Posts

Showing posts from 2022

molana moududi ki gumrahi part 4)

Image
  molana moududi ki gumrahi part 4) abu muawiya zaheer Nabi ﷺ ne Farmaya  إِذَا لَمْ تَسْتَح فَاصْنَعْ مَا شِئْتَ jab tumhe koi sharam baki na rahe to jo chaho karo bukhari 6120 3483) molana moududio ne sahaba khilaf bekhof hokar taano tasneeh ki balki na sirf sahaba par balki allah  ke asma wa sifat me bi gumrah hai jo pahle sabit kiya ja chuka hai uske allawa bi unhone khub gumrahi fhelayi   molana moududi ne jab se shiya rafziyo ki waqalat suru ki tab se unhone kisi sahabi ko nahi choda hatta ke ali raziyallahu anhu ko bi unhone galat karar diya  sahaba par moududi ki juban daraji or hadeese Rasool ﷺ ka inkar  molana moududi likhate hai  Chunche ye yahudi akhalaq hi ka asar tha ke madina me baaz ansar apne muhajeer bhaiyo ki khateer apni biwiyo ko talaq dekar in se bayha dene par amada ho gye the  tafheemat Jild 2 safa 47) scan baaz hajraat ye samjte hai ki molana moududi ne un sare sahaba ki saan ne gustakhi ki jinka mokif hajrate ali ...

Molana moududi ki gumrahi part 3)

Image
 Molana moududi ki gumrahi part 3) zaheer Salafi Ameer muawiya raziyallahu anhu par moududi sahab ke Atraaz _____________________________ Molana sahab likhte hain aik aur nihayat makrooh bidat hazrat muawiya raziyallahu anhu ke ahad mein hi shuru huwee ke wo khud or un ke huqm se un ke tamam governor khutabo mein mimbaro par hazrat Ali raziyallahu anhu par sab o sittam ki bochhaar karte thay hatta ke masjid nabwi mein mimbar rasool par ayain roza nabwi ke samne huzoor ke mehboob tareen Aziz ko gaaliyan di jati thee or hazrat Ali raziyallahu anhu ki aulaad or un ke qareeb tareen rishtedaar apne kaano se ye gaaliya suntay the Tarikhe tabari Jild 4 safa 188 ibne aseer Jild 3 safa 234 Jild 4 safa 154 al bidaya wanihaya Jild 8 safa 259) Kisi ke marne ke baad usko galiya dena sariyat to darkinaar insani akhlaq ke bi khilaf tha. Or khas tour se Juma ke khutba ko is gandaghi se aludha karna to deen wa akhlaq sakht gunah wa na fayil tha Khilafat o malookiat safa 174) Scan Note.tabari k...

Molana moududi ki gumrahi part 2)

Image
 Molana moududi ki gumrahi part 2) Zaheer Salafi Hajrate sahaba par molana moududi ke ilazamat. __________________________________________ Ahele sunnat wal jamaat  ka ye itteffaqi mokif hain ki sahaba ke apasi ikhilafat me juban band rakhi jaye or un par taan na kiya jaye.or jo asa kare vo ahele sunnat me se nahi . Or yahi haal molana moududi ka hain .baaz logh molana moududi jese logho ki taraf dari karte nahi takhte maloom nahi ke kahi inki nazar me molana moududi ki mohabbat sahaba ki mohabbat par muqaddam to nahi? Molana moududi jange ohad me sikhsat ki wajha likhte Hain Ohad ki sikshat ka bada sabab ye tha ki muslman (sahaba) ayain kamyabi ke mokhe par maal ki tamah se magloob ho gye or apne kaam ko tahamil tak pahuchane ke bajaye (maal) ganimat lootne me lag gye Tafheemul Quran Jild 1 safa 287) Scan  Yani nauzubillah sahaba duniya ke maal lootne me masgool hogye . Or ak maqam par hajrate usman par taan karte huwe likhte hain Jab hajrate usman raziyallahu a...

