Qur'an padane ki ujrat Lena kesa hai
Kaya Quran padne ki ujrat (pesa) Lena jaiz hai
Zaheer Salafi.
Aaz Kal ye masla bada jour pakad raha hai or masjid ke imam ya koi sakhs Jo Quran ki ujrat le use na Jane kaya wayeed suna di jathi hai .
To hum pahle vo daleele jikr karenge jinse Quran padane ki ujrat pesa Lena sabit ho jaye .fir un daleelo par bi Ak Nazar dalneghe jise ye hajrat . Quran ki ujrat par mumaniyat bayan karte hai
Quran ki ujrat Lena jaiz hai
Pahli Hadees .
Imam bukhari wafat 256 farmathe hai
حَدَّثَنِي مُحَمَّدُ بْنُ الْمُثَنَّى ، حَدَّثَنَا وَهْبٌ ، حَدَّثَنَا هِشَامٌ ، عَنْ مُحَمَّدٍ ، عَنْ مَعْبَدٍ ، عَنْ أَبِي سَعِيدٍ الْخُدْرِيِّ ، قَالَ : كُنَّا فِي مَسِيرٍ لَنَا ، فَنَزَلْنَا فَجَاءَتْ جَارِيَةٌ ، فَقَالَتْ : إِنَّ سَيِّدَ الْحَيِّ سَلِيمٌ ، وَإِنَّ نَفَرَنَا غَيْبٌ ، فَهَلْ مِنْكُمْ رَاقٍ ؟ فَقَامَ مَعَهَا رَجُلٌ مَا كُنَّا نَأْبُنُهُ بِرُقْيَةٍ فَرَقَاهُ ، فَبَرَأَ فَأَمَرَ لَهُ بِثَلَاثِينَ شَاةً وَسَقَانَا لَبَنًا ، فَلَمَّا رَجَعَ ، قُلْنَا لَهُ : أَكُنْتَ تُحْسِنُ رُقْيَةً ، أَوْ كُنْتَ تَرْقِي ؟ قَالَ : لَا مَا رَقَيْتُ إِلَّا بِأُمِّ الْكِتَابِ ، قُلْنَا : لَا تُحْدِثُوا شَيْئًا حَتَّى نَأْتِيَ أَوْ نَسْأَلَ النَّبِيَّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ ، فَلَمَّا قَدِمْنَا الْمَدِينَةَ ذَكَرْنَاهُ لِلنَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ ، فَقَالَ : وَمَا كَانَ يُدْرِيهِ أَنَّهَا رُقْيَةٌ ، اقْسِمُوا وَاضْرِبُوا لِي بِسَهْمٍ ،
Abu Saeed khudree raziyallahu anhu khate hai hum aik fouji safar mein thay ( raat mein ) hum ne ak qabeela ke nazdeek parao kya. phir aik londi aayi aur kaha ke qabeela ke sardar ko bichhoo ne kaat liya hai aur hamaray qabeeley ke mard mojood nahi hain, kya tum mein koi bichhoo ka jhaad phoonk karne wala hai? ak sahabi ( Abu Saeed khudari ) is ke sath khade ho gaye, hum ko maloom tha ke vo jhaad phoonk nahi jantay lekin unhon ne qabeela ke sardar ko jhada to usay sehat ho gayi. is ne is ke sukran mein tees 30 bakriya dainay ka hukum diya aur hamein doodh pilaya. jab woh jhaad phoonk kar ke wapas aaye to hum ne un se poocha kya tum waqai koi mantar jantay ho? unhon ne kaha ke nahi mein ne to sirf surah Fatiha parh kar is par dam kar diya tha. hum ne kaha ke acha jab tak hum rasool Allah sale Allah alaihi wasallam se is ke mutaliq nah pooch le un bakrio ke baray mein apni taraf se kuch na kaho. chunancha hum ne madina pahonch kar nabi Karim ﷺ se zikar kya to aap ﷺne farmaya ke unhon ne kaisay jana ke surah Fatiha mantar bhi hai. ( jao yeh maal halal hai ) usay taqseem kar lo aur is mein mera bhi hissa lagana.
