Seene par hath bandana post 1)

Seene par hath bandana post 1)


Zaheer salafi


imam ibne khujaima rh farmate hai 

نا أبو موسى، نا مؤمل، نا سفيان، عن عاصم بن كليب، عن أبيه، عن وائل بن حجر قال: «صليت مع رسول الله صلى الله عليه وسلم، ووضع يده اليمنى على يده اليسرى على صدره»

Wael bin Hujar Radiallahu Anhu se rivayat hai ke ke..
“ Main ne Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam ke sath namaz padhi. To Aap ne apna daya’n
haath baiey’n hath par rakh kar seene par hath bandha.
[ Ibne Khuzaima jild 1 sfa 243 hadees no.479 .scan link.

https://drive.google.com/file/d/1A9CsGDxkJHo24JHHDajxz6SEyOooy9hq/view?usp=drivesdk

Isi hadees ko hafiz ibne hajar ne nakal kiya 

Bulugul maram Hadees no.217

Scan link 

https://drive.google.com/file/d/1W_liaB16mW3kSUaMTdcQxCA8Ln7jpy2C/view?usp=drivesdk

Is ko khud imam ibne khujema ne sahih kha .kyuki imam ibne khujema ki nazdeek isme moujud tamam riwayat sahih hain

Is hadees ki sanad Kuch is trha se he ki .ye hadees 


1)Abu Moosa Muhammad bin Muthna ===>

,2)Mu'ammal bin Isma'eel ===>

3) Sufyaan ath-Thawree===>

4)Aasim ibn Kulayb ===>

Unke walid “

5) Kulayb bin Shihaab” ===>

6) Waail ibn Hujr
[Radiallah anhu]

Hanfi hajrat ki traf se iski sanad par ateraz kiya jatha hain ki 

 moammal bin Ismail.zaeef 

_________________________________

Rawi moammal bin Ismail rahimullha .tahkik

Inka Pura name he .

Abu abdullha moammal bin Ismail Al karsi Al udawi Al basari .

Ahanaf  Ne Is  Rawi Moa'ammal Bin Ishmail Par Jarah Ki Hai or kha ki ye zàeef rawi he iski riwayat nhi li jayeghi lihaza ye seene par hath bandne ki riwayat kamjor he

vo jrha jiski wajha se ahnaf isko jaif khate he .

.
1)Zikriyah bin Yahya As-Saaji:


“ Sadooq hai, magar Kai saare galtiya karte hai. Inme kai galtiya hai jo zikr karneke liye taweel
hojayega.
[Tahdheeb at- Tahdheeb: 10/381

NOTE: Tahdheeb at-Tahdheeb ke Musannif (Hafidh Ibn Hajar) se Imam As-Saaji tak Sanad nahi hai.
Is lihaz se Upar ki Rivayat Mardood hai.
........
2)Muhammad bin Nasar al-Marwazi:


“ Agar Muammal ki akele rivayat karda Hadith aati hai tho fir farz banta hai ke Us hadith rokdiya
jaaye aur upar Tahqeeq kare, taaki unka Haafedha bahuth kamzor tha aur wo maskhsoos taur par
galtiya kare the. “
[Tahdheeb at-Tahdheeb: 10/381



Yeh kol Bina-Sanad ki hai aur yeh bhi Jumhoor ki Khilaaf hai tho lihaaza Radd ki jaati hai.

Note  Moa'ammal Bin Ishmail Siqah Rawi Hai Aur Hasan Ul Hadees Jumhoor Mohaddeshin Ra Ne Inki Touseequ Ki Hai*

Ye shiha sitta ke mashur rawi he .

(1) Imam Abu Abdullah Muhammad Bin Ishmail Bukhari Ra (Wafat 256 Hijri) Ne Moa'ammal Bin Ishmail Ra Ko Apni Maroof Kitab Sahi Bukhari Me Nakal Ki Hai

(1.1) Sahi Bukhari Hadees No 2700
قَالَ أَبُو عَبْد اللَّهِ : لَمْ يَذْكُرْ مُؤَمَّلٌ ، عَنْ سُفْيَانَ ، أَبَا جَنْدَلٍ ، وَقَالَ : إِلَّا بِجُلُبِّ السِّلَاحِ

(1.2) Sahi Bukhari Hadees No 7083
وَقَالَ مُؤَمَّلٌ ، حَدَّثَنَا حَمَّادُ بْنُ زَيْد

.ISI trha inki hadees .

