Molana moududi ki gumrahi part 3)
Molana moududi ki gumrahi part 3) zaheer Salafi Ameer muawiya raziyallahu anhu par moududi sahab ke Atraaz _____________________________ Molana sahab likhte hain aik aur nihayat makrooh bidat hazrat muawiya raziyallahu anhu ke ahad mein hi shuru huwee ke wo khud or un ke huqm se un ke tamam governor khutabo mein mimbaro par hazrat Ali raziyallahu anhu par sab o sittam ki bochhaar karte thay hatta ke masjid nabwi mein mimbar rasool par ayain roza nabwi ke samne huzoor ke mehboob tareen Aziz ko gaaliyan di jati thee or hazrat Ali raziyallahu anhu ki aulaad or un ke qareeb tareen rishtedaar apne kaano se ye gaaliya suntay the Tarikhe tabari Jild 4 safa 188 ibne aseer Jild 3 safa 234 Jild 4 safa 154 al bidaya wanihaya Jild 8 safa 259) Kisi ke marne ke baad usko galiya dena sariyat to darkinaar insani akhlaq ke bi khilaf tha. Or khas tour se Juma ke khutba ko is gandaghi se aludha karna to deen wa akhlaq sakht gunah wa na fayil tha Khilafat o malookiat safa 174) Scan Note.tabari k...