Sahih bukhari 5007)
Scan
Is Hadees se sabit huwa ke sahaba ne surah fatiha .( Quran) padi or badle me
Bakriya li or nabi ﷺ ne unhe mana nahi kiya balki kha ki mere bi hissa lagana
To kese kaha ja sakta hai ki Quran padne ya dum Karne ka pesa Lena jaiz nahi
Note.kuch logho ne jabrdasti hadees ko apne akal se samjate huwe ye kha diya ki is hadees me dum karne par ujrat le sakte hai .to ase logho ki khidmat me Quran ke lafz ke sath hadees pesh a khidmat hai
Daleel 2
حَدَّثَنِي سِيدَانُ بْنُ مُضَارِبٍ أَبُو مُحَمَّدٍ الْبَاهِلِيُّ ، حَدَّثَنَا أَبُو مَعْشَرٍ الْبَصْرِيُّ هُوَ صَدُوقٌ يُوسُفُ بْنُ يَزِيدَ الْبَرَّاءُ ، قَالَ : حَدَّثَنِي عُبَيْدُ اللَّهِ بْنُ الْأَخْنَسِ أَبُو مَالِكٍ ، عَنْ ابْنِ أَبِي مُلَيْكَةَ ، عَنْ ابْنِ عَبَّاسٍ : أَنَّ نَفَرًا مِنْ أَصْحَابِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ مَرُّوا بِمَاءٍ فِيهِمْ لَدِيغٌ أَوْ سَلِيمٌ ، فَعَرَضَ لَهُمْ رَجُلٌ مِنْ أَهْلِ الْمَاءِ ، فَقَالَ : هَلْ فِيكُمْ مِنْ رَاقٍ ؟ إِنَّ فِي الْمَاءِ رَجُلًا لَدِيغًا أَوْ سَلِيمًا ، فَانْطَلَقَ رَجُلٌ مِنْهُمْ فَقَرَأَ بِفَاتِحَةِ الْكِتَابِ عَلَى شَاءٍ ، فَبَرَأَ ، فَجَاءَ بِالشَّاءِ إِلَى أَصْحَابِهِ ، فَكَرِهُوا ذَلِكَ ، وَقَالُوا : أَخَذْتَ عَلَى كِتَابِ اللَّهِ أَجْرًا ، حَتَّى قَدِمُوا الْمَدِينَةَ ، فَقَالُوا : يَا رَسُولَ اللَّهِ أَخَذَ عَلَى كِتَابِ اللَّهِ أَجْرًا ، فَقَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ : إِنَّ أَحَقَّ مَا أَخَذْتُمْ عَلَيْهِ أَجْرًا كِتَابُ اللَّهِ
Ibne Abbas raziyallahu anhu se riwayat hai
chand sahaba ak pani se guzray jis ke paas ke qabeela mein bichhoo ka kaata huwa ( ladeekh ya Sleem Ravi ko un dono alfaaz ke mutaliq shuba tha ) 1 shakhs tha. qabeela ka 1 shakhs un ke paas aaya aur kaha kya aap logon mein koi dam jhaad karne wala hai. hamaray qabeela mein 1 shakhs ko bichhoo ne kaat liya hai chunancha sahaba ki is jamaat mein se aik sahabi is shakhs ke sath gaye aur chand bakrion ki shart ke sath is shakhs par surah Fatiha padi is se wo acha ho gaya woh sahib shart ke mutabiq bakriyan –apne sathiyon ke paas laaye to unhon ne usay qubool kar lena pasand nahi kya aur kaha ke Allah ki kitaab par tum ne ujrat le li. aakhir jab sab log madina aaye to arz kya ke ya rasool Allah ! un sahib ne Allah ki kitaab par ujrat le li hai. Aap ﷺ ne farmaya ke jin cheezo par tum ujrat le satke ho un mein se ziyada is ki mustahiq Allah ki kitaab hi hai .
