Fout shuda ke waseele par daleel ki tahaqiq) post
Fout shuda ke waseele par daleel ki tahaqiq) post 1
Zaheer salafi
Daleel 1)
Imam Hakim rahimullha farmate Hain
أَخْبَرَنِي الشَّيْخُ أَبُو بَكْرٍ بْنُ إِسْحَاقُ، أَنْبَأَ مُحَمَّدُ بْنُ أَيُّوبَ، ثنا يُوسُفُ بْنُ مُوسَى، ثنا عَبْدُ الْمَلِكِ بْنُ هَارُونَ بْنِ عَنْتَرَةَ، عَنْ أَبِيهِ، عَنْ جَدِّهِ، عَنْ سَعِيدِ بْنِ جُبَيْرٍ، عَنِ ابْنِ عَبَّاسٍ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُمَا، قَالَ: " كَانَتْ يَهُودُ خَيْبَرَ تُقَاتِلُ غَطَفَانَ، فَكُلَّمَا الْتَقَوْا هُزِمَتْ يَهُودُ خَيْبَرَ فَعَاذَتِ الْيَهُودُ بِهَذَا الدُّعَاءِ: اللَّهُمَّ إِنَّا نَسْأَلُكَ بِحَقِّ مُحَمَّدٍ النَّبِيِّ الْأُمِّيِّ الَّذِي وَعَدْتَنَا أَنْ تُخْرِجَهُ لَنَا فِي آخِرِ الزَّمَانِ، إِلَّا نَصَرْتَنَا عَلَيْهِمْ. قَالَ: فَكَانُوا إِذَا الْتَقَوْا دَعَوْا بِهَذَا الدُّعَاءِ، فَهَزَمُوا غَطَفَانَ، فَلَمَّا بُعِثَ النَّبِيُّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ كَفَرُوا بِهِ، فَأَنْزَلَ اللَّهُ: {وَكَانُوا مِنْ قَبْلُ يَسْتَفْتِحُونَ} [البقرة: 89] بِكَ يَا مُحَمَّدُ عَلَى الْكَافِرِينَ «. . . .» أَدَّتِ الضَّرُورَةُ إِلَى إِخْرَاجِهِ فِي التَّفْسِيرِ وَهُوَ غَرِيبٌ مِنْ حَدِيثِهِ "
Hazrat Abduallah Bin Abbas raziyAllahu anhu ne
farmaya kahybar k yahoodi Ghatfaan qabeelay say bar sar e
paykaar raha karty thy (Yani larty rehty thy), pas jab
bhi dono ka samna hua yahoodi Shikast kha gaay.
Phir Yahoodiyun nai is dua k zareeay panah mangi:
Ay ALLAH hum tujh say Ummi NABI MUHAMMAD ﷺ
k waseela se sawal karte hain jinhain to tu nain
Akhri Zamana main hamary liay bhejne ka hum se
wada farmaya Hain ke in (Duhsmanon) k mubqable
main hamary madad farma.'
Rawi kehty hain: Pas Jab bhi wo dushman k samne ay
to unhoun yehe dua mangi aur Ghatfaan
(Qabeela) ko shikast di. Lakin jab NABI AKRAM ﷺ
mabus huye to unhoun ne AAP ka inkar kiya. Is
par ALLAH Ta'ala nain yeh ayat utari
وَ لَمَّا جَآءَہُمۡ کِتٰبٌ مِّنۡ عِنۡدِ اللّٰہِ مُصَدِّقٌ لِّمَا مَعَہُمۡ ۙ وَ کَانُوۡا مِنۡ قَبۡلُ یَسۡتَفۡتِحُوۡنَ عَلَی الَّذِیۡنَ کَفَرُوۡا ۚ ۖ فَلَمَّا جَآءَہُمۡ مَّا عَرَفُوۡا کَفَرُوۡا بِہٖ ۫ فَلَعۡنَۃُ اللّٰہِ عَلَی الۡکٰفِرِیۡنَ
aur jab unn kay paas Allah ki taraf say woh kitab aai ( yani Quran ) jo uss ( toraat ) ki tasdeeq bhi kerti hai jo pehlay say unn kay paas hai , ( to unn ka tarz-e-amal dekho ! ) bawajood-yeh-kay yeh khud shuroo mein kafiron ( yani butt paraston ) kay khilaf ( iss kitab kay hawalay say ) Allah say fatah ki duayen maanga kertay thay , magar jab woh cheez unn kay paas aagae jissay unhon ney pehchan bhi liya , to uss ka inkar ker bethay . pus phitkaar hai Allah ki aesay kafiron per
Surah Bakra ayat 89)
'Halaki is se pehle wo khud Ay Muhammad ﷺ aap ke
tufeil say kaafiron par Fatah-yaabi ki dua mangty the
Mustdark al hakim hadees 3042 )
Scan
Ye jhuti riawayat Hain
Iski sanad me Abdul Malik bin Haroon anatrah Hain kazzab or matruk Hain
1)Imam Abu hatim Farmate Hain
عَبْدُ الْمَلِكِ بْنُ هَارُونَ بْنِ عَنْتَرَةَ، فقال متروك الحديث
Abdul malik bin Harun anatrah ye hadees me matruk
hain
Jarha tadeel Jild 5 safa 374)
2) Imam yahaya ibne mayeen khate hain
عَبْدُ الْمَلِكِ بْنُ هَارُونَ بْنِ عَنْتَرَةَ، كذاب
Abdul malik bin Harun anatrah kazzab hain
Tarikh ibne mayeen .1688)
3)Imam Bukhari khate hain
عَبْدُ الْمَلِكِ بْنُ هَارُونَ بْنِ عَنْتَرَةَ،َ كوفي منكر الحديث
Abdul malik bin Harun anatrah kufi Munkar ul hadees hain
Tarikh al kabeer jild 5 safa 436)
4) imam Ahmad bin Humbal khate
عَبْدُ الْمَلِكِ بْنُ هَارُونَ بْنِ عَنْتَرَةَ، ضعيف
Abdul Malik bin Harun anatrah zaif Hain
Al ilal wa marifat ar rizzal.jild 2 safa 391)
5) imam Nasai khate hai
متروك الحديث
Ye Matruk ul hadees hai
Zaofa wal matrukin SAFA 166)
Or bi Kai muhadiseen ne Iski tazeef ki Hain
Ise pta Chala ki ye riwayat mouju manghadat Hain
Comments