Kalima a tayaba ka sabut .

Kya Kalima tayaba Hadees se sabit Nahi 

Zaheer salafi

imaam Abu Bakr Ahmed bin AL Hussain AL Baihaqi Rahimahullah (Mutawaffa : 458 Hijj) ne Farmaya:

’’أخبرنا أبو عبداللہ الحافظ: ثنا أبو العباس محمد بن یعقوب: ثنا محمد ابن إسحاق: ثنا یحیی بن صالح الوحاظي: ثنا إسحاق بن یحیی الکلبي: ثنا الزھري: حدثني سعید بن المسیب أن أبا ھریرۃ رضي اللہ عنہ عن النبي ﷺ قال: ((أنزل اللہ تعالٰی في کتابہ فذکر قومًا استکبروا فقال: ﴿اِنَّھُمْ کَانُوْآ اِذَا قِیْلَ لَھُمْ لَآ اِلٰہَ اِلاَّ اللہُ یَسْتَکْبِرُوْنَ﴾ وقال تعالٰی: ﴿اِذْ جَعَلَ الَّذِیْنَ کَفَرُوْا فِیْ قُلُوْبِھِمُ الْحَمِیَّۃَ حَمِیَّۃَ الْجَاھِلِیَّۃِ فَاَنْزَلَ اللہُ سَکِیْنَتَہٗ عَلٰی رَسُوْلِہٖ وَعَلَی الْمُؤْمِنِیْنَ وَاَلْزَمَھُمْ کَلِمَۃَ التَّقْوٰی وَکَانُوْآ اَحَقَّ بِھَا وَاَھْلَھَا﴾ وھي: لاإلٰہ إلا اللہ محمد رسول اللہ)) استکبر عنھا المشرکون یوم الحدیبیۃ یوم کاتبھم رسول اللہ ﷺ في قضیۃ المدۃ‘‘

Sayyiduna Abu Hurairah Raziallahu Anhu ne Nabiﷺ se Hadees Bayan kee, Aapﷺ ne Farmaya ALLAH TA'ALA ne Apni kitaab mein NaziL farmaya tho Takabbur karne waali Ek Qaum ka zikr kar ke Farmaya : Yaqeenan Jab inhein Laa ilaaha illallaah Kaha jaata hai tho takabbur karte hain. (Surah AL Saaffat : 37: 35)
Aur ALLAH Ta'ala ne Farmaya : Jab Kufr karne Walon ne Apne DiLon mein Jaahiliyyat waali Zidd Rakhi tho ALLAH Ne apna Sukoon wa itminaan Apne Rasool aur Mominoon Par Utaara aur inke Liye 'Kalimatut Taqwa' ko Laazim Qarar diya aur voh iske Ziyadah Mustahiq aur AhaL Thea. (Surah AL Fath : 26)
Aur voh (Kalimatut Taqwa) LAA iLAAHA iLLALLAAH MUHAMMADUR RASOOLULLAH hai.
Sulaah Hudaibiyyah waale Din Jab Rasoolullahﷺ ne Muddat (Muqarrar karne) waale Faisle Main Mushrikeen se Muwaahidah kiyaa tho Mushrikon ne iss KaLime se Takabbur kiya thaa
.
(Kitaab AL Asmaa Was Sifaat LiL Baihaqi : Safa 105,106 

Scan








Comments

Popular posts from this blog

Masla fatiha khalf ul imam

Hazrat Abdullah ibne masood Rd ki tark rafulyadain ki riwayat ki haqiqat

Kya imam Sufiyan bin sayeed as sorri mudalis nahi the?