Sahih bukhari 5737)
Scan
Is Hadees ne itne wajeh alfaz hai
إِنَّ أَحَقَّ مَا أَخَذْتُمْ عَلَيْهِ أَجْرًا كِتَابُ اللَّهِ
jin cheezo par tum ujrat le satke ho un mein se ziyada is ki mustahiq Allah ki kitaab hi hai
Jis ye sabit huwa ki Quran padne ka pesa Lena bilkul jaiz hai
An Mukhtasar un daleelo par Nazar dalthe hai Jin me ujrat lene par wayeed sunayi gyi hai
1) Qur'an ki ujrat par mumaniyat ki pahli daleel.uski tahaqiq.
حَدَّثَنَا أَبُو بَكْرِ بْنُ أَبِي شَيْبَةَ، حَدَّثَنَا وَكِيعٌ، وَحُمَيْدُ بْنُ عَبْدِ الرَّحْمَنِ الرُّوَاسِيُّ، عَنْ مُغِيرَةَ بْنِ زِيَادٍ، عَنْ عُبَادَةَ بْنِ نُسَيٍّ، عَنِ الْأَسْوَدِ بْنِ ثَعْلَبَةَ، عَنْ عُبَادَةَ بْنِ الصَّامِتِ، قَالَ: عَلَّمْتُ نَاسًا مِنْ أَهْلِ الصُّفَّةِ الْكِتَابَ وَالْقُرْآنَ، فَأَهْدَى إِلَيَّ رَجُلٌ مِنْهُمْ قَوْسًا، فَقُلْتُ: لَيْسَتْ بِمَالٍ وَأَرْمِي عَنْهَا فِي سَبِيلِ اللَّهِ عَزَّ وَجَلَّ لَآتِيَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، فَلَأَسْأَلَنَّهُ، فَأَتَيْتُهُ، فَقُلْتُ: يَا رَسُولَ اللَّهِ، رَجُلٌ أَهْدَى إِلَيَّ قَوْسًا مِمَّنْ كُنْتُ أُعَلِّمُهُ الْكِتَابَ وَالْقُرْآنَ، وَلَيْسَتْ بِمَالٍ وَأَرْمِي عَنْهَا فِي سَبِيلِ اللَّهِ، قَالَ: إِنْ كُنْتَ تُحِبُّ أَنْ تُطَوَّقَ طَوْقًا مِنْ نَارٍ فَاقْبَلْهَا
Obada bin samit raziyallahu anhu kahate hai
mein ne ashaab sufa ke kuch logon ko quran padna aur likhna sikhaya to un mein se aik ne mujhe aik kamaan ( teer) hadiya di, mein ne ( jee mein ) kaha yeh koi maal to hai nahi, is se mein fi Sabeel Allah teer andazi ka kaam lon ga ( phir bhi ) mein rasool Allah sale Allah alaihi wasallam ke paas jaoon ga aur aap se is baray mein pouchon ga, to mein aap sale Allah alaihi wasallam ke paas aaya aur arz kya : Allah ke rasool! mein jin logon ko quran parhna likhna sikha raha tha, un mein se 1 shakhs ne mujhe Hadiye mein aik kamaan di hai, aur is ki kuch maliyat to hai nahi, mein is se Allah ki raah mein jehaad karoon ga, rasool Allah sale Allah alaihi wasallam ne farmaya : agar tumhe pasand ho ke tumhe aag ka taoq pehnaya jaye to is kamaan ko qubool kar lo
Sunan Abu Dawood Hadees 3416)
Scan
Note. ye riwayat zaeef hai
Is sanad me do illate hai .
1)is sanad me mojud Ravi Jo Hadees ko oabada bin Samit se riwayat kar raha hai Aswad Ibn shalaba ye majhool hai .lihaza is riwayat se daleel pakadna Sahih nahi .
