Kya namaze janaza me takabeer ke sath rafaydain nahi karna chahiye

 Zaheer salafi.


Kuch logh ye khate hain ki namaze janaza me takbirat me rafaydain karna nabi ﷺ se sabit nahi .  

Lekin Ibne Umar se sabit hain . Nabiﷺ se nahi is liye hum nahi karte

Note. aghar koi amal kisi sahabi se mil jaye to vo bila jijak  hujjat hain or ase bhut se amal hothe hain jo Nabi ﷺ se sabit nahi lekin sahaba se sabit hothe hain or mumkin hain ki  sahaba Ikram ne kabi na kabi vo amal karte huwe Nabi ﷺ ko dekkha hogha


Or hajrte abdullha ibne umar ne aghar rafaydain kiya to is liye kyuki Nabi ﷺ ko janaze ki namaz me rafaydain karte dekha .


Daleel.


Imam darQutni (wafat 375) hijri farmate hain .


قال أحمد بن محمد بن الجراح، وابن مخلد، قالا: حدثنا عمر بن شبة، قال: حدثنا يزيد بن هارون، قال: أخبرنا يحيى بن سعيد، عَنْ نَافِعٍ، عَنِ ابْنِ عُمَرَ؛ أَنَّ النَّبِيَّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ كَانَ إِذَا صَلَّى على جنازة رفع يديه في كل تكبيرة، وإذا انصرف سلم


Abdullha bin umar raziallahu anhu se riwayat hain ki jab nabi ﷺ janaze ki namaz padte to har takbir ke sath rafaydain karte .or jab namaz khatam karte to salam ferate hain .


Kitab al ilal jild 13 safa 22 hadees no 2908.sanadu Hasan .


Scan 




Yaad rahe kuch riwayto me hain ki  Nabi ﷺ janaze ki namaz me pahli takbir ke sath rafaydain karte uske baad nahi karte . Ye sab riwayat zayeef hain .



1) sunan darQutni me abdullha ibne abaas se  ak riwayat hain jisme Nabi ﷺ sirf pahli takbir par rafaydain kiya uske baad nahi kiya 


Sunan darQutni  hadees.1854)


Iski sanad me hajaz bin nuseiry jis par muhaddisin ne munkar ul  hadees .matrukul hadees .ki jarah ki hain

Maslan dekhe .


1)Tabqat ibne Saad jild 7 safa 305)


2) sunan qubra bahayqi jild 2 safa 483


3) jarha wa tadeel ibne abi Hatim jild 3 safa 167)


4) jaofa wal matrukin ibne jouji jild 1 safa 193.


Or ak riwayat sunan tirmiji hadees 1077.darqutni 1853)


Par hain sayedina abu hureira radiallah anhu se. jisme hain ki Nabi ﷺ sirf pahli takbir par rafaydain karte 


Ye riwayat bi sakhat zaeef hain 


Isme kai illat hain.


1)Johari mudallis hain or sigha an se riwayat kar rahe hain or mudallis ki an wali riwayat zaeef hothi hain .


2)  yazeed bin sinan zaeef hain 


Dekhe .ahwa ur rizal imam joazani safa 319) 


Jaofa wal matrukin nisai safa 65)


Kitabu jaofa ibne noyem 271)


Waghera .


3) Yahya bin yaala bi zaeef hain 


Dekhe .jarah wa tadeel ibne abi Hatim jild 9 safa 196)


Al ilal wal marifat ar rizal jild 3 safa 56)


Comments

Popular posts from this blog

Masla fatiha khalf ul imam

Hazrat Abdullah ibne masood Rd ki tark rafulyadain ki riwayat ki haqiqat

Kya imam Sufiyan bin sayeed as sorri mudalis nahi the?