karar diya 



sahaba par moududi ki juban daraji or hadeese Rasool ﷺ ka inkar 


molana moududi likhate hai 

Chunche ye yahudi akhalaq hi ka asar tha ke madina me baaz ansar apne muhajeer bhaiyo ki khateer apni biwiyo ko talaq dekar in se bayha dene par amada ho gye the 


tafheemat Jild 2 safa 47)

scan



baaz hajraat ye samjte hai ki molana moududi ne un sare sahaba ki saan ne gustakhi ki jinka mokif hajrate ali raziyallahu anhu e khilaf tha vo ali raziyallahu anhu ke sath hai jabki haqiqat ye hai ki moududi ke qalam ne sayedina ali bin abi Talib raziyallahu anhu ko bi nahi choda 


vo likhte hai 


jange jamal ke baad unhone (ali raziyallahu anhu ne) katileene Usman raziyallahu anhu ke bare me apna ravaya badal diya tha unke pure jamana a khilafat me hum ko sirf ak hi kaam asa nazar aya jis ko galat ke kahne ke siwa koi chara nahi 



khilafat o mulukiyat safa 146)

scan



astagfirullah yani ab molana sahaba inke darmiyan faisla karenge ki konsa kaam sahih kiya or konsa galat



hadeese Rasool ﷺ ke sath moududi ka ravaya .


likhte hai 


jaha tak isnad ka talluq hai inme se aksar riwayat ki sanad kavi hai or raha ba atebar riwayat .iski sehat par kalam nahi kiya ja sakta .lekin hadees ka majmoon sarhat akal ke khilaf hai or pukar pukar ke kah raha hai ki ye baat Nabiﷺ ne hargiz nahi farmayi hoghi jis trha vo nakal huwi asi riwayat ko mahaj sehat sanad ke jour par logho ke halak se utarne ki kosis karna deen ko mahaj majak banana hai


tafheemul Quran jild 4 safa 337)

scan




yaha ghor karne ki baat hai jo sakhs hadees ka inkar mahaj is liye kar de ki uski akal me vo baat fit nahi bet thi kya yahi haq go hone ki daleel hai halaki vo riwayat sahih hai khud molana moududi ne tasleem kiya 


mughira bin souba raziyallahu anhu ke bare likhte hain


hajrat mughira koofe aye or 10 adamiyo ko 30000 dirham de kar is baat par razi kiya ki ak vafd ki surat me ameere muawiya raziyallahu anhu ke paas jae or yazeed ke wali ahad ke liye unse kahe ye vafd hajrat mughira raziyallahu anhu ke bethe musa bin mughira ki sargardi me damisaq gya or usne apna kaam pura kar diya baad me hajrat muawiya ne Musa ko algh bula kar pucha tumhare baap ne kitne me inse inka deen kharida unhone kaha 30000 dirham hajrate muawiya ne kaha tab to unka deen unki nigah me bhut halka hai


khilafat mulukiyat safa 149)

scan



naujubillah moududi sahab sahaba Ikram ko riswat khor sabit karna chahte hai astgfirullah



Comments

Zaheer said…
https://kitabullha.blogspot.com/2022/03/molana-moududi-ki-gumrahi-part-3.html

molana moududi ki gumrahi part 3

Popular posts from this blog

Masla fatiha khalf ul imam

Hazrat Abdullah ibne masood Rd ki tark rafulyadain ki riwayat ki haqiqat

Kya imam Sufiyan bin sayeed as sorri mudalis nahi the?