2) Mugira bin Ziyad par ullama ne Qalam Kiya
1) Imam ahemad bin humbal wafat 241) khate hai
مغيرة بن زياد مضطرب الحديث منكر الحديث
Mugheera bin Ziyad ki Hadees me iztirab hai or (ye) munkarul Hadees hai
Jarha o tadeel ibne Abi hateem jild 8safa 222)
Scan
Or ullama ne is riwayat ko zaeef kaha
1) Imam ibne Abi hatim ne is riwayat ko apni kitab. Al ilal me nakal Kiya .
Kitabu ilal ibne Abi hatim jild 4 safa 662)
Or ibne Abi hatim. Is Kitab me wahi riwayat nakal karte hai Jo riwayat moAalal ho .jisme illat ho
Dekhe muqadma kitabu ilal ibne Abi hatim safa 6
Scan.
2) Hafiz ibne kaseer ne bi is riwayat ke Sahih hone me Sak Kiya
Farmaya
فان صح اسناد
Aghar ye sanad Sahih hai to
Dekhe tafseer Ibne kaseer .surah baqra ayat 40)
Scan
3) Balki imam duhaim rahimullha wafat 254 farmathe hai
لَيْسَ لَهُ أَصْلٌ
Is riwayat ki koi asal nahi
Sunan Al qubra bahaqi jild 6 safa 208 Hadees 11686)sanad Sahih
Or Imam duheim Kisi taruf ke mohtaz nahi Imam tirmizi ke allawa Baki puri kutube sitta ke muhadis inke saagird hai or imam duhaim ka ye khana ki iski koi asal nahi ise ye sabit hotha hai ki ye riwayat Sahih nahi
Is riwayat ko taqwiyat pahuchane ke Liye shaikh Albany ne kuch or sanade nakal ki vo sab zaeef hai maslan
Is riwayat ki Ak or sanad mustdark Hakim or Musanad ahemad me is trha hai
حَدَّثَنَا أَبُو الْمُغِيرَةِ ، حَدَّثَنَا بِشْرُ بْنُ عَبْدِ اللَّهِ - يَعْنِي ابْنَ يَسَارٍ السُّلَمِيَّ - قَالَ : حَدَّثَنِي عُبَادَةُ بْنُ نُسَيٍّ ، عَنْ جُنَادَةَ بْنِ أَبِي أُمَيَّةَ ، عَنْ عُبَادَةَ بْنِ الصَّامِتِ
Musnad ahemad .jild37 safa 426 Hadees 22766)
Is sanad me baseer bin Abdullah bin yasar hai or Hafiz ibne hibban ke allawa Kisi ne bi is Ravi ki tosiq nahi ki liahza is riwayat se bi daleel nahi li ja sakti
Kyuki ibne Hibaan muttasail hai .
Or ibne yasar ne haddsani kh kar bayan kiya jise ye sabit hotha ha ki ye munfrid hai or koi maoutabar mutabiyat mojud nahi .