Sunan Tirmidhi = (H. 415, 672, 1822, 1948, 2145, 3266, 3525, 3906, 3949)
- Sunan Nasaa'ee: Al-Sughra = (H. 4097, 4589)
-Sunan Ibn Maja = (H. 2013, 2919, 3017).me mojud he or sahih ya Hasan Ka huqm mohaddis ne lagaye.

......................

Moammal bin Ismail ki hadees li ha Sakti he .huqm mohaddis jra WA tadeel .

1)Imam Abu Hatim Al Razi Ra (Wafat 327 Hijri) Farmate Hai Apni Kitab Me Moa'ammal Bin Ishmail Ra Ke Bare Me 


صدوق، شديد في السنة كثير الخطأ  يكتب حديثه
Wo Sache (Aur) Sunnat Me Sakht The - Bahut Galtiya Karte The, Unki Hadees Likhi Jati Hai

Kitab Al Jarah Wa Tadeel By Ibne Abi Hatim Al Razi Ra Jild 8 Safa No 374 Raqam No 1709 [scan link (1) https://drive.google.com/file/d/1AuupCxFkVJChnHtlDaVjBP-nH4MbfxnC/view?usp=drivesdk

(2) Imam Daar Qutni Ra (Wafat 385 Hijri)
Apni Kitab Me Moa'ammal Bin Ishmail Ra Ki Riwayat Nakal Karne Ke Baad Khud Kahte Hai *Sanad Sahih Hai
حدثنا مُؤَمَّلٌ حدثنا سُفْيَانُ
إِسْنَادٌ صَحِيحٌ

Sunun Daar Qutni Jild 3 Safa No 158 Hadees No 2284 [scan link.https:

//drive.google.com/file/d/1B0Ov-NaML9l6cv4xxpDurCpI_ODeLah9/view?usp=drivesdk

3) Imam Ibne Khuzaimah Ra (Wafat 311 Hijri) Apni Kitab Sahih Ibne Khuzaima Me Moa'ammal Bin Ishmail Ko Nakal Karne Ke Baad Khud Kahte Hai :-
صحح له
Sahih Ul Hadees Hai

Sahih Ibne Khuzaima Jild 1 Safa No 243 Hadees No 479

4) Imam Hakim Ra (Wafat 405 Hijri)
Apni Kitab Mustadrak Lil Hakim Me Moa'ammal Bin Ishmail Ra Ko Nakal Karne Ke Baad Khud Kahte Hai
هذا حديث على شرط الشيخين ولم يخرجاه
Ye Hadees Imam Bukhari Ra Aur Imam Muslim Ra Dono Ke Mayar Ke Mutabiq Sahih Hai Lekin Dono Ne Hi Ise Nakal Nahi Kiya
Mustadrak Lil Hakim Jild 1 Safa No 767-768 Hadees No 1419..scan link

https://drive.google.com/file/d/1B9butZR0ovxUc90hupD6CpY_PdO-O45R/view?usp=drivesdk
___________________/

5) Imam Zahabi Ra (Wafat 748 Hijri)
Apni Kitab Me Moa'ammal Bin Ishmail Ra Ko Nakal Karne Ke Baad Khud Kahte Hai
كان من ثقات
Moa'ammal Bin Ishmail Siqah Hai

Al Ibr Fi Khabar Man Gabar Lil Imam Zehbi Ra Jild 1 Safa No 274 Raqam 206 scan link.
https://drive.google.com/file/d/1BGDEy3qBp6JsXQrn8rZisY_7Aw53eDPo/view?usp=drivesdk

......

ISI trha imam yahya bin maieen rh.wafat 233 hijri.moammal bin Ismail ke bare me farmaya .

مؤمل ثقات.
..tarikh ibne maieen .rawi no.236.scan link.
https://drive.google.com/file/d/1BGVqV-32BpxbIFmAQfQdZbMm_s4qU0KZ/view?usp=drivesdk

Note :- Is Tafseel Bahas Se Maloom Chala Ki Jumhoor e Mohaddeshin Ra Jo Jarah Wa Tadeel Ke Bare Imam Hai Unke Nazdeek Moa'ammal Bin Ishmail Ra Jarah Wa Tadeel Ki Adalat Me Siqah Ya Hasan Ul Hadees Hai
Isliye Jumhoor Mohaddeshin Ra Ke Moqable Me Kisi Ek Ya Do Mohaddeshin Ra Ki Jarah Ka Koi Value Nahi Hai



-

Comments

Popular posts from this blog

Masla fatiha khalf ul imam

Hazrat Abdullah ibne masood Rd ki tark rafulyadain ki riwayat ki haqiqat

Kya imam Sufiyan bin sayeed as sorri mudalis nahi the?