Molana moududi ki gumrahi part .1)

Image
Molana moududi ki gumrahi part .1 zaheer, Salafi Allah ke asma wa sifat me gumrah _________________________________________ Molana moududi ahele sunnat nahi balki muttazila .or jahmiya ki safo me khade nazar ate Hain.or kabi rafziyo ki safo me . Allah ke asma wa sifat me gumrahi 1)Chunche  molana moududi Quran ki ayat ka tarjuma karte Hain ثُمَّ اسۡتَوٰی عَلَی الۡعَرۡشِ Molana moududi tarjuma karte Hain fir takhat  huqumat par jalwa gar huwa Tafheemul Quran.jild 2 safa 262) Scan  Ye tarjuma batil .wa kitabo sunnat ke khilaf hain .kitabo sunnat se sabit hain ki allah ars par buland hai. Or allah par ak sawal khada karta hain . Kya allah tala ki pahle ars par huqumat nahi thi? Kya allah baad me ars par huqumat karne lgha? Ye kufar ki had tak hai or  tarjuma batil hain Majid kufariya jumle nikalate huwe khate hain 2)Raha ye irsad ke khuda ka ars pani par tha to hamari samaj me ye ata hain ki khuda ki saltanat pani par thi Tafheemul Jild 2 safa 325) Sc...

Sahaba ke Naam ke Baad raziyallahu anhu lagana Nabi ﷺ ki sunnat

Image
Kya sahaba ke Liye raziyallahu anhu lagana bidat hai ? Zaheer Salafi. kuch logh ye aitraaz karte hai ki Sahaba ke naam ke baad raziyallahu anhu lagane ki koi daleel nahi lihaza ye bidat Hain Nabi ﷺ  ne khud sahaba ke liye ye lafz istemaal kiya  mullahija ho  حَدَّثَنَا عَبْدُ اللَّهِ قَالَ: حَدَّثَنِي هَارُونُ بْنُ مَعْرُوفٍ قَالَ: نا عَبْدُ الْعَزِيزِ بْنُ مُحَمَّدٍ الدَّرَاوَرْدِيُّ قَالَ: أَخْبَرَنِي سُهَيْلٌ، عَنْ أَبِيهِ، عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ: نِعْمَ الرَّجُلُ أَبُو بَكْرٍ، نِعْمَ الرَّجُلُ عُمَرُ، نِعْمَ الرَّجُلُ أَبُو عُبَيْدَةَ بْنُ الْجَرَّاحِ، نِعْمَ الرَّجُلُ أُسَيْدُ بْنُ حُضَيْرٍ، نِعْمَ الرَّجُلُ ثَابِتُ بْنُ قَيْسِ بْنِ شَمَّاسٍ، نِعْمَ الرَّجُلُ مُعَاذُ بْنُ جَبَلٍ، نِعْمَ الرَّجُلُ مُعَاذُ بْنُ عَمْرِو بْنِالْجَمُوحِ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُمْ أَجْمَعِينَ Sayedina Abu Huraira raziyallahu anhu se riwayat hai ke Nabi ﷺ ne farmaya Abu Bakr bade ache adami hai Umar bade ache adami hai Abu obeda bin j...

Kaya salaf ka faham hujjat nahi ?

Image
 Kaya salaf ka faham hujjat hai? Zaheer Salafi Baaz hajrat ye dawa karte hai ki Hume salaf ke faham ki koi jarurat nahi hum khud se Quran Hadees pad kar samjenge . Sabse pahle salaf sahaba tabayin or taba tabayin hai . Yani inke bakol Hume sahaba tabayin taba tabayin ki koi jarurat nahi . Or ye daleel bi pesh karte hai ki Quran Hadees ko hi mana hai iske allawa Kisi chij ko nahi . اتَّبِعُوا مَا أُنزِلَ إِلَيْكُم مِّن رَّبِّكُمْ وَلَا تَتَّبِعُوا مِن دُونِهِ أَوْلِيَاءَ Tum usi chij ki pervi karo Jo tumhari taraf tumhare Rab ki taraf se nazil ki gyi hai or iske Siwa auliya ki pervi na karo . Surah araf ayat 3)  Lihaza sahaba tabayin taba tabayin ke kol hujjat nahi . Arz hai ke bahas ye nahi hai ke hamare Liye sahaba tabayin taba tabayin ke kol hujjat hai ya Quran or sunnat .koi muslman ye dawa nahi karta ke Quran Hadees ke mukable me sahaba tabayin taba tabayin ke akwal hujjat hai balki masla faham ka hai Konsa faham moutbar hai . nabi ﷺ ke sath rahane walo ka ya aaz ke 14 sa...