Lihaza Ak to Ravi ki tosiq na hona or dusra Ravi ka munfarid hona ۔lihaza ye illate is riwayat ko zaeef banati hai
Or Shaikh Albany Majid Ak sanad ibne asakir se nakal karte the
Lekin. Ye bi zaeef hai is sanad me do illate hai
1) sayeed bin Abdul Aziz akhari Umar me ikhatilat ka sikar ho gye the
2) waleed bin Muslim mudallis hai balki tadallis a taswiya karta hai or puri sanad me sama nahi nahi kiya
Or khud shaikh Albany farmathe hai
Mumkin hai ki isne sayeed or Ismail ke darmiya. Se Kisi Ravi ko sakit Kiya ho .maslan Umar bin waqadi jesa Ravi or isi bina par Imam duhaim ne kaha
لَيْسَ لَهُ أَصْلٌ
Iski koi asal nahi
Ibne asakir ne ise Umar waqdi ki sanad se bi jikr Kiya ye matrook Ravi hai
As sahiha jild 1 safa 514)
Lihaza ye riwayat zaeef hai or isi daleel nahi li ja sakti
Quran par ujrat ki mumaniyat me 2 daleel ki tahaqiq
حَدَّثَنَا سَهْلُ بْنُ أَبِي سَهْلٍ، حَدَّثَنَا يَحْيَى بْنُ سَعِيدٍ، عَنْ ثَوْرِ بْنِ يَزِيدَ، حَدَّثَنَا خَالِدُ بْنُ مَعْدَانَ، حَدَّثَنِي عَبْدُ الرَّحْمَنِ بْنُ سَلْمٍ، عَنْ عَطِيَّةَ الْكَلَاعِيِّ، عَنْ أُبَيِّ بْنِ كَعْبٍ، قَالَ: عَلَّمْتُ رَجُلًا الْقُرْآنَ، فَأَهْدَى إِلَيَّ قَوْسًا فَذَكَرْتُ ذَلِكَ لِرَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ فَقَالَ: إِنْ أَخَذْتَهَا أَخَذْتَ قَوْسًا مِنْ نَارٍ فَرَدَدْتُهَا
Ubey bin kaab raziyallahu anhu khate hai mene Ak sakhs ko quran padna sikhaya to usne muje ak kamman Hadiye me di mene iska jikr nabi ﷺ se Kiya Tum ne aghar ise li to Aagh ki Ak kamman li to mene ise wapas kar diya
Ibne majha Hadees 2158)
Note.ye riwayat bi zaeef hai
1) is sanad me Abdurehman bin Salim majhool hai
2) attiya ۔ubey bin kaab ke darmiya. Inkita hai
Lihaza ye sanad bi zaeef hai
Or bi kuch riwayat hai lekin sab zaeef hai
3) Quran ki ayat se galat istedalal
وَ لَا تَشۡتَرُوۡا بِاٰیٰتِیۡ ثَمَنًا قَلِیۡلًا ۫ وَّ اِیَّایَ فَاتَّقُوۡنِ
aur meri aayaton ko mamooli si qeemat ley ker naa becho , aur ( kissi aur kay bajaye ) sirf mera khof dil mein rakho
Surah Bakra ayat 41)
Note.is ayat ka Quran ki ujrat ke sath koi wasta nahi.
Is ayat ki wajhat Ak dusri ayat se hothi hai
Allah ka irsad hai
لَتُبۡلَوُنَّ فِیۡۤ اَمۡوَالِکُمۡ وَ اَنۡفُسِکُمۡ ۟ وَ لَتَسۡمَعُنَّ مِنَ الَّذِیۡنَ اُوۡتُوا الۡکِتٰبَ مِنۡ قَبۡلِکُمۡ وَ مِنَ الَّذِیۡنَ اَشۡرَکُوۡۤا اَذًی کَثِیۡرًا ؕ وَ اِنۡ تَصۡبِرُوۡا وَ تَتَّقُوۡا فَاِنَّ ذٰلِکَ مِنۡ عَزۡمِ الۡاُمُوۡرِ
aur jab Allah ne ahele kitab say yeh ehad liya tha kay : tum iss kitab ko logon kay samney zaroor khol khol ker bayan kero gay , aur iss ko chupao gay nahi . phir unhon ney uss ehad ko pus-e-pusht daal diya aur uss kay badlay thori si qeemat hasil kerli . iss tarah kitni buri hai woh cheez jo yeh mol ley rahey hain . !
Surat ale Imran Ayat No 187 )
I's ayat se ye wajeh ho gya ki ahele kitab se ye ahead Liya gya tha ki unki kitabo me Jo ahkam bataye gye hai vo use chupayenge nahi lekin duniya talbi or duniya ki lalach me vo use chupathe the .to is ayat se Quran ki ujrat ka koi talluq nahi wallahu allam
Comments